...~~Apney hi they jo khi garoon mein kho gaye~~...

by HumTum on May 16, 2005, 11:01:34 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1725 times)
HumTum
Guest
sad5

tanhai jab mili to kae dard barh gae
ham say na poch kion akele se reh gae

duniya ne ham ko chain say jeene nahi diya
kuch ham bhi na samajh thay k jeete chalay gae

kuch dosto ki dosti bhi kam agai
kuch dost dosti ko bhi badnaam ker gae

duniya kuch is tarha say badli hai kia kahain
apnay jo thay wo kahin ghairoo mai kho gae

ab kia kisi say shikwa shikayat karain "HumTum"
hum dehar k andheeron main chup chap so gaye


HumTum sad5

Logged
Meena
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2005, 11:06:09 AM »
Quote from: "HumTum"
sad5

tanhai jab mili to kae dard barh gae
ham say na poch kion akele se reh gae

duniya ne ham ko chain say jeene nahi diya
kuch ham bhi na samajh thay k jeete chalay gae

kuch dosto ki dosti bhi kam agai
kuch dost dosti ko bhi badnaam ker gae

duniya kuch is tarha say badli hai kia kahain
apnay jo thay wo kahin ghairoo mai kho gae

ab kia kisi say shikwa shikayat karain "HumTum"
hum dehar k andheeron main chup chap so gaye


HumTum sad5



wahhhhhhhhh humtum ji!!!! such a brillienttttt poem!!!!!

door se dekha apne apno ko gairon se haath milate hue,
soch lyia apne chal denge woh doosro ka saath nibate hue,
kabhi to vishwas kar lo apni dosti, apne pyar pe "humtum",
milenge tujhe pas ho humesha, wafa ke geet gungunate hue!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2005, 11:12:49 AM »
Shukriya ji ......

bekaar hi betha hai burson say maseeha
woh dard denay waalee jaanay kidher gayee

dhoonday say bhi milta nahi hai ab mazaar mera
aansoo bahaanay waalee jaanay kidher gayee
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2005, 11:13:52 AM »
Quote from: "HumTum"
Shukriya ji ......

bekaar hi betha hai burson say maseeha
woh dard denay waalee jaanay kidher gayee

dhoonday say bhi milta nahi hai ab mazaar mera
aansoo bahaanay waalee jaanay kidher gayee


hmm bohot ache, apki shayari ke samne meri shayari to kuch bhi nahin isslyie sirf tareef karti hoon!  :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2005, 11:17:32 AM »
ghum ki jaageer wiraasat mein mili hai Mujh ko
apni jaageer mein rehta hoon nawaabon ki tarah
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2005, 11:19:31 AM »
gumon ke mehelo se zara bahar aa jao,
kushiyon ki barsaton me kabhi to bigh jao!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2005, 11:22:44 AM »
woh barsatey na bnai khuda ne mere liye
ke har tarah zeest ki rahoon mein aag hai !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: May 16, 2005, 12:02:54 PM »
HumTum sad5  nice yaar ......  

sooraj ke saath doob gaya mera dil bhi Aaj
itna udaas shaam ka manzar kabhi na tha
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: May 16, 2005, 12:09:24 PM »
HumTum keep it up yaar .......

iss hansney mein chhupey dard ko mehsoos to kar
woh to hans hans key yoonhi khud ko saza deta hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2005, 12:12:11 PM »
shi kha yaar .......  

iss mein qismat ki khata hai na zamaaney ka qusoor
ghum tou insaan ke jeeney ki saza hotey hain..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: May 16, 2005, 12:15:57 PM »
wah.... kya baat hai .....

apni saansein meri saanson mein mila kar rona
jab bhi rona mujhey seeney sey laga kar rona
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: May 16, 2005, 12:18:05 PM »
nice .......... bilkul shi

ik be-wafa sey dil ka lagaana fuzool hai
paani pe koi naqsh banaana fuzool hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: May 16, 2005, 12:20:17 PM »
shi kha dost .....

be-wafa Hum hain to aey jaan-e-wafa yoon hi sahi
dhoondh lena jo tumhein koi wafadaar miley
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: May 16, 2005, 12:23:14 PM »
shi hai dost ..... lekin ...

jiss ke chehray pe sabhi jhoot ki tehreerein hain
dil ussi shakhs ke waadon sey behelta kiyon hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: May 16, 2005, 12:28:24 PM »
wah ....

paani mein aks dekh kar khush ho raha tha mein
patthar kissi ne phenka to manzar badal gaya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 12:27:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer