Ab humko bhool Jaaiye... (Shikha)

by Shikha12 on November 29, 2007, 12:49:13 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2462 times)
Shikha12
Guest
मैं कैसे भूलूँ तुमको, मुझे इतना बता दो,
एक कफ़न ला के उसे मेरे दिल पे ओढ़ा दो…
अब ख़तम कर दो सिलसिला यह चाहतों का,
जीने की चाह को भी मेरे, दिल से मिटा दो…

इस कदर ना मेहरबान हो कर दिखाओ तुम,
छोटी सी किसी बात पर चाहे रूठ जाओ तुम…
नींदें तमाम भले ही मेरी आँखों से चुरा लो,
किस्मत के आँसू सब मेरी पलकों पे सज़ा दो...

तुम्हारी दुनिया में रहें बस खुशियों के मंज़र,
बहारें बरसाया करे हज़ारों फूल तुम पर…
सिरहाने जो पड़ी रहती है, किताब उठा लो,
सिमटी हुई मेरी ग़ज़ल अपने होठों से लगा लो...

भूल जाना तुम को  हमसे प्यार था कभी,
खुशियों की तेरे जीवन में ना हो कोई कमी…
मुझ पर करो कोई ज़ुल्म, आज मुझको रुला दो,
ऐसा ज़ख़्म दो की ज़िंदगी भर को सुला दो...

------------------------------------------------

Main kaise bhoolun tumko, mujhe itna bata do,
Ek kafan la ke usey mere dil pe Odhaa do…
Ab khatam kar do silsila yeh chaahaton ka,
Jeene ki chaah ko bhi mere, dil se mita do…

Is kadar naa meherbaan ho kar dikhaao tum,
Chhoti si kisi baat par chahe rooth jao tum…
Neendein tamaam bhale hi meri aankhon se chura lo,
Kismat ke aansu sab meri palkon pe saja do...

Tumhaari duniya mein rehein bas khushion ke manzar,
Bahaarein barsaaya karein hazaaron phool tum par…
Sirhane jo padi rehti hai, kitaab uthaa lo,
Simti hui meri gazal apne hothon se laga lo...

Bhool jaana tum ko  humse pyaar tha kabhi,
Khushion ki tere jeevan mein na ho koi kami…
Mujh par karo koi zulm, aaj mujhko rula do,
Aisa zakhm do ki zindagi bhar ko sula do...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ham to, goyaa, cheez hee woh hain, ki, deykhey jaaiye! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zaraa paas aankhoun key aa jaaiye! by abdbundeli in Ghazals
{Tum Humko Bhool Na Paaoge} by angel4u in Shayri-E-Dard
Kyun Bhool Gaye Humko by suman59 in Share Poetry You Like
bhool gaya hai humko (nam) by poonamA in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: November 29, 2007, 12:59:58 PM »
Shikha

Bahut khoob !

What a poem? Superbbbbbbbb !

Ending to bass poocho na ... behtareen !

Keep writing :D
Logged
punam
Guest
«Reply #2 on: November 29, 2007, 01:01:58 PM »
shikha di koi labz hi nahi mil raha tareef karne...
bahot hi acha likha aapne...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: November 29, 2007, 01:54:22 PM »
Thanks Rajbir Ji and Punam... Usual Smile
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #4 on: November 29, 2007, 04:38:45 PM »
Main kaise bhoolun tumko, mujhe itna bata do,
Ek kafan la ke usey mere dil pe udhaa do…
Ab khatam kar do silsila yeh chaahaton ka,
Jeene ki chaah ko bhi mere, dil se mita do…

Is kadar naa meherbaan ho kar dikhaao tum,
Chhoti si kisi baat par mujhse rooth jao tum…
Meri neendon ko meri aankhon se chura lo,
Kismat ke aansu sab meri palkon pe saja do...

Teri duniya mein rehein khushion ke manzar,
Bahaarein barsaaye hazaaron phool tum par…
Sirhane jo padi rehti hai, kitaab uthaa lo,
Simti hui meri gazal apne hothon se laga lo...

Bhool jaana tum ko  humse pyaar tha kabhi,
Khushion ki tere jeevan mein na ho koi kami…
Mujh par karo koi zulm, aaj mujhko rula do,
Aisa zakhm do ki zindagi bhar ko sula do...





duniyame agar kisiko bhulana itna aasan hota
tera ye deewana jeeneka itna motaz nahi hota
chahaton ka silsila agar yu hi khatam hojata
to aaj tumhe apne pyar pe itna naz nahi hota

tere dil ke alava agar mera koi aashiyana hota
to tujhe manane ka mere purana andaz nahi hota
teri aankho me pani dekhkar agar main jee pata
to phir tere aanson girte hi itna aawaz nahi hota

khushion ka manzar sayad mujhe ras aajata
zakam jo agar dikha deta to phir raz raz nahi hota
shan me teri mere pas kehne ko alfas hota
dil pe likhte hai vo log jinke pas kagaz nahi hota
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #5 on: November 29, 2007, 06:30:34 PM »
Agar zindagi mein bhulna asaan hota toh log
kabke bhool jate
agar zindagi mein dil mein baat rakhna asaan hota to log
kagaz mein  nahi likhte
agar kuch logo ko apne dil ki lagi ko bhulna asaan hota toh log
tadpate  kyu rahe jate

This is for you "Shikha ji"  and well done............
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~Muskan~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: December 02, 2007, 07:20:30 AM »
Thanks a lot...
And Very Nice Replies.. Niraj and Muskan... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 02, 2007, 12:04:50 PM »
Nice One Shikha Sis,.
Niraj Ji,.
Khushboo Ji,.
Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 02, 2007, 12:14:41 PM »
Khud Ki Pehchaan Bhoolaa Di Humne,.
Kabhi Tumko Na Bhool Paaye Hum,.

Phool Bichaaye The Raahon Mein Aapki,.
Aapki Khateer Har Ek Se Chott Khaaye Hum,.

Ye Kaise Keh Ke Bhool Jaao Hume,.
Kya Itni Hi Jagaah aapke Dil Me Banaa Paaye Hum,.

_______________________________-Jaanasheen-



Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: December 03, 2007, 07:54:17 PM »
subhaan allah Shikha sis...thats called talent of shayari
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: December 04, 2007, 04:50:08 AM »
Waaah...Shabdon ki ladi me khoob Armaan sajaye hai...Superb.....!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: December 04, 2007, 12:30:52 PM »
Thanks a lot Nikki and Gaurav... Usual Smile

Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: December 04, 2007, 02:31:57 PM »
Main kaise bhoolun tumko, mujhe itna bata do,
Ek kafan la ke usey mere dil pe udhaa do…
Ab khatam kar do silsila yeh chaahaton ka,
Jeene ki chaah ko bhi mere, dil se mita do…

Is kadar naa meherbaan ho kar dikhaao tum,
Chhoti si kisi baat par mujhse rooth jao tum…
Meri neendon ko meri aankhon se chura lo,
Kismat ke aansu sab meri palkon pe saja do...

Teri duniya mein rehein khushion ke manzar,
Bahaarein barsaaye hazaaron phool tum par…
Sirhane jo padi rehti hai, kitaab uthaa lo,
Simti hui meri gazal apne hothon se laga lo...

Bhool jaana tum ko  humse pyaar tha kabhi,
Khushion ki tere jeevan mein na ho koi kami…
Mujh par karo koi zulm, aaj mujhko rula do,
Aisa zakhm do ki zindagi bhar ko sula do...




Beautiful Shikha.............!!!

Nice ones by Niraj. Muskan and Azeem !
Logged
tinda
Guest
«Reply #13 on: December 05, 2007, 11:53:14 AM »
Hey Shikha,

One can die upon this kind of shayari and I may be one of them, but jeete hain kisike liye, mar gaye to kya bacha....kuchh nahi bas khaak.

Cheers!
Logged
SHONA
Guest
«Reply #14 on: December 10, 2007, 10:47:11 AM »
all i can say here is that shikha u have written something which really touches a person's heart..great one
really nice one niraj..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:43:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer