WO RAAT

by Jiya on February 29, 2008, 04:00:54 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 780 times)
Jiya
Guest
Reply with quote
Wo Dilkash Jagmagaata Shamiyaana,
Bana Dil ka humaare jo Ashiyaana,
Har pal itna Haseen tha us raat,
Vapis lautne ka mila na koi bahaana.

Bas Kayaamat to tab huyi,
Jab Kajal Aankho ka humaari beheka,
Tabhi mili Nazaro se Nazar is tarah,
Aur palat ke unhone hume dekha,

Dekhte hi unki Nigaho mein,
Yun tik gayi thi unpe ye Nigaha,
Milta dekh hum dono ki Nazro ko,
Jaise puri Kayanaat humaara padh rahi thi Nikah.

Juban Khamosh hi rahi humaari,
Baate jo kar rahin thi ab Nigaahe humaari,
Koi parvah nahin thi ab hume is Duniya ki,
Ek usre ke Deedaar mein  guzar rahi thi wo raat humaari.

Bas yun dekhne ka Silsila chalta raha,
Aur Waqt tazi se aage nikalta raha,
Bas ab kuchh hi pal baaki the Didaar ke liye,
Ye soch ke hi dil bas darta raha.

Bina kuchh kahe, bina kuchh sune,
Wo yu hi chal diye,
Hum bhi unhe jaate huye dekh rahe the,
Apne hothon ko siye.

Bas dua hai ye rab se ki,
Kahin phir se Deedaar ho unka,
Abke mil ke bichhde na hum,
Yun milke pura ho armaan is dil ka.

..................................... Jiya...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Who ik raat thi by muneeb in Shayri-E-Dard
Har Raat....... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Wo Raat by Manish_Friend in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
RAAT by budhu_1 in Shayri-E-Dard
raat ho gyi to by desikuri in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 29, 2008, 07:23:01 PM »
Reply with quote
wah Jiya kaya baat hai .. bahoot khoob!!!
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #2 on: March 01, 2008, 10:46:12 AM »
Reply with quote
very nice
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: March 02, 2008, 02:42:48 AM »
Reply with quote
Quote
Bas Kayaamat to tab huyi,
Jab Kajal Aankho ka humaari beheka,
Tabhi mili Nazaro se Nazar is tarah,
Aur palat ke unhone hume dekha,

Dekhte hi unki Nigaho mein,
Yun tik gayi thi unpe ye Nigaha,
Milta dekh hum dono ki Nazro ko,
Jaise puri Kayanaat humaara padh rahi thi Nikah

Very good work Jiya...I liked the above lines... Keep flowing.
Logged
Jiya
Guest
«Reply #4 on: March 04, 2008, 08:14:21 AM »
Reply with quote
Thank u pooja didi,prmchawla ji aur roja ji ,,, apko pata hai main achha kyun likh paati hun kyun ki aap sabhi mujhe encourage karte hain,apreiate karte hain Usual Smile ...... aur sorry pls kafi dino baad  main yo par aayi ....thanx alot once again Usual Smile .
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: March 04, 2008, 09:33:58 AM »
Reply with quote
Very nice jiya bohat acha likha hai.. Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: March 04, 2008, 04:13:32 PM »
Reply with quote
Wo Dilkash Jagmagaata Shamiyaana,
Bana Dil ka humaare jo Ashiyaana,
Har pal itna Haseen tha us raat,
Vapis lautne ka mila na koi bahaana.

Bas Kayaamat to tab huyi,
Jab Kajal Aankho ka humaari beheka,
Tabhi mili Nazaro se Nazar is tarah,
Aur palat ke unhone hume dekha,

Dekhte hi unki Nigaho mein,
Yun tik gayi thi unpe ye Nigaha,
Milta dekh hum dono ki Nazro ko,
Jaise puri Kayanaat humaara padh rahi thi Nikah.

Juban Khamosh hi rahi humaari,
Baate jo kar rahin thi ab Nigaahe humaari,
Koi parvah nahin thi ab hume is Duniya ki,
Ek usre ke Deedaar mein  guzar rahi thi wo raat humaari.

Bas yun dekhne ka Silsila chalta raha,
Aur Waqt tazi se aage nikalta raha,
Bas ab kuchh hi pal baaki the Didaar ke liye,
Ye soch ke hi dil bas darta raha.

Bina kuchh kahe, bina kuchh sune,
Wo yu hi chal diye,
Hum bhi unhe jaate huye dekh rahe the,
Apne hothon ko siye.

Bas dua hai ye rab se ki,
Kahin phir se Deedaar ho unka,
Abke mil ke bichhde na hum,
Yun milke pura ho armaan is dil ka.

..................................... Jiya...


Wonderful Jiya ! bohot achcha likha hai !
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: March 05, 2008, 05:44:52 AM »
Reply with quote
 Applause Applause

Wonderfull..!!
Logged
Jiya
Guest
«Reply #8 on: March 05, 2008, 08:15:31 AM »
Reply with quote
oh thank u honeyrose, talat ji and Gaurav ji. Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 19, 2024, 01:29:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer