Bedardon ki Duniya hai

by passedaway on December 01, 2004, 05:04:18 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 491 times)
passedaway
Guest
Aapki khidmat me apni ek khaas ghazal pesh kar raha hoo.....ummeed hai pasand aayegi

bedardon ki duniya hai, koi imaan nahi hai
bhagwan ko dhoondne chale the, yaha insaan nahi hai

mazhab ke naam pe baatne ko kahe.
aisi geeta nahi hai, aisi quraan nahi hai
 
taras gayi nigahen to baras pade aasoon
humne to socha tha inme jaan nahi hai

mohabbat ki aarzoo jinse humne rakhi thi
unhe to dosti ki bhi pehchaan nahi hai.
 
hum chale the dikhane zamane ko raasta
andhon ki basti mai ye kaam aasaan nahi hai
 
phir bhi koshish to karega 'Tanviir'
yeh farz hai mera, ehsaan nahi hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HI RE DUNIYA by poem143s in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
duniya gol hai by Pooja in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
yeh duniya.... by pappu in Shayri-E-Dard
duniya gol hai by jh in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Duniya gol hai by Pooja in Miscellaneous Shayri
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: December 01, 2004, 06:39:10 AM »
wah!!!!!
Logged
~Rohan~
Guest
«Reply #2 on: December 01, 2004, 07:46:15 AM »
too good passedaway..!
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: December 01, 2004, 06:59:29 PM »
Quote from: "passedaway"
bedardon ki duniya hai, koi imaan nahi hai
bhagwan ko dhoondne chale the, yaha insaan nahi hai

mazhab ke naam pe baatne ko kahe.
aisi geeta nahi hai, aisi quraan nahi hai
 
taras gayi nigahen to baras pade aasoon
humne to socha tha inme jaan nahi hai

mohabbat ki aarzoo jinse humne rakhi thi
unhe to dosti ki bhi pehchaan nahi hai.
 
hum chale the dikhane zamane ko raasta
andhon ki basti mai ye kaam aasaan nahi hai
 
phir bhi koshish to karega 'Tanviir'
yeh farz hai mera, ehsaan nahi hai.






Duniya ko na do dosh koi ye to pahter ki bani hai
jisne tood ke rakh diya dil mera wo bhi meri apni hai


aap ne bahut aachi ghazal likhi hai keep it up good work
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #4 on: December 02, 2004, 09:31:05 PM »
very wel writen PA n nino


 :lol:  :lol:

aaj fir dil hai kuchh udaas udaas
jaane kyun ek mayusi si chhayi hai
aaj fir palkon pe pani hai
bheer mein hoon fir bhi ye tanhai hai

 Puzzled !
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 08, 2024, 08:44:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.718 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer