Zara Khiraama Khiraama

by asma zehra on March 05, 2009, 08:59:14 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 804 times)
asma zehra
Guest
Reply with quote

Hai taaluk-e-na-paayadaar —zara khiraama khiraama
Ai hasrat-e-raftaar —zara khiraama khiraama


Abhi to mahfile aarzoo saji hai
Ai tishna-e-deedaar —zara khiraama khiraama

Uthe hain khadam raah-e-talab ki jaanib
Ai manzil-e-kharaar —zara khiraama khiraama

Vahmo-gumaan ke halkhe hain besabab
Ai had-e-intezaar —zara khiraama khiraama


Asma Zehra
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #1 on: March 05, 2009, 09:06:11 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Asma Saheba


Shayed aap ka tauluq Hydrabad se hai

Dad Hazir hai
aye aarzoo-e-beqarar zara khirama khirama
Aahi jayega aitbaar  zara khirama khirama


nacheez ki janib se


javed




Logged
asma zehra
Guest
«Reply #2 on: March 05, 2009, 09:34:10 AM »
Reply with quote
Javedarshad Saahab,

Aap ka to jawaab nahin.

Sher padh kar sahar ka andaazaa lagaa liya
Aur kya kya hunar hai mere is dost mein?

Aap ki daad par ek daar meri bhi

Betaabi, bechaini, beqaraari hi sahi
lutf aa raha hai magar khiraama khiraama
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: March 05, 2009, 10:55:00 AM »
Reply with quote
Wah wah kya baat hai Zehra ji. bhoot khoob likha hai.. Javed bhi nice Replay...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: March 05, 2009, 03:41:38 PM »
Reply with quote
Javedarshad Saahab,

Aap ka to jawaab nahin.

Sher padh kar sahar ka andaazaa lagaa liya
Aur kya kya hunar hai mere is dost mein?

Aap ki daad par ek daar meri bhi

Betaabi, bechaini, beqaraari hi sahi
lutf aa raha hai magar khiraama khiraama


Muhtarma Tasleem

Tareef is nacheez ki husnezan hai aapka
kia main kia huner apni zat se nabald hun main

aap ki is dad ke shukriye ke sath

Is betabi,is beqarari,is tajassus ko kia naam  doon
ahwal khud hi khul jaingay magar  khirama khirama

shukria
javed



Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 05, 2009, 05:24:09 PM »
Reply with quote

Hai taaluk-e-na-paayadaar —zara khiraama khiraama
Ai hasrat-e-raftaar —zara khiraama khiraama


Abhi to mahfile aarzoo saji hai
Ai tishna-e-deedaar —zara khiraama khiraama

Uthe hain khadam raah-e-talab ki jaanib
Ai manzil-e-kharaar —zara khiraama khiraama

Vahmo-gumaan ke halkhe hain besabab
Ai had-e-intezaar —zara khiraama khiraama


Asma Zehra

Asma Ji,

Bohot hi Khoob .... Bohot Khoob !
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: March 26, 2009, 08:02:12 AM »
Reply with quote

Hai taaluk-e-na-paayadaar —zara khiraama khiraama
Ai hasrat-e-raftaar —zara khiraama khiraama


Abhi to mahfile aarzoo saji hai
Ai tishna-e-deedaar —zara khiraama khiraama

Uthe hain khadam raah-e-talab ki jaanib
Ai manzil-e-kharaar —zara khiraama khiraama

Vahmo-gumaan ke halkhe hain besabab
Ai had-e-intezaar —zara khiraama khiraama


Asma Zehra

bhut khoob asma ji...............bhut hi achay
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 10:39:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer