Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Kal Ki Tarah,.

by Jaanasheen on February 27, 2008, 09:55:53 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2110 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Kal Ki Tarah,.
Haath Aaye Na Sitaare Tere Aanchal Ki Tarah,.

Raat Jalti Hui Ek Aisi Chita Hai, Jis Par,.
Teri Yaadein Hain Sulagti Hui Sandal Ki Tarah,.

Tu Ki Dariya Hai Magar Meri Tarah Pyaasa Hai,.
Main Tere Paas Chalaa Aaaoonga Badal Ki Tarah,.

Main Hoon Ek Khwaab Jaagti Aankhon Ka "Ameer"
Aaj Bhi Log Gavaan De Na Mujhe Kal Ki Tarah,.

________________________________-Ameer Kazalbash-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~*~*~*Guzri yaadon ke saaye*~*~*~ by Aman_rahi in Shayri-E-Dard
Bina tumharey, gayee raat is tarah jee hai : by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
~~"GUZRI RAAT"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
K ABHI SHAM NAHIN GUZRI. by SUMBUL QAISER in Shayri for Khumar -e- Ishq
ZINDGI GUZRI WAFADAR GULAMO KI TARAH by pradeep srivastava raunaq in Share Poetry You Like
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: February 27, 2008, 10:33:02 AM »
Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Kal Ki Tarah,.
Haath Aaye Na Sitaare Tere Aanchal Ki Tarah,.

Raat Jalti Hui Ek Aisi Chita Hai, Jis Par,.
Teri Yaadein Hain Sulagti Hui Sandal Ki Tarah,.

Tu Ki Dariya Hai Magar Meri Tarah Pyaasa Hai,.
Main Tere Paas Chalaa Aaaoonga Badal Ki Tarah,.

Main Hoon Ek Khwaab Jaagti Aankhon Ka "Ameer"
Aaj Bhi Log Gavaan De Na Mujhe Kal Ki Tarah,.

________________________________-Ameer Kazalbash-


Wow nice collection of shayari Azeem bro ji.. Usual Smile
Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: February 27, 2008, 11:56:12 AM »
aapka collection sach mein kaabil-e-tareef hai...
bahut umda
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: February 27, 2008, 11:57:42 AM »
Very Nice Sharing Azeem... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 27, 2008, 12:06:00 PM »
Shukriya Seeya Sis,.
Diya Ji,
Shikha Sis,.
waise ye Mere Fav8 Shayaris Hain,.'
Jinse Maine Shayari Likhna Ka Socha,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 27, 2008, 12:09:50 PM »
Asar Usko Zara Nahi Hota,.
Ranj Raahat Fazaa Nahi Hota,.

Tum Hamaare Kisi Tarah Na Hue,.
Warna Duniya Me Kya Kya Nahi Hota,.

Naraazgi Se Dum Ruke To Ruke,.
Main Kisi Se Khafa Nahi Hota,.

Tum Mere Paaas Hote To Goya,.
Jab Koi Dusra Nahi Hota,.

Haal-e-Dil Yaar Ko Likhoon Kyun Kar,.
Haath Dil SE Judaa Nahi Hota,.

Kyun Sune Arz-e-Muztarib Aye "Momin",.
Sanam Aakhri Khudaa nahi Hota,.

____________________-Momin Khan Momin-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 27, 2008, 12:23:22 PM »
Har Baat Yahaan Baat Badhaane ke Liye hai,.
Ye Umar Jo Dhoka hai, To Khaane Ke Liye Hai,.

Ye Daaman-e-Hasrat Hai Wahi Khwaab-e-Gurezaan,.
Jo Apne Liye Hai Na Zamaane Ke Liye Hai,.
Gurezaan=Feeling

Utre Hue Chehre Mein Shikayat Hai Kisi ki,.
Roothi Hui Rangat Hai, Manaane ke Liye Hai,.

gaafil Teri Aankhon ka Mukaddar Hai Andhera,.
Ye Farsh To raahon Mein Bichaane ke Liye Hai,.

Ghabraa Na Sitam se Na Karam Se, na Adaa se,.
Har Mord Yahaan Raah Dikhaane ke Liye hain,.

______________________________-Mehboob Khizaan-

Meri Fav8 collection Me se Ek hai
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 08:15:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer