*~Zubaan Se~*

by honeyrose on October 30, 2008, 08:09:25 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2483 times)
honeyrose
Guest
Reply with quote
Zubaan se hum na keh sake
Isliye dard dil mein chupate hain

Khuda se bas yahi fariyaad karte hain
Ke woh mann le hum aaj bhi unhe yaad karte hain

Na chupao keh do dil ki baat humse
Rakhna bharosa hum par tumhe dil se pyaar karte hai..

______honeyrose_____
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil ki zubaan by yasir_sensitive in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ankhon ki zubaan... by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
Meri Zubaan.......... by Ghayal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
AANKHOON KI ZUBAAN by mahesh_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bol do zubaan se by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Daredevil
Guest
«Reply #1 on: October 30, 2008, 09:10:10 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Hats off to you!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: October 30, 2008, 09:29:43 AM »
Reply with quote
Thank you Rishi.. notworthy
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: October 30, 2008, 10:15:03 AM »
Reply with quote
Achcha likha hai Honey Ji aap ne
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #4 on: October 30, 2008, 10:25:05 AM »
Reply with quote
Haan Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibadat Ki Hai
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai
Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai
Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat K Hai
Haseen Azaala Hai Karam Hai Ya He Khush Bukhti
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai
Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai
Khood Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai
Haan Pyaar Nahi Iahq Nahi Ibadaat Ki Hai


NM
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: October 30, 2008, 10:36:10 AM »
Reply with quote
Haan Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibadat Ki Hai
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai
Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai
Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat K Hai
Haseen Azaala Hai Karam Hai Ya He Khush Bukhti
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai
Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai
Khood Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai
Haan Pyaar Nahi Iahq Nahi Ibadaat Ki Hai


NM
Good one Rishii
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 30, 2008, 10:36:46 AM »
Reply with quote
tum yaad ho tou naqsh ho mere hawaas per
tum ashq ho tou mere dukhon ka ilaaj ho
tum khawab ho tou meri in aankhon mein ho kahin

tum weham ho tou mujh ko haqeeqat say kia gharz
tum baaes e safar ho hunar ki uraan ho
tum neend ho tou soo ka guzarein gay ye hayat
tum husun ho tou mere takheel ki jaan ho

tum raat ho tou mujh ko nahi subha ki talab
tum noor ban k dil mein samaye ho aaj kal
tum khaak ho tou khaak nashino ki ho talash
tum dard ho tou rooh per chaaye ho aaj kal
NM (Thanku)
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: October 30, 2008, 10:43:51 AM »
Reply with quote
Thank you Rajesh ji..


Very nice sharing Rishi...
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #8 on: October 30, 2008, 10:45:45 AM »
Reply with quote
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa


NM
Logged
k.shael
Guest
«Reply #9 on: October 30, 2008, 10:54:20 AM »
Reply with quote
VERY NICE HONEY DIDI Applause,
BY. K.SHAEL
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: October 30, 2008, 11:05:30 AM »
Reply with quote
Thank you Shally dear... notworthy

Nice sharing Rishi..
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #11 on: October 30, 2008, 11:06:19 AM »
Reply with quote
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa


NM
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: October 30, 2008, 12:24:13 PM »
Reply with quote
Nice one Honey Sis,.
Good One,.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: October 30, 2008, 12:38:51 PM »
Reply with quote
Nice one Honey Sis,.
Good One,.

Shukriya bhai... notworthy

Nice sharing once again Rishi
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #14 on: October 30, 2008, 12:44:11 PM »
Reply with quote
Ik tere naam se kitnee yadain beykal ho jatee hain
Main rona nahi chahta laiken ankhain jalthal ho jatee hain

Kahan se aayi janey mugh main itnee chahat itnee shiddat
Judai k naam pey meeri apni sansain qatal ho jatee hain

Jo jo sun ker sehtey they aab sab samjh main aata hai
Bicher ker kissi se kaisey bhala
umaiden pagal ho jatee hain

Sab darwaze band hue tu dar khula duaoon ka
Uss k karam se dekha aksar rahain manzil ho jati hain
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:33:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer