Valentine Ka Nazraana, Hope U All Like It,.

by Jaanasheen on February 12, 2008, 01:09:52 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3482 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Is Shayari Se Bardkar I Think Koi Romantic Ho Nahi Sakti,.
Safar Kar Raha Tha Main Umdaa Shayaron Ki Kitaabon Se,
Unme Se Ye Ek Hai,.
Jise Yahan Likhna Maine Sahi Samjha,.
Lekin Poet ka Naam Kitaab Me Nahi Diya Gaya Hai,.

Waise Sab Ko Valentine Mubarak Ho,.






Apne Haaton Se Yun Chehra Ko Chupaate Kyon Ho,.
Mujh Se Sharmaate Ho To Saamane Aate Kyon Ho,.

Tum Kabhi Merii Tarah Kar Bhi Lo Iqaraar-e-Wafaa,
Pyaar Karte Ho To Phir Pyaar Chupaate Kyon Ho,.

Ashk Aankhon Mein Meri Dekh Ke Rote Kyon Ho,.
Dil Bhar Aataa Hai To Phir Dil Ko Dukhaate Kyon Ho,.

In Se Vaabastaa Hai Jab Mera Muqaddar Phir Tum,
Mere Shaanon Se Ye Zulf Hataate Kyon Ho.,

Roz Mar-Mar Ke Mujhe Jeene Ko Kehte Kyon Ho,
Milane Aate Ho To Phir LauT Ke Jaate Kyon Ho,.

____________________________-Unknown-
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~~~~~~ Valentine SMS ~~~~~~~~~~~~~ by aspn_love in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mera Aakhri Nazraana (for my jaadu, chiku, sweets){i miss u} by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
aaj ka nazraana..happy womens day... by hameeda in Occassion Specific Poetry
nazron ka nazraana de !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 12, 2008, 01:12:53 PM »
Reply with quote
Baadalon kaa kaafilaa aataa huaa achchhaa lagaa
pyaas kii dharatii ko har saavan badaa achchhaa lagaa

us bharii mahafil mein us kaa chand lamhon ke liye
mujh se milanaa baat karanaa dekhanaa achchhaa lagaa

jin kaa sach honaa kisii suurat se bhii mumkin na thaa
aisii aisii baatein aksar sochanaa achchhaa lagaa

vo to kyaa aataa magar Khush fahamiyon ke saath saath
saarii saarii raat ham ko jaaganaa achchhaa lagaa

pahale pahale to nigaahon mein koi jachataa na thaa
raftaa raftaa duusaraa phir tiisaraa achchhaa lagaa

___________________________________-UNKNOWN-

Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 12, 2008, 01:13:53 PM »
Reply with quote
Nice Sharings Azeem...these are beautiful poems.
Logged
punam
Guest
«Reply #3 on: February 12, 2008, 01:15:34 PM »
Reply with quote
bahot hi ache hai..azeem bhai...keep posting..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 12, 2008, 01:30:40 PM »
Reply with quote
Shukriya Talat Ji,.
Punam Ji,.
Waise Ye Mere Fav8 Shayaris Hain,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 12, 2008, 01:40:24 PM »
Reply with quote
kabhii jo nikhat-e-zulf-e-nigaar aai hai
fazaa-e-murdaa-e-dil mein bahaar aai hai

[nikhat-e-zulf-e-nigaar=perfume of (her) hair]
[fazaa-e-murdaa-e-dil=(in a) dead heart's environment/air]

zaruur terii galii se guzar huaa hogaa
ki aaj baad-e-sabaa beqaraar aai hai

[baad-e-sabaa=morning breeze]

koi dimaaG tasavvur bhii jin kaa kar na sake
ye jaan-e-zaar vo lamahein guzaar aai hai

[tasavvur=imagine; jaan-e-zaar=life filled with difficulties]

Khudaa gavaah ki un ke firaaq mein "Kausar"
jo saans aai hai vo sogavaar aai hai

[firaaq=separation; sogavaar=mournful/mourning]

_______________________________-Kausar Niyaazi-

Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: February 12, 2008, 01:47:47 PM »
Reply with quote
ek rangin jhijhak ek saada payaam
kaise bhulun kisi ka wo pahalaw salam
phool ruKhsar ke ras_masane lage
hath utha qadam Dag_magaane lage
rang-saa Khaal-o-Khad se chalakane laga
sar se rangin anchal Dhalakane laga
ajanabiyat nigahen churane lagi
din dhadakane laga lahar aane lagi
sans me ik gulabi girah pad ga_i
hoth tharaye simate nazar gad ga_i
rah gaya umr bhar ke liye ye hijaab
kyon na sambhala hua de saka main jawab
kyon main be-qasd be-azm be-vasta
dusari samt ghabara ke takane laga

by-Kaifi Azmi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 12, 2008, 01:51:37 PM »
Reply with quote
Nice Sharing,.
Bahoot Achchi Shayari Hai,.
Logged
punam
Guest
«Reply #8 on: February 12, 2008, 01:55:25 PM »
Reply with quote
     thanx..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 12, 2008, 01:57:50 PM »
Reply with quote
Gunchaa-e-shauq lagaa hai khilne
phir tujhe yaad kiyaa hai dil ne

daastaane hain lab-e-aalam par
ham to chup chaap gaye the milne

main ne chhup kar teri baatein ki thi
jaane kab jaan liya mehfil ne

anjuman anjuman aaraaish hai
aaj har chaak lagaa hai silane

[aaraaish=decoration]

____________________-Wajeeh Irfaani-
Logged
shahiquekhan
Guest
«Reply #10 on: February 12, 2008, 02:29:54 PM »
Reply with quote
Aadab, janab achchha hai aur achcha likh sakte ho dhoondo kahin to mileyga???

Manzil-Manzil karti Duniya, Manzil si koi Shaiy nahin
Jisko Dekha Chalte Dekha, Pahoncha to koi hai Nahin.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 12, 2008, 02:33:37 PM »
Reply with quote
Dhoondkar Haseel Karne Par Hi Aap Sab Ke Beech Mein Isko Share Kiya Hai Janaab,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: February 12, 2008, 02:33:46 PM »
Reply with quote
nice sharing lil bro

nice lines shahiquekhan  
 Apka yoindia mai sawagat hai!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 12, 2008, 02:35:47 PM »
Reply with quote
Shukriya Didi.
Waise Yahan Aap Ki Bhi Post Honi Chahiye,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: February 12, 2008, 03:08:09 PM »
Reply with quote
Lil bro Koshish ki hai:

Tera bhari mehfil mai wo salam acha laga
Chori se dekh kar wo tera paigam acha laga

Dil ke halat hum to samjh hi gaye the, lekin
Wo isharo main tera samjhana acha laga

Ajeeb khumar hai yah Ishaq ka dekhon
Khud mai tujhe baar baar sochna acha laga

Baato baato mai wo teri chor najar mujh per
Kuch palo ko sahi, wo najar milana acha laga

Mehak teri abhi hai meri fizao main hai
Wo tera, mere pass se Guzar jaana acha laga

Mil kar bichade hai to bichard kar milege jaroor Pooja
Wo tera jaate jaate yah kahna, acha laga.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 10:08:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.162 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer