((((((ajj phir udhas hu ))))))

by Naya_Daur on November 01, 2006, 07:25:33 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1586 times)
Naya_Daur
Guest
na sehar hai na sham hai
mujhe bas ek teri hi talash hai

jiyon kaise tujh bin sanam
na samjhe kyun mere jazzbaat hai

teri nighain kyun hai badal gayi
aor bardti hi rahi meri pyaas hai

khaata na koi ,gunaah na koi
phir kyun tu naraz hai

jaan lete the phele tum
meri har dil ki dhadkan ko

phir kyun na jaane tum ajj
JEET ajj phirse Udhass hai...!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
phir shaam dhali phir raat hui by HumTum in Shayri-E-Dard
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya by Zamir Ka Qaidi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
(((((( ajj phir udhas hu )))))) by Naya_Daur in Critics and Review only Forum
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: November 01, 2006, 07:30:51 AM »
kaya baat hai jeet bahi bahut khoob likhe dil ke jazbaat aapne.......
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: November 01, 2006, 08:40:37 AM »
Quote from: "vikas2210"
kaya baat hai jeet bahi bahut khoob likhe dil ke jazbaat aapne.......


thanks Vikas bhai

dil ka katra katra ajj baha doon
har sulagta armaan mitta doon
hosh na rahe mujhe ajj koi
aapni har saans jaala doon

likhna mera dard mein
na samjh paayega woh phir bhi
kis kalam,kis sehai se
ajj usse main apna kalaam bata doon

jaanta hai woh mujhe
jee nahi sakta uske bin
phir bhi shayad woh bhool jaye
par kaise main ussko bhula doon....

kash! usne kabhi dekha hota
gale laga kar phir woh bhi rota
seh leta main yeh doori bhi
par abb khud ko kaise samjha lu....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: November 01, 2006, 04:00:37 PM »
very nice jeet

  jo mujhe sukoon ab de sake bas ab aise dar ki talash hai
                          vo gunaah ho ya sawab ho mujhe us amal ki talaash hai

 mere sare sapne bikhar gae main to choor choor hun  ho chuki  
  jo mujhe samet ke rakh sake usi ek ghar ki talash hai

 jahaan hon parinde chahak rahe aur hawa bhi tez ho  bah rahi
     meri saans ab hai ghuti hui mujhe us fiza ki  talash hai

       main khafa hun har ek rishte se ki sila hai inse  mila nahi
      jis rishte ka nahi naam ho ab usiki mujhko talash  hai

      kabhi titaliyon ke se khwab the aur ek phool meri   talash thi
       magar thokaren hi milin mujhe ab pattharon ki  talash hai

    vo ajeeb sa mera ek dost mere dil ke itne qareeb  hai
       ki meri khushi to main bhool gai uski khushi ki  talash hai

   milen rahaten use chahten ki vo zindagi me sada  hanse
     ye doa meri jo sun sake mujhe us khuda ki talash   hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: November 01, 2006, 04:55:34 PM »
Very Nice Jeet & Tabassum....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2006, 05:48:28 PM »

Suna Tha Ke Mohabbat
Badi Jaan Leva Hoti Hai,
JisM-O-Jaan Ko Maar Dete Hai,
Ek Aag Si Saare Wajood Mein Bhar Deti Hai,
HaMein MaluM Tha,
So HuM Isse Door Rahe
Magar Na Jane Kab QadaM Bekhudi Mein
Is Reh-Guzar Mein Mood Gaye,
Aur Phir
Phool Bichhane Chahe HuMne,
NagMe Bhi Likhe HuMne,
Nigahon Mein Basaya Usko,
Dil Me Bhi Jagah Di Usko,
Uske Dukho Ki Kirchiyan,
Palon Se Chune HuMne,
Uski Raahon Ko Roshan Kiya HuMne,
Khud Ko Dukhi Karke
Magar Na Jane Kya Hua........
Murjha Gaye Phool Saare,
NagMe Besada Hue,
Sazo Se Sisikiyan Purote
Aur Raah Mein Guzar Sehra Hui
Sehra Bhi Kaisa
Tapta Hua
Main Chahti Na The Lekin Door Tak Nikal Gayi,
Aur Jab Palat Kar Dekha To,
Raasta Hi Nahi Tha,
Usko Pukara Bahut,
Magar Apni Hi Sada Wapas Palat Kar Aayi,
Ke Ya To
Har Sada Bedard Thi,
Kis Tarah SiMte Wajood Mera,
Raahein Hai Kaanto Si,
Sheher Hai Veeran Sa,
Sard Hawayein Deti Hawa Har ZakhM Ko,
Dard Se Hoon Chooor,
Magar Chalna To Hai!!
Tanhayi Ke Sehra Mein,
Rehna To Hai,
Koi Dekhe Bebasi Meri,
Jeene Ki Aarzu Nahi,
Magar Jeena To Hai...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: November 01, 2006, 05:53:13 PM »
wonderful  work  Jeet.....Tabassum.....  Angel....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: November 01, 2006, 05:57:41 PM »
Thanks Waheeeeeeeeeeeeeddddddddddddddddd tongue3
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: November 02, 2006, 05:51:01 AM »
thanx a lot aryaan and waheed...........
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: November 04, 2006, 05:49:08 PM »
AzeeM Hai Ye Qurbat Ki Duriyan Bhi,
Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai,
QisMat Mein Nahi Phir Bhi Usko Chahte Hai,
Phool SaMajh Kar Kaanton Par Chalna Kaisa Lagta Hai...

Ab To Mehfil Mein Bhi HaMare Liye Tanhayi Hai,
GaM Chhupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai,
Mehfil Mein Dusron Se Hans Hans Kar Milte Hai,
Tanhayi Mein GaM Ke Aansu Bahana Kaisa Lagta Hai...

SaMajhne Par Bhi SaMajhta Nahi Hai Ye Dil,
Uski Yaad Mein Raaton Ko Jagna Kaisa Lagta Hai,
Uski Berukhi Ne Itne Diye Hai ZakhaM Ke,
ZakhaM Kha Kar Bhi Muskurana Kaisa Lagta Hai...

Jab Wo Hans Hans Kar Baat Karein Dusron Se,
Tab Apne Ansoon Ko Chhupana Kaisa Lagta Hai,
Usse Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nahi,
Phir Bhi Khudko AMeer Batana Kaisa Lagta Hai...

Khud Ko AnMol SaMajhne Ka Tha Bada GhaMand,
Phir Bhi Be-Mol Bik Jana Kaisa Lagta Hai,
Khaye Hai Dhoke Mohabbat Mein Itne Ke
Phir Bhi Isko Chahna Kaisa Lagta Hai...

MaluM Hai Is Deewane Ki Manzil Nahi Hai Koi,
Phir Bhi Safar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai,
Wo To Aa Kar Bhi Kab Ke Jaa Chuke Hai,
Phir Bhi Iska Intezaar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai...
* * * * *
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: November 11, 2006, 05:31:15 PM »
Very Nice Jeet, and all !!
Logged
natural
Guest
«Reply #11 on: November 13, 2006, 12:16:29 PM »
Very Nice Jeet....  Usual Smile

You too wrote very nice tabassum.. Usual Smile
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #12 on: November 14, 2006, 05:50:11 AM »
thanks for ur appreciation Tabassum, Aryan , Angel ,waheed  , Talat n Natural .... :!: :!: :!:
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 26, 2006, 09:52:37 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
na sehar hai na sham hai
mujhe bas ek teri hi talash hai

jiyon kaise tujh bin sanam
na samjhe kyun mere jazzbaat hai

teri nighain kyun hai badal gayi
aor bardti hi rahi meri pyaas hai

khaata na koi ,gunaah na koi
phir kyun tu naraz hai

jaan lete the phele tum
meri har dil ki dhadkan ko

phir kyun na jaane tum ajj
JEET ajj phirse Udhass hai...!!!


wah jeet kaya khoob likha hai... kamal.. bahoot khoob..

Zindagi ki talash mai, zindagi ko dhoonda kiye
Kabhi apne gum main, kabhi aoro ke gum mai jiya kiye

Dhadkan ajj bhi dhadkati hai is dil main
Na jaane ab kayun juban ko hum siya kiye

Nigahe badali nahi na hi badlegi kabhi
Ek teri payaas ki khatir bas hum jiya kiye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: November 26, 2006, 10:04:09 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
Quote from: "vikas2210"
kaya baat hai jeet bahi bahut khoob likhe dil ke jazbaat aapne.......


thanks Vikas bhai

dil ka katra katra ajj baha doon
har sulagta armaan mitta doon
hosh na rahe mujhe ajj koi
aapni har saans jaala doon

likhna mera dard mein
na samjh paayega woh phir bhi
kis kalam,kis sehai se
ajj usse main apna kalaam bata doon

jaanta hai woh mujhe
jee nahi sakta uske bin
phir bhi shayad woh bhool jaye
par kaise main ussko bhula doon....

kash! usne kabhi dekha hota
gale laga kar phir woh bhi rota
seh leta main yeh doori bhi
par abb khud ko kaise samjha lu....



Dil ka lahu bahane se kaya hoga
Dil ke armaan sulgane se kaya hoga
Hosh mai raho ki hosh mai anna jaruri hai
Saanso ko apni tadpaane se kaya hoga

Likhna tera dard main
Khud ek dard ban jaata hai
Jakham ban kar palta hai is dil mai
Umarbhar ki yaad ban jaata hai

Jee sakta hai tujh ab yah dil kaise
Kayun tujko yakin nahi atta hai
Bhool sakti nahi ab main tujko
Dard yah her pal kayun tujko jalata hai

Ro lete hai chup se band darwazo main
Gale lag kar rona hume nahi atta hai
Aise ilzaamo se ban jayegi bahoot doori
Kayun tujko yah samjh nahi atta hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 06:59:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer