Badnaam mere pyaar ka afsana

by clicksahil on August 11, 2005, 07:49:36 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1282 times)
clicksahil
Guest
Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai .
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai by BLACKMON in Shayri-E-Dard
BaDNaaM MeRe PYaaR Ka AfSaNa HuWa Hai by FAREE in Shayri for Dard -e- Judai
**~Mere Naseeb Me Bhi Tu Pyaar Likhde~** by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
TU MERE NAAM SE BADNAAM TO HAI by amarhellboy in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
Dilwala_jatt
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2005, 02:34:28 AM »
Quote
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai .



wah wah zaberdust..............
Logged
jochahohojayein
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2005, 11:35:31 AM »
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai .

 
VERY VERY NICE ONE
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #3 on: August 13, 2005, 06:33:55 AM »
wah wah wah kya baat hai sahil.......................bahut achaa!!!!!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #4 on: August 15, 2005, 11:02:31 AM »
good Sahil ji ...........

Phoolon se bhi pee lete hai diwaane
Ishq ka nasha hi kuch ajab sa hota hai yaaron
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: August 15, 2005, 06:24:13 PM »
Wah sahil,hamesha ki tarah bohat hi khoob likha hai,excellent work.
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #6 on: August 17, 2005, 11:54:53 AM »
bahot bahot shukriya.... aap sab ka ... lekin mai fir ek baat kehta hu ke wakai kisi ka dard kisi ke dil behlaane ke kaam aata hai ..
ajab duniya hai ye sab jaankar bhi mohabbat ka naam har zabaan aata hai...


Sunaa chukey hain jo har mehfil mein hum
Ab hum say woh kahani sunayi nahin jati

Sun lena ye dastaan kissi our ki zubani ab
Hum say ek hi dastaan bar bar dohrayi nahin jati,

Bahot garan guzri hai, azab-e-jaan guzri hai
Hum jaa rahey hai ke yeh dosti ab our nibhai nahi jati

Ghurbat kay hathon lutt chukey, gareeb huye to kia hua
Un ki batoon say phir bhi, khud numayi nahi jati

Dikha kar aayina sach ka, khud hi badnaam huye SAHIL
Choro aisey logon ko, haqeeqat dikhai nahi jati !!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #7 on: August 17, 2005, 12:53:05 PM »
Quote from: "clicksahil"
bahot bahot shukriya.... aap sab ka ... lekin mai fir ek baat kehta hu ke wakai kisi ka dard kisi ke dil behlaane ke kaam aata hai ..
ajab duniya hai ye sab jaankar bhi mohabbat ka naam har zabaan aata hai...


Sunaa chukey hain jo har mehfil mein hum
Ab hum say woh kahani sunayi nahin jati

Sun lena ye dastaan kissi our ki zubani ab
Hum say ek hi dastaan bar bar dohrayi nahin jati,

Bahot garan guzri hai, azab-e-jaan guzri hai
Hum jaa rahey hai ke yeh dosti ab our nibhai nahi jati

Ghurbat kay hathon lutt chukey, gareeb huye to kia hua
Un ki batoon say phir bhi, khud numayi nahi jati

Dikha kar aayina sach ka, khud hi badnaam huye SAHIL
Choro aisey logon ko, haqeeqat dikhai nahi jati !!


wWOWOW  ! ...sahil gr8
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: August 17, 2005, 05:35:11 PM »
Bohat ache jazbaat hain aapke sahil,jo ki hamesha aapki poetry me jhalakte hain,again a gr8 piece of dard,keep writing.
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #9 on: August 18, 2005, 02:35:25 PM »
thnx... so much frenzz...u appriciated me ..am highly indebted .... ab yaadon ke kaante is dil mai chubhte hai ...na dard tharta hai na aansu rukte hai ... tumhe dhoondh raha hai pyaar hum kaise kare ikraar ke haan tum chale gaye....

Hai insaaf ka yahee taqaza, mujhe aaj tum bhula do
"Tumhe chahna" hai meri khata mujhe tum karri saza do

Nayee manzil koi dhoond lo, talash kar lo naye raastey
Aik naam ki tarah mujhey zindagi ki kitaab se mitta do

Kab tak aazmao gey apnay kamal-e-zabt ko
Aisa karo is zabt ko tum ansuoon main bahaa do

Sab haar kar bhi mujh main, hai phir haarnay ka hosla
Mujhey wafa ki bheek nahin chahiye, mujhey haq sey tum dagha do

Tum ney di thi khush rahneh ki dua, phir har khushi chin gayi
Chaley jana magar janey se pahleh mujhey tum zindagi ki dua do
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 08:44:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer