Aa ke roay... (NM)

by maya01 on April 29, 2008, 06:43:26 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 3702 times)
maya01
Guest
«Reply #30 on: May 04, 2008, 03:55:17 PM »
Ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhen kyaa maaluum raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa kitne betaab the rim jhim mein piiyenge lekin aa ii barsaat to barsaat pe ronaa aayaa kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa...

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #31 on: May 04, 2008, 03:56:03 PM »
Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chup ke Chup ke Ro Lena Jab Ankhein Bhegi Hon Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chup ke Chup ke Ro lena Jab Palkein Karab Se Mondi Hon Aur sab Samjhein Tum Sote Ho Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chup ke chup ke Ro Lena Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Bondein Lagti Hon Who Lamha Har giz Mat Khona Aur Chup ke Chup ke Ro Lena

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #32 on: May 04, 2008, 03:58:00 PM »
Aaj Rutha huwa shakas Aaj Rootha huwa ik shakas bohot yaad aaya Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya. Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya. Jo mere dard ko seene main chupa laita tha aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya. Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya. Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya. Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus. aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #33 on: May 04, 2008, 03:59:48 PM »
Usay Main Bhool Jana Chahti Hoon Suno ! Main Muskurana Chahti Hoon Dukhi Rehnay Ki Addat Ho Gaye Hai Magar Ab Gungunana Chahti Hoon Puranay Sab Ta'aluq Toor Kar Ab Nai Duniya Basana Chahti Hoon Woh Nazmain Paaon Say Lipti Hain Laikin Main Un Say Jaan Churana Chahti Hoon Woh Sab Tohfay Woh Sookhay Phool Saray Main Ab Un Ko Jalana Chahti Hoon Main Utna Paas Aati Hoon Tumharay Main Jitna Door Jana Chahti Hoon Merey Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri Main Terey Paas Aana Chahti Hoon Ubharnay Ki Koi Khahish Nahin Hai K Ab Main Doob Jana Chahti Hoon

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #34 on: May 04, 2008, 04:06:40 PM »
Yah kiseY wafa the kay nibhanaY na aYe
tum shama tamana ko bujHanay bhe na aYe

murjHa bhe gYa shakh-e-talab par gul umed
aur tum kay aaYadat kay bHanaY bhe na aYe

Dil naY bhe rutto saY koiY lamha nahi manga
pHir loat kay qurbaat kay zamanaY bhe na aYe

ankhouN main sitaraY bhe na chamkaY isay mil ker
hountooN pay judaYe kay afsaany bhe na aYe

kuch purshish-e-YaraaN kay bhe andaz ajab tHaY
kuch hum ko teray zakHan dikHnay bhe na aYe

ab taak wohYe dam kham haiN teray nam verdo kaY
ruswaa bhe hoYe hosh thikhaneY bhe na aYe

kiYa log thaY ahmed kay jo bechray sar-e-manzil
pHir Yaad inhiaN rabaat puranaY bhe na aYe !
Logged
maya01
Guest
«Reply #35 on: May 04, 2008, 04:10:49 PM »
Sochti hoon kay usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq bahata hoo ga
Woh meri shakl mera nam bhulanay wala
Apni tasver say kia ankh milataa ho ga
Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee
Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb Muharam ki tarhan Eid manata ho ga

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #36 on: May 04, 2008, 04:13:33 PM »
Unki ik nazar kaam kar gayee,
Hosh ab kahan hoshyaar mein !

Meray kabzay mein kaaynaat hain,
Mein hun aapkay ikhtayaar mein !

Aankh to uthi phool ki taraf,
Dil ulaj gaya husn-e-khar mein !

Tujh say kya kahein kitnay gham sahey,
Humnay be-wafa teray pyaar mein !

Fikr-aashiyan har khizan ki,
Aashiyan jala har bahaar mein

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #37 on: May 04, 2008, 04:15:25 PM »
girty huyey ansuoun ka surag deta hay
woo mery dukhi dil ko awaz deta hay
serd hawain na cho lain moghy kisi ore
wo mery wajood ki khiraj deta hay
kanton say bhery iss doyarey gher main
wo moghy mukhmal ka libas deta hay
mery hi wajood main meri pehchan hay wo
moghi say kiyey huyey sawalon ka jawab deta hay
cherta soorj jub jub dhelny lagy
woo her simith moghy kushi ki miraj deta hay
jub jub dobny lagon sahilon pay mein
woo moghy apny hath ki mujhdare deta hay
sub ko aik hi suff main bandh leta hay
jub woo beechh sunaty main awaz deta hay

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #38 on: May 04, 2008, 04:18:20 PM »
main wohi hoon jisay tum pyar kiya kertey thay
din main so baar mera naam liya kerte thay
aj kya baat hai kion mujh se khafa bethey ho
kya kisi aur ko dil apna bana bethey ho
faslay itnay to pehlay na hoa kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kertey thay

mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujeh apna kaho aysay bhi haalaat nahi Usual Smile
aur ger bhool gaey ho to koii baat nahi
zakham to pehlay bhi is dil pe laga kertey thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kertey thay

jee main aata hai main aaj tumhain tarpa doo
dard jo tum ne diya hai woh tumhain lota doon
aur ger jurm na samjho to ye dohra doon
tum mujeh hasil-e-armaan kaha kertey thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerty thay

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #39 on: May 04, 2008, 04:28:43 PM »
Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon.
Aanay wala har saans mujh say sawaali hai to kyon.
kaha tha tum nay waday nibhao gay har haal main.
Na aanay ki qasam jo tum nay ab khali hai to kyon.
Tum kehtay thay keh bas zara mehfil sajnay to do
Mehfil main wah wah ka shor zara machnay to do
Tum hi to thay faqt is bazm main aik rang'e mehfil.
bhari bazm hai aaj nishist tumhari khali hai to kyon.
Ehd'e wafa torna hi tha is tarha to kiya tha kis lye,
Tumhari shiddat'e junoon, woh banawat thi kis lye,
baat baat par un afaaqi boson ki inaayat thi kis lye,
Naqaabon par naqaab tum nay charhali hai to kyon.
Itna to bata jaao tum mairay dil main ho ab kis lye,
Chaman hi ujar gaya to yeh abr'e karam hai kis lye,
Daagh nasoor ho gae hain jab to ab marham kis lye,
Dil main tum nay jo yeh itni jagah banali hai to kyon.
Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon.
Aanay wala har saans mujh say sawaali hai to kyon.

NM
Logged
maya01
Guest
«Reply #40 on: May 04, 2008, 04:31:45 PM »
Guftugu key silsilay ya chahaton kay rabtey
Ishq key peghamber naheen jantay koi zabtey

ashkon ka karwan ban gia seel-e-rawan
beh gai ismay hum thamtey hee tahmtey

merey armano ka khoon kia us unjan ney
Guman hua tha key hum usko they jantey

dil ka yeh parwana tha us shama ka garveeda
par shuma usay jala gai kanptey hee kanptey

gurbaton ki hudood theen ua doori ki tawalatain
jazbat key feetay sey reh gai usko naptey

Maya terey dil par woh chor gia yey nishan
ashkon say dhokar tu isko utaar dey

Faisal tanwir...
Logged
maya01
Guest
«Reply #41 on: May 04, 2008, 04:40:44 PM »
Main Tasvir Ha Darda Di,,
Mere Jakhma Te Dawa Lavi Na,,
Tera Daman Jakhmi Ho Jana,,
Mere Naal Moh Pavi Na,,
Asi Muk Jana Raat Vangu,,
Kise Shuru Kiti Baat Vangu,,
Sahan Di Tutt Dor Jaani,,
Saadi Tu Khair Manavi Na,,
Is Zindagi De Khat Utte Sirnava Hai Bas Kabraan Da,,
Kite Yaad "saadi" Aa Jave Naina Chon Neer Bahavi Na  

NM
Logged
burningsayari
Guest
«Reply #42 on: May 04, 2008, 04:47:58 PM »
MERE DIL KI KITAB KO PADHNA KABHI,
SAPNO ME AAKE MUJH SE MILNA KABHI
MAINE DUNIYA SAZAI HAI TERE LIYE,
MERI NAZRO KI UMMED BAN’NA KABHI
BAHUT DUR HAI SITARO SE ROSHAN JAHAN,
JRA HUMKADAM BANKE MERE SATH CHALNA KABHI
BAHUT NAJUK SEENE MAI DIL HAI MERA,
TUM ANDAJ MOHABBAT BANKE DHA’RKNA KABHI
burningbut_lionheart@yahoo.com
Logged
maya01
Guest
«Reply #43 on: May 04, 2008, 04:49:24 PM »
woh bohat khoob Winking
Logged
maya01
Guest
«Reply #44 on: May 04, 2008, 05:05:12 PM »
Sooraj main tapish chanda main tari kiyoun thi
Aay khuda dil main mohabbat bhari kiyoun thi

Sab hi aik say hotey to bhala hota
Koi titly koi bijli koi pari kiyoun thi

Yehi ghum dil say laga rakhain kayee loog
Duniyaan jahan bhula kay mohabbat kari kiyoun thi

Kahin pay sehraoon kay unmit sisilay daykhay
Tu kahin pay roo-e-zameen hari kiyoun thi

Jab fana ho gaya wo aanchal hijaab-e-yar
Phir bichonay ko derd ki dari kiyoun thi

Tufaan bhi kum-zerfon ki dustaras main rahay
Janay husan ki ada itni khari kiyoun thi

Jala dil jab kisi mah-jabeen ka ager
To kehnay lagee main us pay mari kiyoun thi

Kis qadar ujli rah-e-wafa ki manzilain shaiki
Lakin qadam qadam pay jafa dhari kiyoun thi

nm
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 27, 2026, 01:17:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8523 Real Poets and poetry admirer