Ashqo Ka Mosam

by Pooja on March 18, 2008, 04:26:17 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1880 times)
Pooja
Guest
Mere sathi ne kaya dard barsaya hai
Ashqo ka mosam, her mosam mai chaya hai

Khushnuma yaadein bhi dekhon,
dard ka ahsaas karati hai
dard bhari yaadon se
yah dil muskuraya hai!!!

Tanhaai ke alam main,
kaya dil usne lagaya hai
kabhi khayalo ke jhoko main
kabhi haqiqat se jagya hai

bahoot chaha tujhe humne
bahoot socha kiye hum
sun e- mere sathi
Tujhe alwida kahne ka
Waqat ayya hai...

Such hi kaha maine, tune kaya dard barsaya hai
Ashqo ka mosam, her mosam mai chaya hai.................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mosam-e-gham by muneeb in Shayri-E-Dard
barsat kai mosam mai by Azedmeer in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
ashqo by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ponchh leta hu ashqo.n ko by medha_jain3 in Shayri for Khumar -e- Ishq
aaya mosam fuloka...jyuthika.. by jyuthika in Occassion Specific Poetry
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: March 18, 2008, 04:42:17 PM »
Quote
Mere sathi ne kaya dard barsaya hai
Ashqo ka mosam, her mosam mai chaya hai

Khushnuma yaadein bhi dekhon,
dard ka ahsaas karati hai
dard bhari yaadon se
yah dil muskuraya hai!!!

Tanhaai ke alam main,
kaya dil usne lagaya hai
kabhi khayalo ke jhoko main
kabhi haqiqat se jagya hai

bahoot chaha tujhe humne
bahoot socha kiye hum
sun e- mere sathi
Tujhe alwida kahne ka
Waqat ayya hai...

Such hi kaha maine, tune kaya dard barsaya hai
Ashqo ka mosam, her mosam mai chaya hai.................
 


Bahoot khoob pooja ji...achhe ahsaas piro leti haiN aap....daad hazir hai janaab


pyaar ban ker miri aankhoN maiN umad aye ho tum
Dard hi dard ab mire seene maiN barsaaye ho tum

jab bhi dekhooN tumeeh ho jaooN nashe maiN sarshaar
Jaam ban ker miri aankhoN maiN chhalak aaye ho tum


Harash
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: March 18, 2008, 04:45:01 PM »
wah kaya baat hai Harsh ji... bahoot khoob likha...

Shukaria apko mera likha acha laga
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #3 on: March 18, 2008, 04:54:28 PM »
Shukriyaa^h pooja.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 18, 2008, 05:22:57 PM »
UNKI  YAADON MEIN DIN GUZAARA KARTE THE
AAJ WOH YAADON KA MAUSAM BHI MERE DIL KO GAWARA NAHI

DIL TADAP KAR ROTA HAI AUR KEHTA HAI
'JIS SHAKS KE LIYE ITNE AANSU BAHAYE HAI,
UNN AANSUO KA KYA MOL REH JAAYEGA  "KHWAISH"??
JAB WOH SHAKS HI AAJ TUMHARA NAHI'

JAB KAHAN HUMNE UNSE JAATE WAQT KE
EK BAAR HI SAHI PAR PALAT KAR DEKH TO LETE,
USKE JAWAAB NE "KHWAISH" KO HAIRAAN KAR DIYA,USNE KAHA..
MAIN RUKH JAATI "KHWAISH" PAR TUNE PEECHE SE EK BAAR BHI PUKARA NAHI...

"KHWAISH" APNE ASHKO KO APNE HI AANKHON MEIN QAID KAR KE REH GAYA
SACH TO YEH HAI KI...
EK PAL BHI TERI YAADON KE BIN HUMARA GUZAARA NAHI.....

UMEED KARTA HOON BEECH SAFAR MEIN TUJHSE KABHI TO MULAKAT HO
TERE BIN "KHWASH" KI ZINDAGI KA KOI KINARA NAHI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: March 18, 2008, 05:37:17 PM »
Quote
Mere sathi ne kaya dard barsaya hai
Ashqo ka mosam, her mosam mai chaya hai

Khushnuma yaadein bhi dekhon,
dard ka ahsaas karati hai
dard bhari yaadon se
yah dil muskuraya hai!!!

Tanhaai ke alam main,
kaya dil usne lagaya hai
kabhi khayalo ke jhoko main
kabhi haqiqat se jagya hai

bahoot chaha tujhe humne
bahoot socha kiye hum
sun e- mere sathi
Tujhe alwida kahne ka
Waqat ayya hai...

Such hi kaha maine, tune kaya dard barsaya hai
Ashqo ka mosam, her mosam mai chaya hai.................
 


Bahoot khoob pooja ji...achhe ahsaas piro leti haiN aap....daad hazir hai janaab


pyaar ban ker miri aankhoN maiN umad aye ho tum
Dard hi dard ab mire seene maiN barsaaye ho tum

jab bhi dekhooN tumeeh ho jaooN nashe maiN sarshaar
Jaam ban ker miri aankhoN maiN chhalak aaye ho tum


Harash

noch kar rooh se wo karar le gaya
dard hi dard, beshumaar de gaya
andhere hi her taraf jahan najar aaye
ek aisa wo sansaar de gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 18, 2008, 05:45:18 PM »
UNKI  YAADON MEIN DIN GUZAARA KARTE THE
AAJ WOH YAADON KA MAUSAM BHI MERE DIL KO GAWARA NAHI

DIL TADAP KAR ROTA HAI AUR KEHTA HAI
'JIS SHAKS KE LIYE ITNE AANSU BAHAYE HAI,
UNN AANSUO KA KYA MOL REH JAAYEGA  "KHWAISH"??
JAB WOH SHAKS HI AAJ TUMHARA NAHI'

JAB KAHAN HUMNE UNSE JAATE WAQT KE
EK BAAR HI SAHI PAR PALAT KAR DEKH TO LETE,
USKE JAWAAB NE "KHWAISH" KO HAIRAAN KAR DIYA,USNE KAHA..
MAIN RUKH JAATI "KHWAISH" PAR TUNE PEECHE SE EK BAAR BHI PUKARA NAHI...

"KHWAISH" APNE ASHKO KO APNE HI AANKHON MEIN QAID KAR KE REH GAYA
SACH TO YEH HAI KI...
EK PAL BHI TERI YAADON KE BIN HUMARA GUZAARA NAHI.....

UMEED KARTA HOON BEECH SAFAR MEIN TUJHSE KABHI TO MULAKAT HO
TERE BIN "KHWASH" KI ZINDAGI KA KOI KINARA NAHI....


Yaadein hai unki aor yaad unhe karna nahi chahte
Bin unke lagta nahi dil, pass unke jaana nahi chahte
Bebasi ki tadap ko kaise kuch bhi hum samjhaaye
Jab jaanbujh kar hum samjhna nahi chahte

Palat kar dekhna nahi hota asaan
Kaise us shakas ko hum yah batlaaye
Ashqo ko ankhon mai hi rah jaane do
Yah ashaqo ka mosam, bas humare liye hi rah jaaye
Logged
jempawan
Guest
«Reply #7 on: March 18, 2008, 06:30:55 PM »
Bahut Achi Shayri thi
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: March 18, 2008, 06:52:19 PM »
Beautiful words Pooja... Nice Replies Harash & Khwaish..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: March 18, 2008, 07:07:26 PM »
Shukaria Pawan and Aryaan ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: March 18, 2008, 10:18:34 PM »
Bohot khoob Pooja..Harash and Khwaish Applause
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #11 on: March 19, 2008, 06:02:10 AM »
Shukriyaah aryan ji Talat ji our pooja ji....

Pooja wrote:-
Quote
noch kar rooh se wo karar le gaya
dard hi dard, beshumaar de gaya
andhere hi her taraf jahan najar aaye
ek aisa wo sansaar de gaya

Pooja ji is dard ko poori tarah hi sounp diya tumne...use itna hi kasoor waar ker diya....ho sakta hai ki woh kasoorwaar hi na ho...koi majboori ho.....  bahoot khoob ahsaas diye aapne.....humari taraf se bhi kuch qobool farmayen...Agar humm ise is tarah kaheiN toh?...


Kitna ahsaan ker diya tumne
Dil main tufaan bhar diya tumne
NeeNd bhi aate katraati hai,
Itna badnaam ker diya tumne.


Harash
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: March 19, 2008, 03:04:11 PM »
Thanks Talat!! wah kaya baat hai Harsh ji!! bahoot khoob.. bas yahi ek baat na sikh sake hum... mithas ke libas mai apni baat kahna.. jo dil mai ho pathar sa munh per kah deti hu sad5

atte ho bahoot yaad, zisam kaanp jaata hai
ek tak dekhu teri tasveer, ansoo tapak jaata hai
milte ho jab mujhse, ek nafrat ka saya muchal jaata hai
sun kar wahi teri kathor baatein, Ashqo ka mosam aa jaata hai
atte ho bahoot yaad.......
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #13 on: March 19, 2008, 06:42:18 PM »
Pooja ji  bahut khoob ashar pesh kii hai aapne .........

Takleef  our araam muqadder ki baat hai
Kya kisko mile kaam muqadder ki baat hai.
Mefil maiN log aate haiN aya hi kareNge
Kis-kis ko mile kaam muqadder ki baat hai.


harash
Logged
mistufer
Guest
«Reply #14 on: March 19, 2008, 07:02:51 PM »
pooja ji and harash ji

aap dono ne aaj mere din mein ujala hai diya
itne khubsooray sher mile hain padhne ko
dono daad ke haqdaar ho kabool farmain.

nira
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 12:09:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer