..~~vo hawa ban kar jism mein behti jaati hai~~..

by HumTum on July 05, 2005, 08:50:46 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4991 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
Yun to har lamha uska hi deedar karta hoon,
use dekhne ki chahat fir bhi badti jaati hai.

Har saans ke saath uske aur kareeb ho jaata hoon,
vo hawa ban kar jism mein behti jaati hai.

Jidher bhi rukh karta hoon,udhar hi nikal padta hoon,
mere aashiyane se har raah uski dehliz tak jaati hai.

Zubaan hum bhi nahin kholte,kehte vo bhi kuchh nahin,
aankhon hi aankhon mein fir bhi bahot baatein ho jaati hain.

Ik pal ki judaai bhi ab bardasht nahin hoti,
ye tanhaai mujhe andar hi andar khaye jaati hai.

where r u jaan !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chali hay shaher mein kesi hawa udasi ki by bakwashayar in Shayri-E-Dard
badal jaati hai hawa bhi apana rukh!!! by ranjana in Shayri-E-Dard
JAISE YAKH BASTA HAWA HO KE THEHER JAATI HE by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
MUTHI MEIN BHAR KAR DHOOL, HAWA MEIN UCHAAL DI...... by khwahish in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
amrita
Guest
«Reply #1 on: July 05, 2005, 09:08:26 AM »
Reply with quote
Zubaan hum bhi nahin kholte,kehte vo bhi kuchh nahin,
aankhon hi aankhon mein fir bhi bahot baatein ho jaati hain.

nice.........
Logged
tinda
Guest
«Reply #2 on: July 05, 2005, 09:27:23 AM »
Reply with quote
Hey HumTum.. a real nice one.. great feelings..

ab aaa bhi jao, mat tadpao apne diwane ko
kitna samjhau khud ko ki mushkil badhti jaati hai..
Logged
sanya310
Guest
«Reply #3 on: July 05, 2005, 09:28:36 AM »
Reply with quote
very nice Humtum!! lovely!!!... bohot achhe amrita!!                                    ..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: July 05, 2005, 09:30:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "amrita"
Zubaan hum bhi nahin kholte,kehte vo bhi kuchh nahin,
aankhon hi aankhon mein fir bhi bahot baatein ho jaati hain.

nice.........

Thanks Amrita !!!  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: July 05, 2005, 09:31:33 AM »
Reply with quote
Quote from: "tinda"
Hey HumTum.. a real nice one.. great feelings..

ab aaa bhi jao, mat tadpao apne diwane ko
kitna samjhau khud ko ki mushkil badhti jaati hai..

Thanks Tinda ji n nice one !!!

kya alaam hoga jab milegey hum tum
soch ke woh manzar dhadkan bahdti jati hai !!  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: July 05, 2005, 09:33:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "sanya310"
very nice Humtum!! lovely!!!... bohot achhe amrita!!                                    ..

Thanx Sanya !!!

rehta hoon har lamha ussi ke khayaalooN mein
yeh judai ban ke nagin mujhey dasti jati hai !!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: July 06, 2005, 05:22:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Yun to har lamha uska hi deedar karta hoon,
use dekhne ki chahat fir bhi badti jaati hai.

Har saans ke saath uske aur kareeb ho jaata hoon,
vo hawa ban kar jism mein behti jaati hai.

Jidher bhi rukh karta hoon,udhar hi nikal padta hoon,
mere aashiyane se har raah uski dehliz tak jaati hai.

Zubaan hum bhi nahin kholte,kehte vo bhi kuchh nahin,
aankhon hi aankhon mein fir bhi bahot baatein ho jaati hain.

Ik pal ki judaai bhi ab bardasht nahin hoti,
ye tanhaai mujhe andar hi andar khaye jaati hai.

where r you jaan !!!

wahhhhhhhhhhhhh humtum ji!!!!!!!! bohot hi pyaral ikha apne!!!

tadapti rooh hai jo tujhko bulaye ja rahi hai,
pas nahin tum mere, yeh baat humko rulaye ja rahi hai,
madhosh aur bechain kar deta hai har tera khayal sanam,
uff pal bar ki judai tumse, hume sataye ja rahi hai!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: July 06, 2005, 05:31:51 PM »

kya baat hai Humtum.........very very nice......

aur Meena sis aapki to baat hi kuch aur hoti hai...Madhosh kar dene wali....too gud
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: July 06, 2005, 05:33:37 PM »
Reply with quote
lol thanx nikki, aap humtum ji ne likha hi itna khoobsurat hai...jawab bina rehe nahin payi!  :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: July 06, 2005, 05:43:54 PM »
Reply with quote
welcum sis..........main bhi try karun...

aji humein to yaaqin tha aankhon se hi samajh jaoge
kya khabar thi hamare muh se sunana chahoge

humne to khayalon mein bhi tumhein basaya hai
hamare saath har dum chalne wala..
...aapka hi to saya hai
Logged
natural
Guest
«Reply #11 on: July 07, 2005, 05:09:12 AM »
Reply with quote
Hii Nikki Excellent.........
Quote from: "nikki"
welcum sis..........main bhi try karun...

aji humein to yaaqin tha aankhon se hi samajh jaoge
kya khabar thi hamare muh se sunana chahoge

humne to khayalon mein bhi tumhein basaya hai
hamare saath har dum chalne wala..
...aapka hi to saya hai

Yahan to sabhi bahoot achha likh rahen hain ..............
Lagta hai hum to yahan kuchh likhne laayak bhi nahin hain........... :oops:
Koi baat nahi hum sirf parh kar hi kaam chala lengey................
Logged
Tosha
Guest
«Reply #12 on: July 07, 2005, 05:16:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
Quote from: "HumTum"
Yun to har lamha uska hi deedar karta hoon,
use dekhne ki chahat fir bhi badti jaati hai.

Har saans ke saath uske aur kareeb ho jaata hoon,
vo hawa ban kar jism mein behti jaati hai.

Jidher bhi rukh karta hoon,udhar hi nikal padta hoon,
mere aashiyane se har raah uski dehliz tak jaati hai.

Zubaan hum bhi nahin kholte,kehte vo bhi kuchh nahin,
aankhon hi aankhon mein fir bhi bahot baatein ho jaati hain.

Ik pal ki judaai bhi ab bardasht nahin hoti,
ye tanhaai mujhe andar hi andar khaye jaati hai.

where r you jaan !!!

wahhhhhhhhhhhhh humtum ji!!!!!!!! bohot hi pyaral ikha apne!!!

tadapti rooh hai jo tujhko bulaye ja rahi hai,
pas nahin tum mere, yeh baat humko rulaye ja rahi hai,
madhosh aur bechain kar deta hai har tera khayal sanam,
uff pal bar ki judai tumse, hume sataye ja rahi hai!!!

wah wha..!!

Kaha ho Jaan!!! Winking
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #13 on: July 07, 2005, 05:50:11 AM »
Reply with quote
kya baat hai tum dono ki jodi ne tuh kayamat dai hai humpe.......

kaise kare byaan kya ho raha hai dil ko
na hume hosh hai na chain aa raha hai dil ko
ki pyar kitna hai besumar tumhe ek duje se
jaan ke intajaar apne mehbub ka ho raha hai dil ko
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: July 07, 2005, 09:15:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
Quote from: "HumTum"
Yun to har lamha uska hi deedar karta hoon,
use dekhne ki chahat fir bhi badti jaati hai.

Har saans ke saath uske aur kareeb ho jaata hoon,
vo hawa ban kar jism mein behti jaati hai.

Jidher bhi rukh karta hoon,udhar hi nikal padta hoon,
mere aashiyane se har raah uski dehliz tak jaati hai.

Zubaan hum bhi nahin kholte,kehte vo bhi kuchh nahin,
aankhon hi aankhon mein fir bhi bahot baatein ho jaati hain.

Ik pal ki judaai bhi ab bardasht nahin hoti,
ye tanhaai mujhe andar hi andar khaye jaati hai.

where r you jaan !!!

kya baat hai Humtum.........very very nice......

aur Meena sis aapki to baat hi kuch aur hoti hai...Madhosh kar dene wali....too gud

thanks a lot Choti :D
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 03:32:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer