Anmol Dukh...

by Aryaan on November 15, 2006, 12:37:00 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2682 times)
Aryaan
Guest
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Anmol Aansu by VIKAS KAMAT in Shayri-E-Dard
Kuch Anmol baatein!!!!!!!! by ranjana in Shairi - E - Zindagi
aansu bhi anmol hote hai... by ANJALI33 in Miscellaneous Shayri
ANMOL ZINDAGI by kuchtohai in Shairi - E - Zindagi
Anmol Taufa.... by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: November 15, 2006, 04:49:45 AM »
wah wah! ARYAAN BHAI.. jawab nahi aapka...

behtreen likha hai aapne....!!!!!!!!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2006, 04:50:15 AM »
Nice one Aryaan  Really very true and correct.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: November 15, 2006, 08:25:04 AM »
bahut khoob ARYAN ..... :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: November 15, 2006, 07:23:18 PM »
Thanks a lot Vicky, Vikas, Ranjana & Majid...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: December 12, 2006, 02:26:36 PM »

Shukriya Zindagi Tere Unn Ehsaano Ka
Humsafar Ke Badle Diye Mehmaano Ka

Bade Matlab-Parast They Jo Teri Tarha
Shukriya Tera, Tere Unn Qadardaano Ka

Aaj Kaun Hai Jo Soche Mere Baare Mein
Yeh Tau Shehar Hai Pathar Dil Insaano Ka

Yahaan Tau Milte Hain Apne Bhi Ghair Jese
Kya Afsos Karoon Phir Main Begaano Ka

Seekhi Hai Tum Ne Yeh Mohabbat Jin Se
Duniya Waalo Ehsaan Maano Unn Parvaano Ka

Kya Huwa Hai, Aur Kya Hoga Haasil Humko
Khaak Mein Milna Hi Hai Anjaam Deewano ka
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2006, 02:53:21 PM »
Bohot khoob Aryaan, both of them are beautiful !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: December 13, 2006, 02:15:04 AM »
Bohat shukriya Talat...
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #8 on: December 13, 2006, 08:15:37 AM »
 bahoot khub Aaryan ji.....


** Sach kaha tumnae ye dukh anmol hotae hain
kho jaata hai sab kuch, ye kahan khotae hain

Ek waqt aata hai saaya bhi chood jaata hai
jo rehtaye hain saath hamesha ye dukh hi to hotae hain

Cheen nahi sakta koi, na chura hi sakta hai
Sach kaha tumnae ye dukh anmol hotae hain..**
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #9 on: December 13, 2006, 08:15:54 AM »
 bahoot khub Aaryan ji.....


** Sach kaha tumnae ye dukh anmol hotae hain
kho jaata hai sab kuch, ye kahan khotae hain

Ek waqt aata hai saaya bhi chood jaata hai
jo rehtaye hain saath hamesha ye dukh hi to hotae hain

Cheen nahi sakta koi, na chura hi sakta hai
Sach kaha tumnae ye dukh anmol hotae hain..**
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: December 14, 2006, 11:55:24 AM »
superbbbb Aryaan n thank u so much ..

Aapne bhi bahut acha likha hai ALONE BAD...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: December 16, 2006, 05:00:27 AM »
Thanks Nikki & Alone Bad...

Good One Alone Bad...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: March 12, 2007, 02:55:31 AM »

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aa Kar Dekho
Khud Nazar Aao ge Jo Aankh Mila Kar Dekho

Mere Gham Mein Meri TaQdeer Nazar Aati Hai
Dagmagaao Ge Mera Dard Utha Kar Dekho

Yun Tau Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Raah Se Jaa Kar Dekho

Bazm Ka Meri Charaghaan, Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mein Bhatakta Hoon Main Aa kar Dekho

Dil Tumhara Hai Main Yeh Jaan Bhi De Doon Tum Par
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibhaa Kar Dekho

Maut BarhaQ Hai Magar Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaun ga Tum Ik Baar Bula Kar Tau Dekho..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 04:16:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer