Abhee to khwab zinda hai

by muneeb on September 10, 2004, 10:06:50 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 760 times)
muneeb
Guest
abhee to khwab zinda hai
muhabbat k jahan main roshni ka saaz bajta hai
hawaon main chanbaili ka abhi andaz sajta hai
hathaili say tumharay naam ki khushboo nahin roothi
hamary haath say umeed ki tasbeeh nahin chooti
abhee to khwab ki taqdeer main merna nahin likha
hamari qismiton main hijer ka panna nahin likha
to phir yeh kaisay mumkin hai k ham donon
anaa k wajbi say khol main mehsoor ho jain
khudi k hathon say kuch iss trah majboor ho jain
k aankhon par faqet nafret ka pehra ho
hamary aur tumharay dermiyan sirf dard thehra ho
dilon ki wadiyon main tishnagi hi gashat karti ho
tareeki ko hamara aur tumhara bakhat kerti ho
kaho janan!kia tumhain aisa nahin lagta
k anaa ko rastay main chor daina hi munasib hai
apni aadton ko ore daina hi munasib hai
"kion k abhee to khwab zinda hain
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 02:06:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.254 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer