woh jo simat kar.........

by ranjana on June 14, 2006, 02:37:09 AM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 19559 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #120 on: June 30, 2006, 10:36:42 AM »
Reply with quote
koshish bahut hi khubsoorat hai aapki RANJANA JI....

Milke choomne ka wada unke muah se nikal gaya,
poochi jo jagah wo kahane lage ki khwaabon me....

yeh andaaz unke ek din jaan le ke jayenge meri,
shayad maza aata hai unhen, mujhe tadpane me....

hasrton ko mere dil ki, dil me hi machalta chod,
bheegi barsaat me wo khush hai mujhe jalane me...

samne nazron ke, wo saheli ko apni choomte rahe,
idhar main tarasta raha, aur wo lage the itrane me.....

shayed isi ko mohabbat kahate hain e-doston,
sukoon milta hai mujhko unke is tarah satane me...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khud mai simat jati hu by Pooja in Miscellaneous Shayri
Jis Simat Bhi Dekhoon Nazar by faizan's in Shayri for Khumar -e- Ishq
{Be-Simat Tha Safar} by angel4u in Shayri-E-Dard
simat ja mere wajood me by mrigank in Shayri for Khumar -e- Ishq
pyar simat aaya hai....... by yati_om in Ghazals
ranjana
Guest
«Reply #121 on: June 30, 2006, 10:58:48 AM »
Reply with quote
shukriya bahut khub likha aapne.........Vicky...........

hame aata hai maza unko sataane mein
bad jaata hai pyaar ruthane manane mein

woh raato ko hamko jagate hain bahot
hame aata hai maza unko rulaane main

hamne jab lagaya gulabo ko apne labo se
woh kahne lage ki kash hote ham in gulabo mein

beegati barasat mein dekha jo unhone bheega badan mera
ek shararat si chamak gayi unki gehari si  aankho mein

shokhiyan bad gayi unke  haatho   ki
aur ham tadapate rah gaye unki  bahaon mein..........
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #122 on: June 30, 2006, 11:28:44 AM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA JI... bahut acha likha aapne...

Teri aankhon me nazar aaye hai wo jannat mujhko,
meri jannat teri aankhon ke siwa aur kahin bhi nahi hai.....

chahata hoon bahakna in aankhon ke mayekhane me,
jo nasha hai teri aankhon me, wo sharab me bhi nahi hai.....

gulaabi un labon pe tere, dil mera bhi aaya hua hai,
nazakat wo khushboo aise, kisi gulaab me bhi nahi hai....

bheegi barsaat me un chat pe aakar zulfen bikherna tera,
jo kashish hai in ghataon me, wo badlon me bhi nahi hai.....

tadpaane aur tarsaane ki yeh ada kahan se seekhi tumne,
yeh shokhiyan aur bankpan, chand ki chandni me bhi nahi hai........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #123 on: June 30, 2006, 11:45:30 AM »
Reply with quote
nice one vicky .......ek alag sa andaz hai aapka ...wonderful.........

in sitaaro se hamse chamkana sikha
in bahaaro ne hamse behakna sikha

yeh jo aarahi khusboo phoolo se
yeh khusbu mere badan ki hi hai

yeh jo jagmaga rahi hai chandani
ismein chamak mere husan ki hai

khanak rahi hai jo hawa tere kaano mein
woh kahank mere is kangana ki hai

baj raha hai jo boondo ka saaz tere kaano mein
woh gazal mere payal ke ghungroo ki hai'

yeh baras raha hai jo sawan madhosh ho ke
yeh ghata  tujh per baras rahi mere gesuo ki hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #124 on: July 01, 2006, 06:54:23 AM »
Reply with quote
Andaaz-e-shayari to aapki bhi lajawab hai RANJANA JI...bahut khoob.........


Chand-sitaron ki kya bisaat sanam, tere husn ke aage,
madhoshi wo saawan me kahan, teri aankhon ke aage...

tere labon ke aage har khubsoorati feeki se nazar aati hai,
bahati in fizaon me wo rangat kahan, teri ada ke aage.....

barasti yeh boonden sanam, tere badan se takrayen jo,
dil mera phir atak gaya, badan se lipte aanchal ke aage....

pal-pal teri choodiyon ki chan-chan, tadpati hai mujhko,
aaj bhi bahak jata hoon sanam, teri jhanakti payal ke aage......

jab tak na mile the hum tumse, yeh zindgi anjaani se thi,
kaanp uth-ta hoon soch ke, judaai ki us kayamat ke aage....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #125 on: July 01, 2006, 11:00:59 AM »
Reply with quote
behad khubsurat likha hai aapne...Vicky..........

tere yahi khayalaat muhje tera diwana banaaye jaate hain
tujhse ek pal bhi dur rahe kaise hum sanam.......
tere jajbaat mujhe tere kareeb liye jaate hain

woh tera bankpan woh teri shokhiyaan
 jab bhi mere jehan per chhaa jaat hai
kar deti hain woh diwana mujhko is kadar
ki teri chahat mein mujhe har cheege mein teri suart hi nazar aati hai

teri awaz ka jadu mere kaano mein ghul sa jaata hai
jab pukarta hai pyaar ke naamo se mujhko
toh meri rooh ko jaise qarar sa aata hai

chumate hain lab tere jab mere gusu.o ko madmast ho ke
tuh mere dil ko tujhe per beinthaa pyaar sa aata hai

tu bas gaya hai mere dil ki dharkan mein aise
ab toh teri bahaon mein hi mujhe apna khuda nazar aata hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #126 on: July 01, 2006, 11:57:29 AM »
Reply with quote
RANJANA JI.... behad khubsoorat likha hai aapne... nice one

Nazren milane se pahale sanam, jhuka leti kyun ho,
samne aane se pahale, parda rukh pe sajaati kyun ho...

din raat aahen bhar ke jeeta hoon teri yaadon me,
ek baar phir meri baahon me, aa jati nahi kyun ho....

khwabon me deewana bana jati ho mujhko is kadar,
haqiqat me seene lagne se mere, sharmaati kyun ho......

kareeb aane ko tere majboor karta hai yeh saawan,
ishq ki aag phir mujhe pal-pal sanam, jalaati kyun ho......

jadoo teri jhanjar ka, chhaya is kadar mere kano me,
pila aankhon se, jhanka payal hosh me phir lati kyun ho....

khoya rahata hoon sanam teri, mithi-mithi baaton me,
phir gesuon ke baarish se, mujhe tum jagaati kyun ho......

labon ki wo shararat, aur aankhon ki yeh shokhiyan,
dikha kuch der khayalon me, juda phir ho jati kyu ho....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #127 on: July 01, 2006, 12:32:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
RANJANA JI.... behad khubsoorat likha hai aapne... nice one

Nazren milane se pahale sanam, jhuka leti kyun ho,
samne aane se pahale, parda rukh pe sajaati kyun ho...

din raat aahen bhar ke jeeta hoon teri yaadon me,
ek baar phir meri baahon me, aa jati nahi kyun ho....

khwabon me deewana bana jati ho mujhko is kadar,
haqiqat me seene lagne se mere, sharmaati kyun ho......

kareeb aane ko tere majboor karta hai yeh saawan,
ishq ki aag phir mujhe pal-pal sanam, jalaati kyun ho......

jadoo teri jhanjar ka, chhaya is kadar mere kano me,
pila aankhon se, jhanka payal hosh me phir lati kyun ho....

khoya rahata hoon sanam teri, mithi-mithi baaton me,
phir gesuon ke baarish se, mujhe tum jagaati kyun ho......

labon ki wo shararat, aur aankhon ki yeh shokhiyan,
dikha kuch der khayalon me, juda phir ho jati kyu ho....


wah!!!!!!! wonderful.........

nazare meri is lsliye jhuk jaati hai sanam
kahi tujhse karde na haale dil apna bayaan hum

teri bahaon ki panaho mein sakun paata hai yeh dil
per tujhko yeh bataane se ghabarata hai mera dil

tere seene se lag ke sakun sa mil jaata hai mujhko
per din ke ujaale mein yeh khawab ban ke statata hai mujhko

sawan ki badari bhi tera hi saath nibhaati hai sanam
jab chhoota hai tu mera gilla badan toh ek aag si lag jaati hai mujhko

mere kangana pyaal jo tere kaano mein ek raag sa gaate hain
yeh toh mere pyaar ke ishare  jo tujhe apne pass bulaate hain

hamare yahi naaz hai jo tumhare dil ko lubhate hain
yehi sitam toh mere,tumhare  dil ki pyaas aur bada jaate hain

ruth  ke hum jab tumko jalaate hain
tere kareeb sanam hum aur aa jaate hain .....

badh jaati hai fir pyaar karne ki tadap kuch aise
ki hum sach mein tere pyaar mein had se gujar jaate hain
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #128 on: July 01, 2006, 12:59:01 PM »
Reply with quote
RANJANA JI.... BEHTREEN LIKHA HAI AAPNE.....


Nazren jhuka ke sanam, kya mujh se chupa rahi ho,
haal-e-dil apna kar do bayan, kyun mujhe tadpa rahi ho.....

kaha do aaj wo sab, jo baat dil me tere samaye hai,
gar hai mohabbat, to izhar-e-mohabbat kyun karti nahi ho.......

seene se lag ke mere, karti rahati ho bas kai baaten,
mohabbat me had se guzar jane ko kyun tadapti nahi ho.......

saawam bhi hai khumaar pe, aur tu bhi hai haseen,
phir kyun khud machalti ho aur mujhe tarsaati kyun ho......

kangan-payal-bindiya teri, bas sab shor machate hain,
yeh bulaate hain mujhko, tum pyaas kyun bujhati nahi ho.....

har naaz-andaaz tera, uth-ta hoon main palkon pe,
jo dekhni hai mohabbat-e-ada, wo dikhati kyun nahi ho......

ruth jati ho bas pal me, phir pal me hi mann jati ho,
jab ruth-ta hoon main sanam, kabhi manaati bhi nahi ho......

yun to kahati ho karti hoon mohabbat bepanah tumse,
phir har raat sanam mohabbat-e-aag me jalaati kyun ho....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #129 on: July 01, 2006, 01:20:48 PM »
Reply with quote
bahut khub vicky ..........reply thoda sa naughty....... :D


yeh teri fariyaad hai ya duhai hai  duhai hai
maine kar liya ikarar aur tune kyu- kyu ki pukar  lagaai hai

hamne toh likh ke apna saara haale dil tumko keh diya
tumhe fir bhi meri baat samjh mein kyu na aayi hai

tere har subeh ki pehli kiran mein hum hai
har dhalati hui shaam mein hum hi teri gazal hain

tere seene mein bas rahi har dharkan ki pukaar hain hum
tere saanso ki rawani mein beh rahi rafataar hain hum

tu kahe toh teri har baat mein dhal ek dikha de
aaj tujhse khule aam mohabbat kar ke dikha de......... :D
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #130 on: July 05, 2006, 06:31:40 AM »
Reply with quote
RANJANA .... bahut khoob... khubsoorat likha hai apne... very nice....

Bhari mehfil jo tumne, mohabbat-e-izhaar kar diya,
lo humne bhi aaj apne dil ko tumhare naam kar diya....

chahat me meri har pal, tu dharkan ban samai hai,
tere ikraar is ne mohabbat ko apni jawaan kar diya....

har subah har shaam meri bas tumse hai sanam,
raaton ko bhi humne apni tumhare naam kar diya...

aaj baahon me lene ki tujhe, phir tamanna jagi hai,
tasveer teri ne lipat seene se, yeh zaahir kar diya....

kahani aur kai baaten tumse, par is mehfil me nahi,
warna kahogi ki sar-e-aam humne tumhe badnaam kar diya....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #131 on: July 05, 2006, 08:48:05 AM »
Reply with quote
Superb Vicky.. Usual Smile  kya baat hai...bahut  khoob...........

Tumne jab kar liya hai mujhse apni mohabbat ka iqarar sanam
toh apne is iqarar ka vaada bas yun hi sacha   rakhana
main har pal rahuangi teri bahaon mein yun hi simati si
bas apne pyaar ki tu mujh per yun hi barsaat rakhana

chum lungi teri aankho ko chupke se
tere saare sapne apne bana lungi
tere labo pe hai jo kai ankahi baate
woh apne labo se aaj chura lungi

kho jayega jab tu meri julpho tale
ek meheka sa sawan barsa dungi
teri tej hoti saanso mein jaane-jaana
main apne saanso ki sargam mila dungi

kar dungi tere kaano mein chupke se kuch  aise sargoshiyan
tere dil ki dharkano  ko aaj mein bada dungi
kas lega jab tu apni bahaon ke ghere mein mujhko
apne daman se main bhi tujhko lipta lungi

beet jayenge bas yeh pal pyaar ke yun hi
jindagi sukh ke saaye mein gujar jayagi
kya kahega zamana ab yeh prawaha  nahi hai mujhko
 yun hi teri bahaon mein simat ke jindagi ki shaam dhal jayagi
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #132 on: July 05, 2006, 01:35:09 PM »
Reply with quote
wah wah wah ! kya baat hai RANJANA...
behad khubsoorat likha hai aapne... kamaal hai...

Yeh sapna tha mera, pana hai teri mohabbat ko,
main nibhaunga is vaade ko, tum bhi nikhte rahana...

tu rahegi meri baahon me simat ke har pal sanam,
ban dharkan is dil ki, tum ise dharkaate rahana....

jab choomogi tum, meri aankhon ko chupke se,
un khwaabon ki tameer tum yun hi karaati rahana....

mere labon ki in ankahi baaton ko tumne dekha hai,
in baaton ko zindgi me meri tum yun hi mahakati rahana......

yeh saanse meri tere choo lene se hi badh jati hain,
ban ke sargam tum, mere geeton ko sajaati rahana....

wo kaunse sargoshiyan hain jo karni hain tumhen,
har sargoshiyon ka tum, jaadu mujh pe chalati rahana.....

kas legi tu jab apni baahon me mujhko is kadar,
wo lau mohabbat ki tum, mujhame jalaati rahana.....

kaash! ke yeh mohabbat ke pal aise hi bas beeten,
zindgi ko meri tum e-sanam, yun hi sanwarti rahana......

kahane do zamane ko, zamane ka kaam hai kahana,
bani hain kuch kahanaiyan, ek kahani ko aur tum,
sath mere aise hi tum anjaam ko deti rahana....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #133 on: July 05, 2006, 01:56:24 PM »
Reply with quote
wah wah wah kaya baat hai Ranju and Vicky... tooo goooood....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #134 on: July 05, 2006, 03:50:26 PM »
Reply with quote
shukriya pooja .................



mere jame hue ehasaso se ek barf si pighalne lagi
aaj mein teri bahaon mein aake ek shama ki tarah jalne lagi

tere pyaar bhari nigaaho ne aaj mera sara dard pee liya
main aaj ek naya aramaano se, jajbaato se mehekne lagi

chhoo liya jab tune mera badan apni garm hathaliyon se
mere dil mein tujhe paane ki chahat si jagane lagi

chandani bhi aaj lehek ke chaand ke daman se lipat gayi
mere labo per jami payaas bhi aaj tere labo ke saaye mein pighalne lagi

ho gaya har aramaan pura mere khawabo ka
meri rooh tut ke tujhko pyaar karne ko machalane lagi

khamosh ho gaya yeh dekh ke saara saama
meri preet dulhan ban ke tere aagosh mein simatane lagi
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 02:50:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer