-Ashq-e-Samundar-

by HumTum is back on May 26, 2006, 01:21:52 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1764 times)
HumTum is back
Guest
Ankhien ban jati hai samundar dil zorsaar rota hai
Har lamha har ghadi tere aane ka intzaar hota hai

Gir gyii hai zindgi meri Na-umidii ke banvaar mein
Juls jati hai aag mein ruuh, lamha-e-firaak hota hai

Yun to shola-e-jaan kab ka bujh chuka hai, lekin
badak uth-ta hai jab kabhi bhi zikr-e-yaar hota hai

Kyunkar na ashq bhaye hum roye na zaarzaar kyun
HalaatooN pe insaan ka bhalla kab ikhtiyar hota hai

Kyun kar ke kinara tu bichad gya hai mere humdum
Ab dil yahi kehta hai ke "HumTum" pyaar dhoka hai !!


HumTum
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tum samundar ke baat karti ho, by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
saahil pe samundar by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
AshQ..AshQ..likhi...Kahaani...!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
~~~ Samundar ~~~ by angel4u in Shayri-E-Dard
Mere Ansuon Ka Samundar..SK by Shayaries_King in Shayri-E-Dard
ranjana
Guest
«Reply #1 on: May 26, 2006, 01:31:10 PM »
bahut khub..........humtum ji........
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2006, 01:55:17 PM »
wah wah humtum ji....bohot ache!!

ashkon ke saath tum apna dard bhi baha do,
apne hathon ki lakeeron me se uska nam tum mitha do,
pyar doka nahin bas kismat kismat ki baat hai aye dost,
yeh ek sachayi tum apne dil ko zara samjha do!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2006, 02:17:44 PM »
ShukriyaaN Ranjana ji ... Meena Ji !!


Hathoon se uski lakeerien mita bhi du lekin
Kismat mein likhi Tanhaii ko kaseey mitau
Dard bha du agar apna ashqoon ke sath toh
Iss dard ke bina btao kaseey mein jee pau ?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: May 26, 2006, 02:23:12 PM »
bahoot khoob Humtum and nice one meena!!!

Ahaq_e-samunder ko bahne do
mujko issi haal mai rahne do
dekh kar agar wo muje unhi khush hai
tadap tadap ker muje mar lene do
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #5 on: May 26, 2006, 02:25:18 PM »
Pooja ji ... bahut dino baad ...achca lga Usual Smile


Ashq-e-esamundar behta rehega
Yhi dil mera bhi kehta rehega
Tu chod gya hai to kya hua sanam
Labon pe tera naam hamesha rhega !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: May 26, 2006, 02:30:33 PM »
wah !!!!

kash mil jaye mere khawabo ki tabeer kahi
main ek khawabo ka nagar liye firti hun
ab teri yaad hi hai mere jeene ka sahara
teri yaado ke sahare hi main jeeya karti hun
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: May 26, 2006, 02:31:02 PM »
bade dino baad  Puzzled !   Ulta chaor kotwal ko dante  :evil:

Good one
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #8 on: May 26, 2006, 02:34:14 PM »
waah waah Ranjana ji .. bahut khoob !!

Pooja ji .....  ab kya hamesha chor hi dant khaye Usual Smile


Zindgi guzar rahi hai bahut tanhaa tanhaa
Dil mein hsole hai jalte aur ankh hai num
Yun bhi hota hai kabhi zindgi mein askar
Aati nahi hai saansien nikle bhi na yeh dum !
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: May 26, 2006, 02:39:55 PM »
NICE Pooja and Humtum ji..........


hamne dekha nahi hai jinko ab tak
woh log hamare dil mein raha karte hain
 mumkin nahi hai jo dil chahay woh mil jaaye sabko
is baat ka gila jaamne mein aksar log kiya karte hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2006, 02:40:41 PM »
last line bahoot hi achi likhi hai!!!

Zindagi ka safar kuch aise hi tay ho gaya
na hum jiye na hi logo ko laga iska dum nikal gaya
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #11 on: May 26, 2006, 02:43:37 PM »
Nice both !!


Maagi thi ik khusi rab se hathoon ko failaye
Badle mein mile hai hazaar gahumoon ke saye
Iss gum ke sahare ab bitana hai jeevan sara
Karna hai intzaar ke kab maout gale lgaye !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: May 26, 2006, 03:02:59 PM »
nice hai ji.........


jindagi ke saath dharke hai maut
isko seene se lagao toh baat bane
jaalate rahe hai dil apna ta umar
ab deep man ke jaalo toh baat bane
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #13 on: May 29, 2006, 07:47:47 AM »
waah ... Ranjana ji !!


Diye dil-e-chahat ke bhuj gaye hai sare
Ab Zindgi ka diya bhujne ka intzaar hai
Ho chukihai ab blaye tam-mm "HumTum"
Ab bas blaye-e-mout guzrne ka intzaar hai!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: May 29, 2006, 08:19:32 AM »
wah Hum tum ji....................

dilo ke diye wahan  hi bujh gaye
jahan aap hamse bichar  gaye
hamne toh chhaa thaa aapko dil se
aap hi hamari mehfil se na jane kyu uth gaye
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
October 04, 2024, 02:13:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[September 29, 2024, 02:17:44 PM]

[September 29, 2024, 02:15:31 PM]

[September 29, 2024, 02:13:54 PM]

[September 29, 2024, 02:12:46 PM]

by ASIF
[September 06, 2024, 07:19:37 PM]

[September 05, 2024, 02:50:37 AM]

[August 23, 2024, 06:35:34 AM]

[August 22, 2024, 06:28:13 AM]

[August 22, 2024, 06:27:09 AM]

[August 20, 2024, 06:14:40 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8503 Real Poets and poetry admirer