Aye Dil Pareshan Kyu Hai?

by Meena on March 13, 2005, 03:25:03 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3847 times)
Meena
Guest
Aye dil aaj bata de mujhe,
Gum sum aur itna pareshan kyu hai ?

Pyar ke zakhm abhi bhare to nahin,
To us bewafa ka phir se arman kyu hai?

Ansoon baha uske liye jo kadar bhi jane,
Ek ajnabi ke liye askhon ka balidan kyu hai?

Phoolon ki mar se hi to angin tukde hue tere,
Aab kaanton ko apna le, chahat-e-gulistan kyu hai?

Ek shaks ko hi to ruksat kiya apne ghar se tumne,
Apno ke hote hue tera ashiyana sunsan kyu hai?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Na pareshan kar by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
pareshan by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
pareshan by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Her Chehra Pareshan Sa Hai by Roja in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Pareshan Hu by Roja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
HumTum
Guest
«Reply #1 on: March 13, 2005, 03:29:26 PM »
Quote from: "Meena"
Aye dil aaj bata de mujhe,
Gum sum aur itna pareshan kyu hai ?

Pyar ke zakhm abhi bhare to nahin,
To us bewafa ka phir se arman kyu hai?

Ansoon baha uske liye jo kadar bhi jane,
Ek ajnabi ke liye askhon ka balidan kyu hai?

Phoolon ki mar se hi to angin tukde hue tere,
Aab kaanton ko apna le, chahat-e-gulistan kyu hai?

Ek shaks ko hi to ruksat kiya apne ghar se tumne,
Apno ke hote hue tera ashiyana sunsan kyu hai?


nice.....


Ik Taalne Ki Aadat Hoti Zara Jo Humko
Daaman Mera Na Phir Se YooN Daghdar Hota

Kabhi Hukm Humko Saadir Jo Aik Bar Karta
Asar Aik Baar Kehne Ka Baar Baar Hota

Unse HemeiN Rafaqat Ki Thi Na Kabhi Umeed
Kuch Dushmani Ka Rishta Hi Ustawar Hota

Tujh Ko Bhi Dhoond Latey Dasht O Jabal Se Hum
Apna Wajood Hum Pe To Aashkaar Hota

Us Bewafa Ke Wadey Ka Aitabar Karte "HumTum"
Kuch Zeest Ka Bhi Humko Ger Aitabar Hota

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: March 13, 2005, 03:36:54 PM »
im sorry yeh bhi samajh nahin payi mai  sad5
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: March 13, 2005, 05:16:12 PM »
wah meena,bohat acchi poem hai.

Pyar ke zakhm abhi bhare to nahin,
To us bewafa ka phir se arman kyu hai?

Ek shaks ko hi to ruksat kiya apne ghar se tumne,
Apno ke hote hue tera ashiyana sunsan kyu hai?

These lines r really wonderful. Usual Smile

Nice one humtum,but kuch kuch samajh me aaya.
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: March 13, 2005, 05:19:30 PM »
thanxxxxxxxxxxx nidhiiiiiiiiiiii!

 :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: March 13, 2005, 05:22:14 PM »
WONDERFULL MEENA

Pyar ke zakhm abhi bhare to nahin,
To us bewafa ka phir se arman kyu hai?

Ek shaks ko hi to ruksat kiya apne ghar se tumne,
Apno ke hote hue tera ashiyana sunsan kyu hai?

I JUST LOVE THESE LINES...
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: March 13, 2005, 05:29:57 PM »
shukriya ji shukriya!!!

 :D
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #7 on: March 13, 2005, 05:42:35 PM »
Fantastic one Meenaji ...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: March 13, 2005, 05:45:55 PM »
welcome meena.Meri aur nikki ki pasand kitni similar hai :D
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #9 on: March 13, 2005, 06:06:44 PM »
Khwaabo me na haqeeqat dhundne ki kasam nibhai hai,
Unko na apne paas bulane ki rasam nibhai hai,

Khandaro me na tajmahal dhundne ki aadat hataai hai,
Ret me ghar dhundne ki chahat mitaai hai,

Na aayenge khwaabo me tere na tujhko bulaaenge,
Apni hasti ko hi mitani ki kasam khaai hai,

Yu to har ghum seh lete hai,
Tumko apnaane ki khushi na humko raas aai hai,

Khwaabo ko haqeeqat me badal na paaye hum,
To haqeeqat me hi unhe bhulne ki sajaa paai hai ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: March 13, 2005, 10:39:36 PM »
hehe ...nidhi sis...what a coincidence.

 mostly sisters ki pasand milti hi hai...hai na?
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #11 on: March 14, 2005, 12:37:53 AM »
HUM TU NA KABHI UNSAB KO BHULA PAYAIN GAY
YOINDIA PE AAB HUM SJO BICHAD JAYEIN GAY
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: March 14, 2005, 12:41:38 AM »
Quote from: "Meena"
Aye dil aaj bata de mujhe,
Gum sum aur itna pareshan kyu hai ?

Pyar ke zakhm abhi bhare to nahin,
To us bewafa ka phir se arman kyu hai?

Ansoon baha uske liye jo kadar bhi jane,
Ek ajnabi ke liye askhon ka balidan kyu hai?

Phoolon ki mar se hi to angin tukde hue tere,
Aab kaanton ko apna le, chahat-e-gulistan kyu hai?

Ek shaks ko hi to ruksat kiya apne ghar se tumne,
Apno ke hote hue tera ashiyana sunsan kyu hai?

Wah Meena kya khoob likha hai aap ne ....hamesha dil ko choo lene waali kaawish hoti hai aapki.....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: March 14, 2005, 12:42:53 AM »
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai, Yeh Kitaab Bhi Kia Kitaab Hai,

Kahin Ek Haseen Sa Khawaab Hai, Kahin Jaan Leva Azaab Hai,

Kahin Chaaon Hai Kahin Dhoop Hai, Kahin Ek Haseen Sa Roop Hai,

Kai Chehray Is Main Chupay Huye, Ek Ajeeb Si yeh Nikaab hai,

Kahin Kho Dia Kahin Paa Liya, Kahin Roo Dia Kahin Gaa Liya,

Kahin Chain Leti Hai Zindagi, Kahin Harr pal Bemisaal Hai,

Kahin Ansoon Ki Hai Dastaan, Kahin Muskurahatoon Kabeyaan Hai,

Kahin Barkatoon Ki Hain Baarishain, Kahin Tishniggi Bemisaal Hai,

Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai, Yeh Kitaab Bhi Kia Kitaab Hai,

Kahin Ek Haseen Sa Khawaab Hai, Kahin Jaan Leva Azaab Hai
Logged
dev_omu
Guest
«Reply #14 on: March 14, 2005, 11:58:39 AM »
nice one jiii...
wah wah...
"Pyar ke zakhm abhi bhare to nahin,
To us bewafa ka phir se arman kyu hai?"
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 07:40:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.981 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer