ab k hum bichren to shayad kabhi khuabon mein milen

by sidushale on July 29, 2008, 05:31:13 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2280 times)
sidushale
Guest
ab k hum bichren to shayad kabhi khuabon mein mile
jis tarhan sukhay huay phol kitabon mein mile

tu khuda hai na mera ishq farishton jesa
dono insan hen to kyon itnay hijabon mein mile

ab na wo hen na he wo mazi hai....
jese do shakz kabhi tamanaon k bazaron mein mile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*~<<Kabhi andheron mein,kabhi ujaalo mein.........> by Mansi_d_archi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 6 7 »
Tumhein Jab Kabhi Milen Fursaten...! by mute_witness in Shayri-E-Dard
::Shayad kabhi koi rishta ban jaaye mera tumhara:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwabon men milen by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 29, 2008, 05:49:38 AM »
Sidushale...aap Ki Sharing Bahot Khoob Hai,,

Maaf Karna Par aap Agar Un Shayar Hazraat Ka Naam Bhi Likhe Jisne Ye Kalaam Likha Hai Agar Maloom Ho To Badhiya..aur lagegaa..Firse maafi Chahta Hun.
Logged
sidushale
Guest
«Reply #2 on: July 29, 2008, 06:00:41 AM »
95% mere diary se nikle huay sheer hen yahan aur 5 % meri bohut old book se ab ap bataye kis ka nam bataon mein Usual Smile
Logged
punam
Guest
«Reply #3 on: July 29, 2008, 06:17:12 AM »
Ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mileiN
Jis tarah sookhe huye phool kitaaboN meiN mileiN

dhoonDe uJde huye logon meiN wafa ke moti
ye khazane tuJhe mumkin hai kharaboN meiN mileiN

tu khuda hai na mera ishq faristoN jaisa
dono insaaN haiN to kyoon itne hijaaboN meiN mileiN

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar meiN shaamil kar lo
nashaa badh-ta hai sharaabein jo sharaabon meiN mileiN

Aaj hum dar peh kheenche gay jin baaton par
Kya ajab kal woh zamaane ko nisaabon meiN mileiN

ab na wo meiN hooN, na tu hai, na wo maaji hai faraz
jaise do saaye tamaana ke saraabON meiN mileiN


Poet : Ahmad Faraz

Muhammad ji yeh raha pura ghazal aur author ka naam ...

Nice sharing sidushale ji...
Logged
sidushale
Guest
«Reply #4 on: July 29, 2008, 06:21:29 AM »
thx punam Usual Smile
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: July 29, 2008, 06:29:08 AM »
Poet : Ahmad Faraz

Muhammad ji yeh raha pura ghazal aur author ka naam ...

Nice sharing sidushale ji...


Shukriya Punam...Achchha laga Muje...Jub Kisi Shayar Ka Naam Pata ( Knowledge ) Hota Hai To Us Kalaam Ko Padhna Muje achchha Lagta Hai..Fir se Punam Tah-e-Dil se Shukriya
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: July 29, 2008, 06:55:03 AM »
welcome Muhammad ji....mujhe pata tha bata di...waise main ghazal section men Guldasta-e-Ghazal....thread men kuch collection post kar rahi..par kuch ghazal aise hai author koun hai mujhe pata nahi...hota hai aisa..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 07:10:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer