Ab Mujhe Jaane do

by Pooja on August 27, 2008, 05:26:06 PM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 4053 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: September 05, 2008, 02:42:52 PM »
Excellent Pooja..

bahoot bahoot shukaria Aryaan ji!! Apke comments hamesha he mere liye bahoot mehtavpuran rahe hai!!! Acha laga apke comments dekh kar!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**~*Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do**~* by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mujhe mohabbat ki aag me jal jaane do by innocent.devil20 in Shayri-E-Dard
' Uss Ne Mujhe Bhuul Jaane Ki Mannat Maangi...! ' by Amanush... in Shayri-E-Dard
Mujhe Ab Laut Jaane Do... by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
-----/// Mujhe tumhaara ho jaane do /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #31 on: September 05, 2008, 02:44:42 PM »

wah kaya baat hai, BAHOOT KHOOB Sayyid ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: September 05, 2008, 02:45:27 PM »
:clapping:bahut khoob pooja ji  Clapping Smiley

or sayyid ji Applause

hamesha ki tareh bahut hi umda lines  Usual Smile

Baadal

bahoot bahoot shukaria Baadal ji!! app nahi kuch likh kar agye sad5
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: September 05, 2008, 03:05:06 PM »
Bahut Bahut Khoob Pooja..bahut hi acha likha hai... Applause Applause Applause

Aansuo se uchal kar baahar aa,
Dil ke pathar ko Pigaal kar bahaar aa,

Bahut asaan tha kisi ka Aks Bankar jeena,
Ab khud apni peehchaan banakar
iss aaene se bahaar aa....

Tujhko Zimmedariyan utha rahi hai ab,
Jaag, uth, Chal kar bahaar aa....

Machali jal mein reh kar Tadap ko kya Samjhegi???
Tadap ko samajna hai to ek baar paani se bahaar aa....

Saanso Ka chalte jaana hi Zindagi Hai "POOJA"
band kamre mein dam to gutega hi,
Dheere-Dheere tehal kar Bahaar aa....

Tujhe abhi bahut lambe safar mein jaana hai eh dost
Hausle buland rakh,Manzil ko nazar mein rakh kar bahaar aa....


bahoot bahoot bahoot ache khwaish ji!!! is se acha jawab shayad is kavita kja ho he nahi sakta!! ASahi kahaapne.. dost wo hai jo pani main gire ansoo ko bhi pehchan le!! bahoot acha laha apki kavita ko parr kar!!

Pathar yah apne dil ka hi, rulata hai bahoot
Rah rah kar bhi, wo yaad atta hai bahoot

AKS ban kar is kadar jiye ki khud ka chehra bhool gaye
Tanhaai ko ab yaadon ka manjar sajata hai bahoot

Her farz hai apni jagah, her karm hai apni jagah
Zindagi main ayya khalipan, satata hai bahoot

Kabhi ruk gai sansein to kabhi bharni padi lambi ahhein
Bikhare hue khayalo main, Haqiqat ka saya, jhunjhlata hai bahoot

Chah kar bhi kabhi na hua jo chaha Pooja ne
Zindagi aor sanso ka ab yah khail ho chuka bahoot.....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #34 on: September 09, 2008, 07:56:32 PM »

Pathar yah apne dil ka hi, rulata hai bahoot
Rah rah kar bhi, wo yaad atta hai bahoot

Her farz hai apni jagah, her karm hai apni jagah
Zindagi main ayya khalipan, satata hai bahoot

Chah kar bhi kabhi na hua jo chaha Pooja ne
Zindagi aor sanso ka ab yah khail ho chuka bahoot.....


Waah bohot khoob!  Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #35 on: September 09, 2008, 07:57:30 PM »
wah kaya baat hai, BAHOOT KHOOB Sayyid ji!!!


Shukriya pooja ji.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #36 on: September 11, 2008, 04:31:00 PM »
Door nahin jaane denge aap ko,
Huum nigal jaayenge dard ke samandar ko,

Saans aap ki rukegi par waqt aane do,
Tab talak hamen apni saasen ban jaane do,

Ham se samjhaane ki baat na karo,
Hamen aap samajho aisa koi kaam karo,

Na hona dafan tab tak ruko,
Jab talak meri qabr par aapka naan na ho. -

SN**

Acha likha hai Syed aapne... Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: September 12, 2008, 05:10:11 PM »
bahoot bahoot bahoot ache khwaish ji!!! is se acha jawab shayad is kavita kja ho he nahi sakta!! ASahi kahaapne.. dost wo hai jo pani main gire ansoo ko bhi pehchan le!! bahoot acha laha apki kavita ko parr kar!!

Pathar yah apne dil ka hi, rulata hai bahoot
Rah rah kar bhi, wo yaad atta hai bahoot

AKS ban kar is kadar jiye ki khud ka chehra bhool gaye
Tanhaai ko ab yaadon ka manjar sajata hai bahoot

Her farz hai apni jagah, her karm hai apni jagah
Zindagi main ayya khalipan, satata hai bahoot

Kabhi ruk gai sansein to kabhi bharni padi lambi ahhein
Bikhare hue khayalo main, Haqiqat ka saya, jhunjhlata hai bahoot

Chah kar bhi kabhi na hua jo chaha Pooja ne
Zindagi aor sanso ka ab yah khail ho chuka bahoot.....




BahutBahut Khoob Pooja..aaapne bahut jazbaati reply diya.. Applause Applause Applause


Silsila Zakhm-Zakhm jaari Hai,
yeh Zindagi ke Dhoop mein jalti,
Rishto ki zameen hamari hai...

Mere Aankhon mein aansuo ko dekh kar,
usse kyon  Taa-a-ujub ho raha hai "Khwaish"!!!
koi keh de unhe,inn ankhon ne aansuo ke saath
kai din, kayi raat jaag kar guzaari hai....

"Khwaish" Apne Dil ka Dard Har Ek Se Na keh paaya,
kya karta, jisse yaari hai sirf ussi se hi yaari hai....

Tufaan ke darr se zindagi ki iss kashti ko sambhal rakha tha,
ab koi darr nahi, kashti paani mein mein sawaar hai,
ab Samundar ki hi Zimeedari hai....

Bech daali hai Apni Zindagi ke har khushi ke din Tere sadke,
ab ghamo ki raat to hamari hai....

Haathon ki Lakeeron ke khel mein Kuch nahi "Khwaish"
yeh zindagi na Mere bas mein thi kabhi,
Na hi yeh Bas mein Tumhari hai....

Do kadam bhi na chal saka Woh Andhero mein Yaa Rab,
Aur humne to Andhero mein apni zindagi Guzaari hai.....









Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: September 12, 2008, 06:11:29 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah! wah!! wah!! kaya baat hai, bahoot khoob khwaish ji, kai baar apki likhi poem parri.. bahoot he ache shabdo ke sath apne bahoot gahri kavita ki rachan ki hai, jalad he kuch likhne ki koshish hogi!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: September 13, 2008, 06:01:01 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah! wah!! wah!! kaya baat hai, bahoot khoob khwaish ji, kai baar apki likhi poem parri.. bahoot he ache shabdo ke sath apne bahoot gahri kavita ki rachan ki hai, jalad he kuch likhne ki koshish hogi!!

Bahut Bahut Shukriya Pooja...

yeh sab kamaal aapki poetry ka hai..

aapne khud itna acha likha hai ke reply karna asaan ho jaata hai

aapke jawaab ka intezaar rahega..shukiya
Logged
NODER
Guest
«Reply #40 on: September 17, 2008, 08:55:49 AM »
Very good work Pooja sahiba, Khwaish bhaijaan
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #41 on: September 21, 2008, 03:35:07 PM »
Very good work Pooja sahiba, Khwaish bhaijaan

Bahut Bahut Shukriya Noderji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: February 09, 2009, 05:27:15 AM »
Thanks Noder ji
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 30, 2024, 09:28:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.279 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer