Aa jate hain aasoo.....(Ghayel)

by sajid_ghayel on April 08, 2009, 12:23:50 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1866 times)
sajid_ghayel
Guest
Ho kisi bhi aakh me, hain to magar aasoo
Aaj meri to kal teri, aakho me hoge yahi aasoo

Woh kitna pareshaan hain, use ab hosh hi kaha
Rone ki baat pe hase, aur hasi pe aa jate hai aasoo

Har waqt dua hain, hath peele ho betiyo ke
Aur jab hoti hain betiyaan vidah, q aa jate hain aasoo

Koi bhar pet ro raha hain, ke lazzat me kami thi
Aur kisi ki bhookh ne, aakho me la diye aasoo

Kisi ko gam hain judaiee ka, to kisi ko dard-e-bewafaiee
Aur kisi ne itni mohabbat payee, khushi se nikal pade aasoo

Kaisi namaz teri kaisa tera sajda kaisi teri ibadat
Jo aaye na khauf-e-khuda se GHAYEL, kabhi teri aakh me aasoo

-Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bhool jate hain? by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha ban jate hain by VIKRANT in Shayri-E-Dard
Hum Dono Ajnabi ho Jate Hain by javedarshad in Shairi - E - Zindagi
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Aasoo Ghayel ka.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: April 08, 2009, 12:40:17 PM »
Bahut khoob sajid ji  Applause Applause

Bigdi kismat ko banane ke liye
Minnate bahut ki usse manane ke liye

Dard ka sagar sama gaya meri aankhon mein
Aur mai reh gayi ashq bahane ke liye..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: April 08, 2009, 01:55:42 PM »
Waah Waah waah, Subhan Allah, Subhan Allah, Suhan Allah, Kya Khoob Likha Hai sajid Bhai Aapne,.
Har Ashaar mashallah, Bohat Bade Ishaare Deta hai,.

Subhan Allah, Jitni Bhi tareef kjaroon Kam Hai is Kalaam ki, Allah Aapke Kalaam Ko mehfooz Rakhein,.

Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2009, 10:20:18 PM »
very nice,mere ghayel,
aap ke dil mein garibo ke liye feeling hai,
mindblwing.madhu
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2009, 10:51:57 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley wah kaya baat hai, bahoot khoob ek ek line kamal ki rachi hai apne Sajid!! Good creation!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: April 09, 2009, 06:16:46 AM »
Mindblowing .. Sajid Ji kya baat hai.. very Nice creation...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2009, 07:36:50 AM »
Bahut khoob sajid ji  Applause Applause

Bigdi kismat ko banane ke liye
Minnate bahut ki usse manane ke liye

Dard ka sagar sama gaya meri aankhon mein
Aur mai reh gayi ashq bahane ke liye..

Bohat shukriyaan Roja meri tareef aur in khoobsurat shero ke liye....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: April 09, 2009, 06:03:54 PM »
Waah Waah waah, Subhan Allah, Subhan Allah, Suhan Allah, Kya Khoob Likha Hai sajid Bhai Aapne,.
Har Ashaar mashallah, Bohat Bade Ishaare Deta hai,.

Subhan Allah, Jitni Bhi tareef kjaroon Kam Hai is Kalaam ki, Allah Aapke Kalaam Ko mehfooz Rakhein,.

Yunhi Likhte Rahiye,.

Thank You Azeem for alwayssssss giving encouragement to Yoindian, i know there are soem Yoindians who dont bother to give their comments on my thread, y they do that is a mystry. But its fine those who give are the best of the best not because they give comment on my post but because they love poetry regardless the fact who has written it.

My comments were not for those Yoindians who have miss my work, i myself do miss many beautiful work. But my comments are for those people who never participate in any post even after reading it. And the funny part is they expect everyone to read their work and comment on that.

-Ghayel-

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 10, 2009, 10:47:13 AM »
Thank You Azeem for alwayssssss giving encouragement to Yoindian, i know there are soem Yoindians who dont bother to give their comments on my thread, y they do that is a mystry. But its fine those who give are the best of the best not because they give comment on my post but because they love poetry regardless the fact who has written it.

My comments were not for those Yoindians who have miss my work, i myself do miss many beautiful work. But my comments are for those people who never participate in any post even after reading it. And the funny part is they expect everyone to read their work and comment on that.

-Ghayel-



Jab Shayari Achchi Ho, Dil Par zaroor Asar Kar Jaati Hai,.
Aur Dushman Ko Bhi Shayari, Daad Dene Par Majboor Kar Jaati Hai,.

Hume Aur Bhi, Umeedein hain Aapse, Sajid Bhai, Yunhi Likhte Rahiye,.

Thank U,./

Azeem,.

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2009, 07:28:53 AM »
very nice,mere ghayel,
aap ke dil mein garibo ke liye feeling hai,
mindblwing.madhu

Thank u sweetheart for ur time and comment, aur dear kabhi hum bhi bohat gareeb the waqt aur halaat ke sath ladhte ladhte badi mehnat ke baad aaj kuch kabil huye hain, par kasam khuda ki aadat ke aaj bhi gareeb hain...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: April 13, 2009, 08:11:59 AM »
Bahut khoob likha hai aap ne dost

Heere ki parah to jhoree hi jaane
Baaki to bas bhavren aur parwaane
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: April 14, 2009, 09:12:41 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley wah kaya baat hai, bahoot khoob ek ek line kamal ki rachi hai apne Sajid!! Good creation!!

Thank you so much Pooja for giving your time and comment....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: April 17, 2009, 06:00:44 AM »
Mindblowing .. Sajid Ji kya baat hai.. very Nice creation...

Thank You so much Sophi for ur time and comment.....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: April 19, 2009, 12:10:24 AM »
Bohat khoob Sajid...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: April 22, 2009, 03:23:02 PM »
Jab Shayari Achchi Ho, Dil Par zaroor Asar Kar Jaati Hai,.
Aur Dushman Ko Bhi Shayari, Daad Dene Par Majboor Kar Jaati Hai,.

Hume Aur Bhi, Umeedein hain Aapse, Sajid Bhai, Yunhi Likhte Rahiye,.

Thank U,./

Azeem,.

Bas Azeem apne is Gunah_gaar bhai se kabhi naraz mat hona, khuda duniya me jitni zillat de mujhe manzoor hain par apne is Pyare bhai ki nafrat kabhi na de "AAMEEN"
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 07:15:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer