Uff!
Ashk peetay hi rehay lub seetay hi rehay
Dabaa kay izhaar-I-tamanna kay khwaab
Bus ik beshakl si zindagi jeetay hi rehay
Kuch aisay diyay hawaadis taqdeer nay mujhko
Key na huNs sakay unpay na kabhi ro hi sakay
Majboor-i-fitrat meri kuch taqaazaa-i-halaat uska
Apnaa sakay usko na kabhi kho hi sakay
MaiNnay taraashay thay khalwat main
Husn-o-ishq kay jo sehar khwaab
Aur jinmaiN bharay rung-i-bedaar laykar
Apnay tamaam ilm-o-ahsaas
Unpay bhikhar gayee amaawus ki siyaahiaN
Aur meray daaman main reh gayeeN bus TanhaaiaN
--------------------------------
Meanings:Hwaadis- accidents,Khalwat-solitude,rung-e-bedaar- colours of consciousness, amaawus-no moon night
wah bhai kya khub likha hai.
ask peetey hi rahey lub seetey hi rahey
nice lines yaarrrrrrr.
ashk peetey hi rahey lub seetey hi rahey
hua jab bhi didaar unka ankho main raat bhar khote hi rahey
dabaa ke tamanna dill mein, ek mulakaat ko jeetey hi rahey
ab izhaarey haal ye hai ki intzaar mein unke tanhaa ashk peetey hi rahey.
kuch zakhm aise diye usne shaame-gum mein
ashk ke ghhot peetey hi rahey aur tanha jeetey hi rahey
hua zindagi se milan aise na apna sakey ussey na kho sakey
haya rahi aankhon mein is kadar
na hans sakey un par na khud pa ro sakey
ehsass hai mujhe ayega naya savera saugat nayi lekey
bas ab toh uljhan hai saath mere.
ies ujhan mein jeetey rahey, mila kar ashk sharab mein peetey hi rahey aur jeetey hi rahey.