Aur na karenge mahobbat...............

by badnaam_shayar on October 27, 2005, 05:18:22 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2037 times)
badnaam_shayar
Guest
bas bahut ho chuka aur na karenge mohabbat,
hame khusi chahiye nahin koi dil ka dard.
mohabbat ne sapne to bahout dikhaye,
par wo sapne hi rah gaye,
haqiqat na ban paye,
dil sapne dekhta raha..akhein sapna dikhate rahin,
jab sapna tuta dil ahein bharta raha..aur akhein rotti rahie
:cry:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Intezaar karenge hum by sinritesh in Shayri for Dard -e- Judai
~~~ Hum intazar karenge ~~~~ by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~ Hum intazar karenge ~~~~ by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jinka Hum Vishwas Karenge Wo hi Dga baaj Karenge by RAJ SOLANKI in Miscellaneous Shayri
sanya310
Guest
«Reply #1 on: October 27, 2005, 05:27:20 PM »
bohto achhee..
Logged
roshni246
Guest
«Reply #2 on: October 27, 2005, 05:38:59 PM »
wow badnam_shayar well done.....


MUHOBBAT KE BHI KUCH ANDAAZ HOTE HAI,
JAGTI AANKHO ME BHI KUCH KHWAB HOTE HAI
ZARURI NAHI KI GUM ME AANSOO NIKLE
MUSKURATI AANKHON ME BHI SAILAAB HOTE HAIN......
[/i]
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: October 27, 2005, 06:06:39 PM »
very nice badna...........roshni.............
Logged
Mumtaz
Guest
«Reply #4 on: October 28, 2005, 02:26:16 AM »
Wow badnaam_shayar & roshni246 bahut achha likha aap donon

Anmol honé ké khwahish mén bazár chal baitha main.
Lékin andhon ke shahar mén á'iná biktá hi kahán hai Puzzled ! ?
Logged
tushu
Guest
«Reply #5 on: October 28, 2005, 12:26:48 PM »
U all are really great..... buddies....

Woh Baate Woh Mulakate,
Woh Jaagti Raate,

Woh Hassi Woh Aankhe,
Woh Dhadkti Sanse,

Woh Waade Woh Iraade,
Woh Jhukhi Palkhe,

Woh Din woh Raate
Hume aaj bhi Satate,

Woh Pyar woh Tadap
Jaane Hume Kyun Nazar Nahi Aate

Hum aapko Dekh nahi paate
Ye Aap nazar nahi aana Chahte.....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: October 28, 2005, 04:24:24 PM »
Thnx to all of u..................

Diya Khaamosh hai lekin kai ka Dil to jaltaa hai.n
Chale Aao jahaa.n tak Roshni maaloom hoti hai.n

Duniya me.n kisko samjhe apna sabhi Dil tod jaate hai.n
Sajaa ke apni Mehfil akela Chhod jaate hai.n

Ehsaas berukhi me.n Nikal Aae jo Aasoo.n
Yaado.n ne teri aur bhi bechain kar Diyaa

Humne jakhm khaakar bhi Dosti nibhaai hai.n
Dushmano ke hak me.n bhi hum ne khair chahi hai.n.................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: October 28, 2005, 04:53:16 PM »
excellent......Mumtaz........Tushu.....Badnam.... ...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: October 28, 2005, 06:30:10 PM »
dil dhadakane ka sabab yaad aaya

woh teri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhalana aye dost

tu musibat main ajab yaad aaya

din guzaara tha badi mushkil se

phir tera wada-e-shab yaad aaya

tera bhula hua paimaan-e-wafa

mar rahenge agar ab yaad aaya

phir kayi log nazar se guzare

phir koi shahar-e-tarab yaad aaya

haal-e-dil ham bhi sunate lakin

jab woh ruKhsat hoye tab yaad aaya

beth kar saayaa-e-gul main

ham bahut roye woh jab yaad aaya
Logged
tushu
Guest
«Reply #9 on: October 30, 2005, 11:13:17 AM »
Yaadon ne unki phir kabr-e-sukun yaad dilaya

ashkone dor sambhali, jamane ne nazar ghumaya,

dil ne koi kasar na chodi hume khob sataya,

gum-e-gulshan ne hume phir aake bataya,

hum aap ki gali to aa gaye lekin unhe nahi bataya,

Tabhi tanhaai ne baahe kholi aur hume apna jataya,

Jindagi ne bhi ab saath chod diya aur maut ne nazar se hataya




Quote from: "badnaam_shayar"
dil dhadakane ka sabab yaad aaya

woh teri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhalana aye dost

tu musibat main ajab yaad aaya

din guzaara tha badi mushkil se

phir tera wada-e-shab yaad aaya

tera bhula hua paimaan-e-wafa

mar rahenge agar ab yaad aaya

phir kayi log nazar se guzare

phir koi shahar-e-tarab yaad aaya

haal-e-dil ham bhi sunate lakin

jab woh ruKhsat hoye tab yaad aaya

beth kar saayaa-e-gul main

ham bahut roye woh jab yaad aaya
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: October 31, 2005, 06:24:05 PM »
very good tushu carry on..................
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: October 31, 2005, 06:28:34 PM »
chahi thi tum se todi si wafa

mangi thi tum se todi si tawajo

ehsaas ki mangein thi chaan bundein

toda sa manga tha izhare muhabbat

phir kia hua ke tum mujh ko toda sa bhi kuch bhi na de sake

aisa kia maang liya tha tum se main ne

aisa kia tha jo tumhari pahunch se bahut door tha

kabhi tum ne yeh nahi socha

ke tum ne kabhi mujh se kuch nahi manga

par main ne mange begheir hi apna sab kuch tumhein de diya

muhabbat ki inteha kar di thi main ne

tawajo ki sare hadein par kar de thi main ne

ehsaas ki akhri boond tak nichawar kar di thi main ne tum par

main kia tha toot kar muhabbat ka izhar

par tum ne meri muhabbat ka kabhi yakeen nahi kia

tum ne mere jazbaat ki kabhi qadar nahi ki
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #12 on: October 31, 2005, 06:48:09 PM »
NA HUM BEWAFA HAI NA TUM BEWAFA HO,
APNI KISMAT NE HUMKO MAJBOOR KIYA HAI,
GAIRON KI TO CHODO BAAT HI KYA THI,
APNO NE HI U HUMKO DOOR KIYA HAI.........
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: November 01, 2005, 07:37:53 AM »
very  nice  work  Badnam........:lol:  bahot  khoob.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #14 on: November 01, 2005, 04:31:58 PM »
Kehte Hai Pee Lo Aansuon Ko Tum
Ki Yahi Tuh Zindagi Main APne Hai
Jo Tutt Jaayein Girke Kya Rona Unke Liye
Ki Vo Tuh Aankhon Ke Sirf Jhoote Sapne Hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 03:03:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer