Aye mere bewafa sanam ek baar bata de

by pankaj_pups on August 14, 2004, 07:01:59 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1466 times)
pankaj_pups
Guest
Kaha se lauu woh shabad, Jo teri tarif ke kabil ho,
Kaha se lauu woh chand, Jisme teri khoobsurti samil ho,
Aye mere bewafa sanam ek baar bata de,
Kaha se lauu woh kismat, Jisme tu bas mujhe hasil ho!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Roothey Ho Sanam, Mere Sanam Sanam by robin_abdul in Shayri-E-Dard
~*~*~*~*BeWafa SaNaM~*~*~*~* by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bewafa sanam by zaki in Shayeri for Dard -e- Bewafai
sanam bewafa by indian_groom in Chit - Chat & General Discussion
Bewafa sanam..... by anu_love91 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 21 22 »
nishita
Guest
«Reply #1 on: August 14, 2004, 07:49:10 AM »
na kar  tarif meri ke shabd choot jayenge
na lana chand ko mere liye ke sitaaren rooth jayenge
saza hume kyu mili jab kismat ne daga diya
na kehna bewafa mujhe ki hum toot jayenge
Logged
Deewana29
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2004, 09:44:30 AM »
Chaha tou bohat lakin woh mila hi nahin
Lakh koshish ki magar yeh faasla mita hi nahin

Is zamane ne majboor hi is qadar kia tha
K meri kisi sada par woh thehra hi nahin

Khuda se jholi phela kar manga tha ussay
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin

Hur aik se sabab poocha terey na milney ka
Hur aik ne kaha woh tere liye bana hi nahin

Main apni tamam koshishoon k bawajood tujhey har gaya
Aur tu ussay mil gaya jis ne tujhey kabhi manga hi nahin

Itni shiddat se chaaha magar tu kisi or ka ho gaya
Shayad is jahan me wafa ka koi sila hi nahin
Logged
Deewana29
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2004, 09:50:12 AM »
Quote from: "nishita"
na kar  tarif meri ke shabd choot jayenge
na lana chand ko mere liye ke sitaaren rooth jayenge
saza hume kyu mili jab kismat ne daga diya
na kehna bewafa mujhe ki hum toot jayenge

kiya tha jo tumne waada, hamsafar banoge
bekhabar tha do kadam tum, chal bhi na sakoge
tumse hame bas chaah thi wafa ki
khataa kiya huyi ke wafa na kar sake.

in udaas muskurahaton ke peeche, ghum ke railay hain
ab tumhain kya batayain, ke tum bin kitne akele hain

Meri dil ki arzu yeh ti, keh tereh kadmoh meh dam nikleh
bewafa tum nahin badkismat ham nikleh
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 08:06:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.078 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer