Aansu Bhi Kahi Kho Gaye

by ranjana on October 05, 2006, 07:52:39 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 5636 times)
akssar
Guest
«Reply #60 on: November 13, 2006, 12:53:00 PM »
ok!

beete lamhe karte hai aaj bhi MUJHSE teri baat
kahan se laau main pal sunhere jo beete they tere saath!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kisi aur ki kahi hui baton mein beh gaye by Ricky in Shayri for Dard -e- Judai
Aansu Bekaar Chale Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Dil kahi hosh kahi rehta hai aajkal by Sky Blue in Share:Love Poetry
Taish- humne aansu bhi na poNche, tum RULAANE aa gaye...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
akssar
Guest
«Reply #61 on: November 13, 2006, 01:00:59 PM »
nice angel ji and Purani jaens!

hairaan hun ,pareshaan hun
khudayi se main anjaan hun
ki khuda ki neymat se aey humdam
 chal rahi gum ki ghadi aaj yu kabil bankar
khoye the jo kahaylo ki bheed mai armaan kabhi
aaj saj rahe hai dil-e-tanahyi ki mehfil bankar
--------------------aKs-----------------------
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #62 on: November 13, 2006, 01:05:50 PM »
very nice alllllll..............

karte rahe intezaar hum tere aane ka har raat
kaya pata tha tum aaoge mere mar jaane ke baad
Logged
akssar
Guest
«Reply #63 on: November 13, 2006, 01:14:32 PM »
good!

ban rahe us sitamagar ke dewaane phir kai
mar rahe hai ek shama per parwaane phir kai

milni hai maut sabko ,dekhna to hai bus itna
banenge unki wafa ke  kaise fasaane phir kai
------------------aKs---------------------
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #64 on: November 13, 2006, 01:28:21 PM »
nice AKS

Parwana jhalte hai shama jalati hai
teri berukhi hi mere payar ko bhadati hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #65 on: November 13, 2006, 01:35:43 PM »
yun bhatkate jeevan ko mere kisi ne pukaara nahi
dube hain yahan sab apane gum mein kasoor tumahra nahi

sab kehte hain ki main hun tumhara
per koi kahwaab hua poora hamara nahi

tutati saanse thamati dharkan ki laye
is dard ka ab koi bhi sahara nahi

jaane kahan paar lagegi yeh jeevan ki kishti
dur dur tak dikhata yahan koi kinaraa nahi !!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #66 on: November 13, 2006, 05:50:06 PM »

Phir Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujhko,
Kya Saza Di Hai Mohabbat Ne Khuda Ya Mujhko,

Dinko AaraM Hai Na Raatko Hai Chain Kabhi,
Jane Kis Khaak Se Qudrat Ne Banaya Mujhko,

Dukh To Ye Hai Ke ZaMane Mein Mile Gair Sabhi,
Jo Mila Hai Wo Mila Ban Ke Paraya Mujhko,

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Rone Ko,
Ghar Ki Deewaron Ne Seene Se Lagaya Mujhko,

Yun To UMMid-E-Wafa TuMse Nahi Hai Koi,
Phir Charagon Ki Tarah Kisne Jalaya Mujhko,

Bewafa Zindagi Ne Jab Chhod Diya Hai Tanha,
Maut Ne Pyaar Se Pehloo Mein Bithaya Mujhko,

Wo Diya Hoon Jo Mohabbat Ne Jalaya Tha Kabhi,
GaM Ki Aandhi Ne Sar-E-ShaM Bujhaya Mujhko,

Kaise Bhulunga Wohi Wasl Ke LaMhe,
Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujhko...
* * * * * [NM]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #67 on: November 15, 2006, 08:41:22 AM »
dil jale aur ashq bhi na behne paaye
yeh kaisi dillagi ko hum hain dil se lagaaye

shool sehana hamaari adat hi sahi
yeh chuban phoolo  ki ab hum kaise seh paaye

mat dikhaao hame woh khawaab jo hain jhoothe
zakaham seene ka hum aapko ab kaise dikhaaye !!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #68 on: November 15, 2006, 11:58:24 AM »
nice ,sharing angel,& ranjana.............

kisi ke ansoou se lab khelte hai kabhi
aur kisike labo se ashk nikal aate hai

......................@fahi@........................
Logged
FArah
Guest
«Reply #69 on: November 15, 2006, 12:36:26 PM »
ohabat ka rista ha kitna pyara
woh na mil saka yah naseeb ha hamara'

dor ho gay hum itnaie k khafa ho gaya zamana
bewafa ban gay hum zamanaie bhar k yah naseeb ha haamara

kho gay rastay mil gayi manzlay
chayie is manzil maie tum nhi tha yah naseeb ha hamara

naseeb naseeb ki baat ha
woh jo hamara tha woh hamara na ban saka
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #70 on: November 16, 2006, 06:40:52 AM »
well farah ji.....aapka alag hi andaaz hai,last lines behad acchi thi,simple magar deep.......keep goin'

ashko ke dariya mai dubkar hai humne jaana
milti hai dard mai hi zindagi ko bahare nayi

........................@fahi@........................
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #71 on: November 16, 2006, 09:54:17 AM »
Gum galak karne ke liye kuh to chahiye
tun nahi sanam to saaki hi chahiye
pee thi jo mai teri nazaro se hummne sanam
utarne ke liye sharab to chahiye...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #72 on: November 16, 2006, 01:01:47 PM »
mere haatho se mere hi bane sapne bikhar gaye
jo they dil mein rehne waale woh ajnabi se ban gaye

chhor  diya hai ab umeedo ke chiraago ne bhi jalana
raat ke ghane saaye zindagi mein utar gaye

jeet kar bhi haar gaye har bazzi hum
mere dil ke zakham duniya ko kaise dikh gaye !!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #73 on: November 18, 2006, 01:32:04 PM »
har zeher-e-lafz unka khamoshi se peeya hai
 bechain dil ne mere khamosh mujhe kiya hai

seene ka jhakhm unke dhadkan mai hai chubhte
chipaane ke liye humne  khudke hontho ko seeya hai

............................@fahi@........................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #74 on: November 20, 2006, 05:06:23 AM »
kabhi toh tutega  tanaha raato ka andhera
khud ko kisi ki yaad ka jugnu bana ke dekh

mujhe dil se bhul  kar chhor jaane waale
kabhi palat ke fir se un saath chali  rahaao mein toh dekh

kis tarah beeta waqt ban jaata hai meethi si yaad
ek pal ke liye apni palke utha ke fir jhuka ke toh dekh

koi naam abhi bhi kaamapta toh hoga hontho per
jara dil ki dharkano ko woh naam suna ke toh dekh !!
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 11:13:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.191 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer