woh saamne aaye

by majid on March 08, 2006, 07:57:14 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2393 times)
majid
Guest
Reply with quote

woh saamne aaye to nazron ko jhuka loonga
dekhoonga nahi phir bhi tasveer bana loonga

aanaa hai to aajaao ruswaao nahi hogi
dekhega nahi koi palkon mein chupa loonga

jo hum par guzarni hai, ek baar guzar jaaye
har gum ki tarah tujhko seene se laga loonga

veeran agar dil ho, aankho mein andhera ho
yaadon ke diye apni palkon mein saja loonga

manzoor agar hai ruswaai teri mujh ko
mai baith ke saahil se toofan utha loonga

naraaz agar woh hai mere nashemann se
mai apne nashemann ke tinko ko hata loonga

kyon mujh se khafa ho kar woh door gaye,
baahon mein woh aajaayen to unko mana loonga.

n/m
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jab Woh Saamne Khari Ho Jaati Hai - By Songwriter_123 by songwriter_123 in General Stories
VO KHUD AA GAYE SAAMNE ........MKV by mkv in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ghazal : Wo saamne aaye to nazron ko jhukaa loonga by R.M. Dixit in Share:Love Poetry
MOVED: ghazal : Wo saamne aaye to nazron ko jhukaa loonga by ParwaaZ in Other Languages
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 28, 2008, 09:32:01 PM »
Reply with quote
Wah kaya baat hai, itani pyari kavita na jaane kaise miss ho gai majid ji!! Bahoot hi pyar se bhawano se likhi hui kavita hai yah!! Good job!!

Samne atte hi najar meri bhi jhuk jaati hai
Tasveer teri ek najaro main utar jaati hai

Ban jaao mere aaina yah dil bhi kahta hai
Lubo per atte atte magar yah baat ruk jaati hai

Na milo jo ek din bhi, dil ko yah gawara nahi
Guzarati hai kaya is dil per, saansein bas ruk jaati hai

Veeran thi yah zindagi, tumne akar mehkaya hai
Teri muskaan se, is gulshan ki her ek kali khil jaati hai

Naraz jab bhi ho hum, humko mana lena
Bahon mai teri hume, ek nai zindagi mil jaati hai!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: February 29, 2008, 02:37:40 AM »
Reply with quote
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

woh saamne aaye to nazron ko jhuka loonga
dekhoonga nahi phir bhi tasveer bana loonga

aanaa hai to aajaao ruswaao nahi hogi
dekhega nahi koi palkon mein chupa loonga

jo hum par guzarni hai, ek baar guzar jaaye
har gum ki tarah tujhko seene se laga loonga

veeran agar dil ho, aankho mein andhera ho
yaadon ke diye apni palkon mein saja loonga

manzoor agar hai ruswaai teri mujh ko
mai baith ke saahil se toofan utha loonga

naraaz agar woh hai mere nashemann se
mai apne nashemann ke tinko ko hata loonga

kyon mujh se khafa ho kar woh door gaye,
baahon mein woh aajaayen to unko mana loonga..............

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

bahut pyara kalam likha hai aapne Majid ji.

Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: February 29, 2008, 02:39:00 AM »
Reply with quote
Wah kaya baat hai, itani pyari kavita na jaane kaise miss ho gai majid ji!! Bahoot hi pyar se bhawano se likhi hui kavita hai yah!! Good job!!

Samne atte hi najar meri bhi jhuk jaati hai
Tasveer teri ek najaro main utar jaati hai

Ban jaao mere aaina yah dil bhi kahta hai
Lubo per atte atte magar yah baat ruk jaati hai

Na milo jo ek din bhi, dil ko yah gawara nahi
Guzarati hai kaya is dil per, saansein bas ruk jaati hai

Veeran thi yah zindagi, tumne akar mehkaya hai
Teri muskaan se, is gulshan ki her ek kali khil jaati hai

Naraz jab bhi ho hum, humko mana lena
Bahon mai teri hume, ek nai zindagi mil jaati hai!!!


Nice and lovely reply pooja di.

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: March 02, 2008, 11:38:55 AM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai majid ji.. Usual Smile


Woh hamare saamne aaye aur hum kuch na kahe
Woh hamare dil pey chahat jagaye aur hum kuch na kahe
Zindagi ke haseen pal guzare unke saya mein aur kuch na kahe
Bas saath janam ka wadah karke chale aur hum kuch ka kahe
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: March 03, 2008, 05:24:33 PM »
Reply with quote
Wah kaya baat hai, itani pyari kavita na jaane kaise miss ho gai majid ji!! Bahoot hi pyar se bhawano se likhi hui kavita hai yah!! Good job!!

Samne atte hi najar meri bhi jhuk jaati hai
Tasveer teri ek najaro main utar jaati hai

Ban jaao mere aaina yah dil bhi kahta hai
Lubo per atte atte magar yah baat ruk jaati hai

Na milo jo ek din bhi, dil ko yah gawara nahi
Guzarati hai kaya is dil per, saansein bas ruk jaati hai

Veeran thi yah zindagi, tumne akar mehkaya hai
Teri muskaan se, is gulshan ki her ek kali khil jaati hai

Naraz jab bhi ho hum, humko mana lena
Bahon mai teri hume, ek nai zindagi mil jaati hai!!!


Pata Nahii Pooja Ji Aap Ise Kahan Se Dhund Laaye
Main To Bhul Bhi Gaya Tha..kher Thanks Ji..
Aur Kya Mast Rep Diya hai ji aapne..Thanks again

 Mast Rep ka koi mast rep aa jaata to majid ji jayada acha lagta!! beshaq se waqat le le app.. magar issi tarah ka mst rep kijiyega yaha Usual Smile

waiting..
Logged
Jiya
Guest
«Reply #6 on: March 04, 2008, 08:29:59 AM »
Reply with quote


woh saamne aaye to nazron ko jhuka loonga
dekhoonga nahi phir bhi tasveer bana loonga

aanaa hai to aajaao ruswaao nahi hogi
dekhega nahi koi palkon mein chupa loonga

jo hum par guzarni hai, ek baar guzar jaaye
har gum ki tarah tujhko seene se laga loonga

veeran agar dil ho, aankho mein andhera ho
yaadon ke diye apni palkon mein saja loonga

manzoor agar hai ruswaai teri mujh ko
mai baith ke saahil se toofan utha loonga

naraaz agar woh hai mere nashemann se
mai apne nashemann ke tinko ko hata loonga

kyon mujh se khafa ho kar woh door gaye,
baahon mein woh aajaayen to unko mana loonga.


very nice Majid ji Usual Smile bohot hi achha likha hai aapne....

tasveer unki tum apne dil mein bana loge,
phir palkon mein apni unka chehra chipa loge,
ruthe huye dibar ko agar mana liya tumne,
to kasam se tum ek din apne dilbar ko pa hi loge......

.......................................... jiya ....
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: March 04, 2008, 04:07:55 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Majid, Pooja, Honey and Jiya !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: March 04, 2008, 04:18:37 PM »
Reply with quote
Well Pooja Ji Ishq Main Likhna
Kafi Mushqil Hota Hai Ji
Kher Fir Bhi Koshish Karte Hain Ji,,,

Apni Hasti Ko Mitakar Aapko Sanwaar Jaayenge.
Aapki Khushiyon Ke Liye Kuch Bhi Kar Jaayenge.

Kismat Ki Lakeeron Se Tujhe Paaya Hai.e.Sanam.
Bus Ab Aapko Hi Jeene Ka Maqshad Banaayenge.

faqat Aap Se Hi Karte Hain Sari Raaz Ki Batien
Har Ek Ko Dasta -e-Dil Suna Nahi Paayenge.

Aapki Har Khata Har Naaz.o.Andaz Sir Aankhon Par
Aapki Har Bhool Ko.e.Dilbar Hum Bhool Jaayenge.


Aap Chahkar Bhi Ab Humse Rooth Nahi Paayenge
Abki Baar Is Kadar Aapko Pyaar se  Manaayeneg.

such mai Majid ji bahoot hi pyara likha hai.... bold ki lines to bahoot he pyari likhi hai apne!! Good job!!

bahoot khoob Jiya!!

Teri hasti se hai ab meri hasti
Meri khushia ka ab khayal rakhna
Tere dil mai jagah banai hai maine
Apne angan mai mera khayal rakhna

Kismat aor lakeero ki tum jaano
A rub meri duao ka khayal rakhna
Jeena jo na likha ho tere sung
Ho mout teri bahon main, yah khayal rakhna

Dil-e-haal apna suna kar wo hans diye
A hajoor is dil-e-chirag ka bhi khyal rakhna
Humari her ada ko nadani samjhane wale
Barsati hui is barsaat mai, humara khyal rakhna


Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: March 06, 2008, 06:14:38 PM »
Reply with quote
wah wah kaya baat hai Majid!! bahoot khoob!!!

Meri Urdu bahoot bahoot bahoot boori hai, magar majad ji Apki urdu wali shayri pard kar likhne ki koshish ki hai.. koi lafz galat likha gaya ho to pls bata dijiyega!!!


Dil-e-tamnna ab kaise samjhaye unhe
Kin lafzo mai ikraar-e-naama phunchaye unhe

Khil uthi hai fiza aor rang-e-tabiyat kaya kahe
Kab samjhege wo, yah koi samjhaye unhe

Chaht na jaane kab parwaan hui
Dil ka humare haal, koi sunaye unhe

Unki bahon mai jaane ki humari khwaish
Ya Allah, kaise bataye unhe!!!!

Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: March 07, 2008, 03:01:33 AM »
Reply with quote
wah majid ji and pooja di... bahut khoob ..
(Pooja di waise aapka urdu kamjor to nahi lagta... )
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: March 07, 2008, 06:39:31 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Shukaria Pooja Ji..
Aapne Bhi Achha Likha Hai Ji Keep It Up.

Dil Ki Saari Tamannae Puri Ho Jaaye.
Woh Aagar Iqraar.e.Mohabbat Kar Jaaye.

Phool Hi Phool Bichha Du Unki Raaho Main.
Bus Woh Gar Meri Aur Do Kadam Badhaaye.

Humna Chhodenge Kabhi Raah.e.Wafaa.e.Sanam.
Fir Chahe Dushman Sara Jahaan Ho Jaaye.

Bhool Jaayeneg Woh Saare Siqwe Gile Majid
Bus Ek Baar Gar Meri Baahon Main Aa Jaaye.



Wah bohat acha likha hai pooja aur majid ji..Usual Smile

Kabhi na jaan paye ke unko humse itni mohabatt hai 
Woh haseen lamhon ki intezar hoga itni mohabatt hai 
Jazbat mein hum behek gaye hai aapse itni mohabatt hai 
Ek baar kehe toh dekho mere isqh hai gehera itni mohabatt hai 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: March 07, 2008, 03:46:59 PM »
Reply with quote
Thanks Roja and Honey!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: March 12, 2008, 09:31:01 PM »
Reply with quote
subhaan allah kya kamaal likha hai Majid ji, Pooja sis n Honeyrose..
Padh kar behadd acha laga...meri taraf se choti si koshish

woh saamne aayein to mausam-e-bahaar aa jaye
iss bechain dil ko bhi qaraar aa jaye
yeh khoye-2 se rehna..
yeh mann hi mann baatein karna
har baat pe khoab bunana..
woh aayein to har khoaab ki haqiqat nazar aaye

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #14 on: March 12, 2008, 09:50:22 PM »
Reply with quote
Sabhi doston ne bahut achcha likha hai Applause

Niks zyada khwaab na dekha kar Winking
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 02:20:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer