Aawaz Ke Iss Bazaar Mein,Khamoshiyon Ki Pehchaan Nahi Hoti "Khwaish"

by khwaish on May 03, 2009, 07:02:41 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 12576 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Aawaz Ke Iss Bazaar Mein,
Khamoshiyon Ki Pehchaan Nahi Hoti,
Maayus Insaan Ki Nazrein hi Keh Deti Hai sab!!!
Usse Zaroorat Zubaan Ki Nahi Hoti....

Usko Tha Yeh Gumaan Ke Ek Woh Hi hai,
Jo Hai Halaat ke Qaid Mein Majboor!!!
Iss Duniya Mein Aise Bhi Bahut Hai Jo Har Dard Sehte Hai,
Par Unke labon Par Koi Shikayat Nahi hoti....

Jo Ashq Aankhon Mein Aakar Rukh Jaaye,
Woh Duniya Ke Liye Sirf Paani hai!!!
Jab Tak Ashq Aankhon Se Behta Nahi,
Uski Koi Keemat Nahi Hoti.....

Gard-e-Safar Mein Gira To Hai "Khwaish"
Par Abhi Haara Nahi!!!
Khud Ko Zinda Rakhna Zaroorat Hai Meri,
Muaf Karna Eh Khuda,
Yeh Koi Bhagaawat Nahi Hoti....

Har Shaks Iss Jahaan ka Apni-Apni,
Pareshaniyon Mein Uljha Hai!!!
Dusro Ke Dard Ko Bhi Samjhe,
Itni uske paas Fursat Nahi Hoti....

Apni Har Ek saans Ka Bhi Hisaab Dena Padta Hai,
Qayamat Ke Uss Din!!!
Afsos Jab Koi Insaan Ko Zamaanat Nahi Hoti.....

"Khwaish" Ki Kalam Ab rukh si Gayi hai Naa Jaane Kyon??
Sach to Yeh Hai Ke,
Kabhi-Kabhi Zindagi Bhi Lafzon se Bayaan Nahi Hoti....

              ~~~~~ Khwaish~~~~~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: May 03, 2009, 07:05:13 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smileyhamesha ki tarah lajwab Khwaish ji,... bahoot khoob, yah lines bahoot jayada dil ko chu gai

Gard-e-Safar Mein Gira To Hai "Khwaish"
Par Abhi Haara Nahi!!!
Khud Ko Zinda Rakhna Zaroorat Hai Meri,
Muaf Karna Eh Khuda,
Yeh Koi Bhagaawat Nahi Hoti....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: May 03, 2009, 07:05:23 AM »
As usual bahut hi khoobsurat likha hai aapne.

Loved these lines the most...


Apni Har Ek saans Ka Bhi Hisaab Dena Padta Hai,
Qayamat Ke Uss Din!!!
Afsos Jab Koi Insaan Ko Zamaanat Nahi Hoti.....


Clapping Smiley

Its always a pleasure to read you...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 03, 2009, 07:11:02 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smileyhamesha ki tarah lajwab Khwaish ji,... bahoot khoob, yah lines bahoot jayada dil ko chu gai

Gard-e-Safar Mein Gira To Hai "Khwaish"
Par Abhi Haara Nahi!!!
Khud Ko Zinda Rakhna Zaroorat Hai Meri,
Muaf Karna Eh Khuda,
Yeh Koi Bhagaawat Nahi Hoti....


Bahut Bahut Shukriya Pooja..Likhte Hi Comment Aa jaaye to Dil Ko ek sukoon sa Milta hai Par aapke taraf se bhi koi poetry aa jaaye to khushi dugni ho jaaye..teh dil se shukriya pooja... notworthy
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: May 03, 2009, 07:13:49 AM »
Khwaish sahib,
Aap ne apne andaz men bahut gehrai dikhayi hai, dard ko har lafz men dikhaya hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: May 03, 2009, 07:16:46 AM »
Quote
Apni Har Ek saans Ka Bhi Hisaab Dena Padta Hai,
Qayamat Ke Uss Din!!!
Afsos Jab Koi Insaan Ko Zamaanat Nahi Hoti.....

"Khwaish" Ki Kalam Ab rukh si Gayi hai Naa Jaane Kyon??
Sach to Yeh Hai Ke,
Kabhi-Kabhi Zindagi Bhi Lafzon se Bayaan Nahi Hoti....


bahut accha likha hai aapne Khwaish bhaiya  Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 03, 2009, 07:26:17 AM »
As usual bahut hi khoobsurat likha hai aapne.

Loved these lines the most...


Apni Har Ek saans Ka Bhi Hisaab Dena Padta Hai,
Qayamat Ke Uss Din!!!
Afsos Jab Koi Insaan Ko Zamaanat Nahi Hoti.....


Clapping Smiley

Its always a pleasure to read you...

It's Always A Pleasure To Have your Comments
On My Poetries
But I wish,This Thread Would Become more Beautiful, by a poetry of your's..Thankyou..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 03, 2009, 07:38:18 AM »
Khwaish sahib,
Aap ne apne andaz men bahut gehrai dikhayi hai, dard ko har lafz men dikhaya hai...

Bahut Bahut Shukriya Naami Saheb,aapko apni kisi Thread Par dekh kar,bahut khushi hui..Shukriya Teh Dil Se...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 03, 2009, 07:56:53 AM »

bahut accha likha hai aapne Khwaish bhaiya  Applause

Thankyou Sooo Much behna..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: May 03, 2009, 08:06:19 AM »
Mashallah Biohat Achche Bhaijan,.

Specially This Line, Entered Deep In My Heart,.

Maayus Insaan Ki Nazrein hi Keh Deti Hai sab!!!
Usse Zaroorat Zubaan Ki Nahi Hoti....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: May 03, 2009, 08:10:22 AM »
Wah Kya Baat hai KHWAISH ji.. Dard Bhara Yeh Ek ek Lafz aapne such likha hai..!! Aur Last Jumla to Waqai Kamaal Likha Hai aapne.. Really A Beautiful Poem..! Bahut khoooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: May 03, 2009, 01:24:23 PM »
It's Always A Pleasure To Have your Comments
On My Poetries
But I wish,This Thread Would Become more Beautiful, by a poetry of your's..Thankyou..


ek chhoti si koshish kar rahi hoon...


samajhna to chahte hai khud hum tumko,
par kabhi kabhi aankhein moondni padti hia,
tu behek na jaaye mere dard ke mausam se,
mujhe apni ashqon ki baarish sametni padti hia,
dilki majboori ye, saath ho kaarvaan phir bhi humko
safar-e-zindagi tanhaiyon mein kaatna padta hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: May 03, 2009, 01:55:08 PM »
ek chhoti si koshish kar rahi hoon...


samajhna to chahte hai khud hum tumko,
par kabhi kabhi aankhein moondni padti hia,
tu behek na jaaye mere dard ke mausam se,
mujhe apni ashqon ki baarish sametni padti hia,
dilki majboori ye, saath ho kaarvaan phir bhi humko
safar-e-zindagi tanhaiyon mein kaatna padta hai...

Atisundar.... Applause   Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: May 03, 2009, 01:57:34 PM »
Thanks sweetheart...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: May 04, 2009, 04:36:16 PM »
Mashallah Biohat Achche Bhaijan,.

Specially This Line, Entered Deep In My Heart,.

Maayus Insaan Ki Nazrein hi Keh Deti Hai sab!!!
Usse Zaroorat Zubaan Ki Nahi Hoti....

Bahut Bahut Shukriya Azeem Bro...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 07:25:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer