Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 273
Print
Author  (Read 117416 times)
angel4u
Guest
All the poems/shayris posted in this thread are MY COLLECTION and not MY CREATION.


Khwab Aankhonse Ab Koi Chura Kar Le Jaye,
Qabar Se Sukhe Hue Phool Utha Kar Le Jaye,

Muntazir Phool Mein Khushbu Ki Tarah Hoon Kabse,
Koi Jhonke Ki Tarah Aaye Uda Ke Le Jaye,

Ye Bhi Pani Hai Magar Aankh Ka Aisa Pani,
Jo Hatheli Se Rahi Mehandi Chura Ke Le Jaye,

Main Mohabbat Se Mehekta Hua Khat Hoon Mujhko,
Zindagi Apni Kitabon Mein Chhupa Kar Le Jaye,

Khaak Insaaf Hai Nabeena Buton Ke Aage,
Raat Thali Mein Charagon Ko Saja Kar Le Jaye,

Unse Kehna Ke Main Paidal Nahi Aane Wala,
Koi Baadal Mujhe Kaandhe Pe Bitha Kar Le Jaye...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1 on: November 14, 2006, 08:21:43 PM »

SaMay SaMay Ki Khalish Mein Tera Malal Rahe,
Judaiyon Mein Bhi Yun AalaM-E-Visaal Rahe,

Zinagi Ki Jang Mein HuM Jeet To Gaye Lekin,
Phri Uske Baad Bahut Der Tak Nidhaal Rahe,

Raah-E-Junoon Mein Yehi Zaad-E-Raah Hota Hai,
Ke Justuju Bade Diwangi Bahaal Rahe,

Haseen Raatein Bhi Mehkein TuMhari Yaadon Se,
Kade Dino Mein Bhi Pal Pal Tera Khayal Rahe,

Tu Ek Baar Zara Kishtiyan Jala To Sahi,
Hai Kya Majaal Ke Ek LaMha Bhi Zayaal Rahe...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: November 14, 2006, 08:23:29 PM »
Thanks re, abhi to dekho aur mast collection banaungi...

tongue3


Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha, Na Sukoon Tha Na Karaar Tha,
Ye Ho UMr Thi Mere HuMnahi Ke Kisiko Mujhse Bhi Pyaar Tha,

Main SaMajh Raha Hoon Teri Kasak Tera Mera Dard Hai Mushtarak,
Isi GaM Ka Tu Bhi Aseer Hai, Isi GaM Ka Main Bhi Shikar Tha,

Fakat Ek Dhun Thi Ke Raat Din Isi Khwab Zaar Mein GuM Rahein,
Wo Suroor Aisa Suroor Tha Wo KhuMar Aisa KhuMar Tha,

Kabhi LaMha Bhar Ki Guftugoo Meri Uske Sath Na Ho Saki,
Mujhe Fursatein Na Mil Sakein Wo Hawa Ke Reth Par Sawar Tha,

HuM Ajeeb Tarz Ke Log The HaMare Aur Hi Rog The,
Main Khizan Mein Tha Uska Muntazir Use Intezar Bahar Tha,

Use Padhke TuM Na SaMajh Sake Ke Meri Kitab Ke Roop Mein,
Koi Karz Tha Kayi Roz Ka Kayi Ratjagon Ka Udhar Tha...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: November 14, 2006, 08:24:09 PM »

Itne Dino Ke Baad Tu Aya Hai Aaj,
Sochta Hoon Kis Tarah Tujhse Milun,

Mere Andar Jaag Uthi Ek Chandni,
Main ZaMeen Se AasMan Tak Ek Ang Hoon,

Aur Ujala Ho Gaya Qurbat Ka Chand,
Aur Gehra Hogaya Tera Fusun,

Aye Saraapa Rang-O-Nikahat To Bata,
Kis Dhanak Se Tera Pairaahan Banun,

Saare Gul-Butte Tar-O-Taza Hue,
Door Tak Pahuchi Hai Meri Mauj-E-Khoon,

Kar Rahe Hai LaMhe LaMhe Ka Hisaab,
Mil Ke Phir Baithe Hai Yaaran-E-Junoon,

Dasht-E-GhaM Ki Dhoop Mein Mujhpar Khula,
Main Khud Apna Saaya-E-Deewar Hoon,

Naaz Kar Khud Par Ki Tu Hai BeshuMar,
Qadr Kar Meri Ke Main Bas Ek Hoon...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: November 14, 2006, 08:24:48 PM »

Itni Muddat Baad Mile Ho,
Kin Sochon Mein GuM Rehte Ho,

Tez Hawa Ne Mujhse Puchha,
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho,

Kaun Si Baat Hai TuM Mein Aisi,
Itne Achhe Kyon Lagte Ho,

HuMse Na Puchho Hijr Ke Qisse,
Apni Kaho Ab TuM Kaise Ho...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: November 14, 2006, 08:25:15 PM »

TuMhe Dilse Bhulate Hai To Aankhein Khoob Roti Hai,
Dard DilMe Jagate Hai To Aankhein Khoob Roti Hai,

TuMhare Baad Chahat Ke Sabhi Pachhi Ude Janaan,
Kahin Bhi Dil Lagate Hai To Aankhein Khoob Roti Hai,

Teri Tasveer, Adhure Khat To Jala Diye HuMne,
Ab Paani Pe Naksh Bante Hai To Aankhein Khoob Roti Hai,

Ghata Aawargi Mein Jab Siyah Chola Pehanti Hai,
Parinde Jab Satate Hai To Aankhein Khoob Roti Hai,

Ke Jab Bhi ShaaM Dhalti Hai Meri KisMat Ke Sab Taare,
Falaq Par JagMagate Hai To Aankhein Khoob Roti Hai,

Sard Tarkeek Raaton Mein Siyah Sawan Ki Baarish Mein,
Dard Jab Muskurate Hai To Aankhein Khoob Roti Hai,

Sahil Ki Wo Mitti Ke Jis Pe Khoon Hathonse,
Wafa Likh Kar Mitate Hai To Aankhein Khoob Roti Hai...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: November 14, 2006, 08:25:47 PM »

Khizan Ke MausaM Se Gulab Maang Raha Hai,
Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai,

Jaan Mangta To Main Zara Taghaful Na Karta,
Magar Wo Mujhse Mera Khwab Maang Raha Hai,

Ata Kar Ke Mere Zeest Ko Hijr Ki Aziyatein,
Aur Mujhse Visaal-E-Rut Ke Hisab Mang Raha Hai,

Khatayein Karna Hi Raha Mashghala Uska,
Main Kya Dun Sila Use Wo Sawab Mang Raha Hai,

Apni SaMajh Mein Uski Guftagu Bhi Nahi Aati,
Aur Wo Ankahe Sawalon Ke Jawab Mang Raha Hai,

Mujhko Apne Wajood Pe Bhi Dastaras Nahi Hasil,
Aur Dil-E-Nadan Hai Mehtaab Mang Raha Hai,

Koi Zindagi Se Ghabra Gaya Is Kadar,
Kashti Ka Musafir Hai Aur Gardaab Mang Raha Hai...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: November 14, 2006, 08:26:19 PM »

Dard Apnata Hai Paraye Kaun,
Kaun Sunata Hai Aur Sunaye Kaun,

Kaun Dohraye Wo Purani Baat,
GaM Abhi Soya Hai Jagaye Kaun,

Wo Jo Apne Hai Kya Wo Apne Hai,
Kaun Dukh Jhele AazMaye Kaun,

Ab Sukun Hai To Bhulane Mein Hai,
Lekin Us Shakhs Ko Bhulaye Kaun,

Aaj Phir Dil Hai Kuch Udaas Udaas,
Dekhiye Aaj Yaad Aaye Kaun...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: November 15, 2006, 05:15:53 PM »
Thanks majid and gum...


Use yaad karke na dil dukha, jo guzar gaya wo guzar gaya,
kahan laut kar koi ayega, jo guzar gaya wo guzar gaya,

nayi subah hai nayi shaam hia naya shaher hai, naya naam hia
wo chala gaya use bhool ja, jo guzar gaya wo guzar gaya,

koi ayega koi jayega koi jayega koi ayega,
suno raston ki sada suno, jo guzar gaya wo guzar gaya,

tere paas tere habib hia, jo nahi mia wo naseeb hai,
koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaya wo guzar gaya,

mujhe patjhadon ki kahaniya na suna suna ke udaas kar,
naye mausamon ka pata bata, jo guzar gaya wo guzar gaya,

yahan aitbaar-o-yakeen hai ye haqeeqaton ki zameen hia,
zara der ka koi khwab tha, jo guzar gaya wo guzar gaya...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: November 15, 2006, 05:16:55 PM »

Khule paniyon mein ghiri ladkiyan,
naram lehron ke chhinte udati hui,
baat baat pe hansti hui,
apne khwabon ke shehzade ka tazkara karti hui,
jo khamosh the unki aankhon mein bhi
muskurahat ki tehreer thi,
hamari hansi aur mojon ke ahang se bekhabar,
door saahil par baithi hui ek nanhi si bachhi,
ret se ek nanha gharonda banane mein masroof,
aur main sochti thi,
ya KHUDA ye hum ladkiyan,
kachhi umar se khwab kyon dekhna chahti hai???
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: November 15, 2006, 05:21:21 PM »

Khushal se tum bhi lagte ho, yun afsurda to hum bhi nahi,
pehchanne wale jante hai, khush hum bhi nahi khush tum bhi nahi,

tum apni khudi ke pehre mein, or dam-e-gharoor mein jakde hue,
hum apne za-am ke narghay mein, haath hamare pakde hue,

ek muddat se ghatan pehchan, tum rabt-o-guraiz ke dharon mein,
hum apne aap se uljhe hue, pachtave ke angaron mein,

mashor-e-talatum aaj bhi ho, jo tumne kinare dhund liye,
toofan se sambhle hum bhi nahi, kehne ko sahare dhoond liye,

khamosh se tum hum mohar ba-lab, jug beet gaye tumse baat kiye,
suno khel adhoora chhodte nahi, bina chaal chale bina maat kiye,

jo bhagte bhagte thak jayein, wo saaye ruk bhi sakte hai,
chalo todo kasam ikraar karein, hum dono jhuk bhi sakte hai...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: November 15, 2006, 05:22:27 PM »

Sheher barbaad ho raha hia abhi,
aur tu hai ke so raha hai abhi,

dekh veeran ho raha hai jahan,
aur tu daagh dho raha hai abhi,

tere andar bhi koi dukh mein hai,
mere andar bhi ro raha hai koi...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: November 15, 2006, 05:23:58 PM »

Pehle pehle to khwabon ka dam bharne lagti hai,
phir aankhein palkon mein chhup kar rone lagti hai,

jaane tab kyon suraj ki khwahish karte hai log,
jab baarish mein sab deewarein girne lagti hia,

tasveeron ka rog bhi aakhir kaisa hota hia,
tanhayi mein baat karo to bolne lagti hai,

saahil se takrane wali vehshi maujein bhi,
zinda rehne ki khwahish mein marne lagti hia,

tum kya jaano lafzon ke aazar ki shiddat ko,
yaadein tak sochon ki aag mein jalne lagti hai...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: November 15, 2006, 05:27:29 PM »

MOhabbat jab lahoo bankar
ragon mein sarsaraye to,
koi bhula hua chehra
achanak yaad aaye to,
kadam mushkil se uthte ho,
irade dagmagaye to
koi maddham se lehje mein
tumhe wapas bulaye to,
thaher jaana
samajh lena
ke ab wapas palatne ka amal agaaz hota hai
kabhi tanhaiyon ka dard
aankhon mein samaye to,
koi lamha ghuzishta chahaton ka,
jab sataye to,
kisiki yaad mein rona,
tumhe bhi khoon rulaye to,
agar tumse tumhara dil,
kisi dam rooth jaye to,
kabhi anhoniyon ka dar,
parindon ko udaye to,
hawa jab darakht se ek zard sa,
patthe gire to
thaher jana,
samajh lena
ke ab wapas palatne ka amal aghaaz hota hia...
* * * * * {NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: November 15, 2006, 05:29:54 PM »

Dhala hai chand, lo akhir-e-shab hai ab so to jayein,
kaho in bolti aankhon se ke khamosh ho jayein,

andheri raat mein roshan sitara kisne dekha hia,
samundar ke safar mein haan kinara kisne dekha hai,
sambhal jaa aye dil ke tumhe samjhaaye jaate hai,
kahin aisa na ho hum inki gehrayi mein kho jayein,

kaho in bolti aankhon se ke khamosh ho jayein,

ye chaha kab tha inki aseeri chhode jana hai,
magar kismat mein likha tha so likha tha humne mana hia,
humein aise jo dekhenge to ab bhi na paayenge,
na paas aao ke jate waqt hum qurbat pe ro jayenge,

kaho in bolti aankhon se ke khamosh ho jayein,

hamara muskura kar alwida kehna inhe bhaaya,
magar ye kya abhi se in mein sawan utar aya?
inhe roko hamare dil ka yun na imtihaan lein ab,
ye baadal ab kahin muh ko hamare na bhigo jayein...

kaho in bolti aankhonse ke khamosh ho jaayein...

Dua hia ye sada hasti rahein roshan rahe har dum,
zamane bhar ki ho khushiyan, ye na dekhein ab koi gam,
meri aankhon ke jugnoo bhi inhi ki shaam mein chamkein,
khudaya! saare mausam in mein rang-o-boo sama jayein...

Kaho in bolti aankhonse ke khamosh ho jaayein...
* * * * * {NM}
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 06:37:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.179 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer