AAJ EK AUR DAFA.........................TANHA(SAURABH)

by Tanha(Saurabh) on October 06, 2008, 10:19:34 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2535 times)
Tanha(Saurabh)
Guest
AAJ EK AUR DAFA TUM HUMSE ROO-BA-ROO HO LO,
LOG KAHTE HAIN MUJHME NAZAKAT KA HUNAR BAAKI HAI

NA JAANE KAB UNKE KARAM HONGE IDHAR,
ABHI BE-KHAUF TALABDAARON KI NAZAR BAKI HAI.

WO HAR ROZ UN SHOKH NIGAHON KA NASHA,
SAB PAR KARAM AUR APNA DIL-O-JIGAR BAAKI HAI.

AAJ KHAIRIYAT KO AATE HAIN WO YAARON,
LAGTA HAI ABHI DUAON MEIN ASAR BAAKI HAI.

KUCHH YU RAHI WAQT KE SANG BAHARON KI SAAJISH,
HAR CHAMAN TAK PANHUCHEE PAR MERE DIL KA SHAHAR BAAKI HAI.

HAR EK DIL KO SHAQ NE JALA RAKHA HAI,
PYAAR MEIN KYUN NAFRAT KA ZAHAR BAAKI HAI.

MANZOOR THA AB HAWAON MEIN KHAK HO JAANA,
CHINGAARION MEIN MAGAR KAHAN AB ASAR BAAKI HAI.

WO SOCHTE HAIN KI JIS ME RAAT GUAZARI THI KABHI,
SARA JAHAAN UJDA PAR WO GHAR BAAKI HAI.

HAR EK SHAKS MAZIL PE JA RUKTA HAI,
BOHAT LAMBA  MERA ‘TANHA’ SAFAR BAKI HAI.

SATH YAADON KE SHAB AATE HI CHALA DIL,
ABHI TO BAHOT WAQT HONE KO SAHAR BAAKI HAI.

-----TANHA(SAURABH)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KAISE PAAYE KOI...........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
LUTF MILTA HAI...........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
FIR GUZRE KHUCHH LAMHON...............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
KUCHH TO KHEL KHELE............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
DHOONDHTE HAIN WO.............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
k.shael
Guest
«Reply #1 on: October 06, 2008, 10:29:50 AM »
BAHUT KHOOB, UMDA, LAJAWAAB
AAPKA HAR KALAM EK KHASIYAT LIYE
RAKHTA HAI...
LIKHTE RAHIYE...
BY. K.SHAEL

KABHI AAKAR MIL JAANA HAME LOG KEHTE
HAI,AABHI HAMME SAANSE BAAKI HAI,

HO KAR RUSWA KAHIIN DOOR NA CHALE JAAYE
HAM,PHIR MAT KEHNA YE LADKI DIWAANI HAI,

JINN AANKHON NE DEKHA THA BADI MASOOMIYAT
SE TUJHE,MALOOM HOTA HAI AAJ UNME SIRF PAANI
HAI,

SHAYAAD KUCH AUR KARZ AABHI BAKKI HAI TERE
WARNA INN SANSOO ME PAL-PAL MOUT KI RAWAANI HAI,

HO JO WAQT TERE PASS TO AA JANA MERI MAYAIYAT PE
WARNA LOG ILJAAM DENGE KI YE TO AADHOORI KAHANI
HAI...
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: October 06, 2008, 10:39:02 AM »
bohut khoob saurabh ji

Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #3 on: October 06, 2008, 10:48:47 AM »
bohat bohat shukriya shael ji, kaushik ji.. aapne saraha
notworthy notworthy

BAHUT KHOOB, UMDA, LAJAWAAB
AAPKA HAR KALAM EK KHASIYAT LIYE
RAKHTA HAI...
LIKHTE RAHIYE...
BY. K.SHAEL

KABHI AAKAR MIL JAANA HAME LOG KEHTE
HAI,AABHI HAMME SAANSE BAAKI HAI,

HO KAR RUSWA KAHIIN DOOR NA CHALE JAAYE
HAM,PHIR MAT KEHNA YE LADKI DIWAANI HAI,

JINN AANKHON NE DEKHA THA BADI MASOOMIYAT
SE TUJHE,MALOOM HOTA HAI AAJ UNME SIRF PAANI
HAI,

SHAYAAD KUCH AUR KARZ AABHI BAKKI HAI TERE
WARNA INN SANSOO ME PAL-PAL MOUT KI RAWAANI HAI,

HO JO WAQT TERE PASS TO AA JANA MERI MAYAIYAT PE
WARNA LOG ILJAAM DENGE KI YE TO AADHOORI KAHANI
HAI...


 bohat khoob likha aapne bohat umda! shael ji Applause Applause



Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: October 06, 2008, 11:24:39 AM »
UR WELCOME TANHA JI,
 notworthy  notworthy
& THANX FOR APPRICIATE MY WORK,
BY. K.SHAEL
Logged
baadal102
Guest
«Reply #5 on: October 06, 2008, 12:24:46 PM »
bahut khoob tanha ji
wah



Baadal
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: October 06, 2008, 12:53:06 PM »
AAJ EK AUR DAFA TUM HUMSE ROO-BA-ROO HO LO,
LOG KAHTE HAIN MUJHME NAZAKAT KA HUNAR BAAKI HAI

NA JAANE KAB UNKE KARAM HONGE IDHAR,
ABHI BE-KHAUF TALABDAARON KI NAZAR BAKI HAI.

WO HAR ROZ UN SHOKH NIGAHON KA NASHA,
SAB PAR KARAM AUR APNA DIL-O-JIGAR BAAKI HAI.

AAJ KHAIRIYAT KO AATE HAIN WO YAARON,
LAGTA HAI ABHI DUAON MEIN ASAR BAAKI HAI.

KUCHH YU RAHI WAQT KE SANG BAHARON KI SAAJISH,
HAR CHAMAN TAK PANHUCHEE PAR MERE DIL KA SHAHAR BAAKI HAI.

HAR EK DIL KO SHAQ NE JALA RAKHA HAI,
PYAAR MEIN KYUN NAFRAT KA ZAHAR BAAKI HAI.

MANZOOR THA AB HAWAON MEIN KHAK HO JAANA,
CHINGAARION MEIN MAGAR KAHAN AB ASAR BAAKI HAI.

WO SOCHTE HAIN KI JIS ME RAAT GUAZARI THI KABHI,
SARA JAHAAN UJDA PAR WO GHAR BAAKI HAI.

HAR EK SHAKS MAZIL PE JA RUKTA HAI,
BOHAT LAMBA  MERA ‘TANHA’ SAFAR BAKI HAI.

SATH YAADON KE SHAB AATE HI CHALA DIL,
ABHI TO BAHOT WAQT HONE KO SAHAR BAAKI HAI.

-----TANHA(SAURABH)


It's Marvelous.. Applause
Beautiful Piece of Work Saurabh Ji...

And

Very Nice Reply Shally... Thumbs UP
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: October 06, 2008, 02:20:21 PM »
HO SAKE TO DER KAR DENA MUJE DAFNANE ME GHAYEL
ABHI AUR BOHAT AUR DIL ME ARMAAN BAKI HAIN

                                      -SG-

HAMESHA KI TARAH EK MAZBOOT GHAZAL PESH KI HAIN AAPNE TANHA KASH MAIN BHI AAP JAISA LIKH PATA.
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: October 06, 2008, 02:29:49 PM »
AAJ EK AUR DAFA TUM HUMSE ROO-BA-ROO HO LO,
LOG KAHTE HAIN MUJHME NAZAKAT KA HUNAR BAAKI HAI

NA JAANE KAB UNKE KARAM HONGE IDHAR,
ABHI BE-KHAUF TALABDAARON KI NAZAR BAKI HAI.

WO HAR ROZ UN SHOKH NIGAHON KA NASHA,
SAB PAR KARAM AUR APNA DIL-O-JIGAR BAAKI HAI.

AAJ KHAIRIYAT KO AATE HAIN WO YAARON,
LAGTA HAI ABHI DUAON MEIN ASAR BAAKI HAI.

KUCHH YU RAHI WAQT KE SANG BAHARON KI SAAJISH,
HAR CHAMAN TAK PANHUCHEE PAR MERE DIL KA SHAHAR BAAKI HAI.

HAR EK DIL KO SHAQ NE JALA RAKHA HAI,
PYAAR MEIN KYUN NAFRAT KA ZAHAR BAAKI HAI.

MANZOOR THA AB HAWAON MEIN KHAK HO JAANA,
CHINGAARION MEIN MAGAR KAHAN AB ASAR BAAKI HAI.

WO SOCHTE HAIN KI JIS ME RAAT GUAZARI THI KABHI,
SARA JAHAAN UJDA PAR WO GHAR BAAKI HAI.

HAR EK SHAKS MAZIL PE JA RUKTA HAI,
BOHAT LAMBA  MERA ‘TANHA’ SAFAR BAKI HAI.

SATH YAADON KE SHAB AATE HI CHALA DIL,
ABHI TO BAHOT WAQT HONE KO SAHAR BAAKI HAI.

-----TANHA(SAURABH)


Humesha ki tarah behtareen kalaam hai Saurabh Bohot Khoob  Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: October 06, 2008, 02:31:05 PM »


KABHI AAKAR MIL JAANA HAME LOG KEHTE
HAI,AABHI HAMME SAANSE BAAKI HAI,

HO KAR RUSWA KAHIIN DOOR NA CHALE JAAYE
HAM,PHIR MAT KEHNA YE LADKI DIWAANI HAI,

JINN AANKHON NE DEKHA THA BADI MASOOMIYAT
SE TUJHE,MALOOM HOTA HAI AAJ UNME SIRF PAANI
HAI,

SHAYAAD KUCH AUR KARZ AABHI BAKKI HAI TERE
WARNA INN SANSOO ME PAL-PAL MOUT KI RAWAANI HAI,

HO JO WAQT TERE PASS TO AA JANA MERI MAYAIYAT PE
WARNA LOG ILJAAM DENGE KI YE TO AADHOORI KAHANI
HAI...


Very Good Reply Shael icon_thumleft
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #10 on: October 06, 2008, 03:09:39 PM »
bohat bohat bohat shukriya badal ji, Mahiya ji, ghayel ji, celmira ji aap sab logon ka. thanx alot. notworthy notworthy

"Hum unke dil ko kuchh to karar dete hain,
 aur wo bhi meri tabiyat bas hans kar sanwaar dete hain,
 log kahte hain 'Zara zameen par rahein aap janab',
 unse milkar hum din 'hawa mein udte' guzaar dete hain" -Tanha


 notworthy
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #11 on: October 06, 2008, 03:27:27 PM »
ghayel ji aap to bohat hi umda likhte hain. aap kuchh na kuchh behtareen hi laate hain hamesha...... happy3 happy3
 notworthy notworthy notworthy notworthy

notworthy ghayel ji aap ka fir tah-e-dil se bohat bohat bohat shukriya notworthy

 "Aap ke aate hi mahfilen jawaan hoti hain,
  sabki khushiyaan aap ka diya eenaam hoti hain,
  aap ke hunar ke charche to hain zannat tak,
  suna hai pariyon ki raatein bhi ankhon mein tamaam hoti hain." - Tanha


 happy3 happy3

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #12 on: October 06, 2008, 05:41:30 PM »
Wah bohat bohat umda likha hai saurabh ji g88... Applause Applause

Achcha likha hai shally g88.. Applause Applause

Bohat khoob likha hai sajid ji g88... Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 06, 2008, 07:35:55 PM »
Bahut Bahut Khoob Saurabhji.. Applause Applause

Bahut Khoobsurti se likha hai aapne.. icon_salut
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #14 on: October 07, 2008, 04:54:30 AM »
bohat bohat shukriya Honey ji, Khwaish ji... thanks alot.
 notworthy notworthy
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:59:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer