Beemaar-e-dard-e-Dil…

by ajnabee22 on December 20, 2004, 07:23:53 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 669 times)
ajnabee22
Guest
Beemaar-e-dard-e-dil ko aaram dene maiN
saaki ne bahut der ki hai jaam dene maiN

Jawaab-e-khat na aaye to yuN tasalli dije
Nama bar ne der ki paigaam dene maiN

Milte to hain hamse, wo darte haiN lekin
is raabataN ko koi naam dene maiN

Ek umr lagi daag-e-daaman mitane main
kya gaya tha uska ilzaam dene maiN

Kuch aur jee lenge, kya jaayega tera
mehfil main apni hamko ek shaam dene maiN

Ibtida-e-ishq to aasaan hai SAAHIL
aksar tootte hain dil anjaam dene maiN
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #1 on: December 20, 2004, 07:41:31 PM »
wah wah wah dikhaya kya dard hai
kya aansu bahane wala sach mein mard hai  :wink:
Logged
ajnabee22
Guest
«Reply #2 on: December 22, 2004, 04:53:23 PM »
Quote from: "myheart_ursonly"
wah wah wah dikhaya kya dard hai
kya aansu bahane wala sach mein mard hai  :wink:


thanks :wink:
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2004, 07:40:46 PM »
"Kuch aur jee lenge, kya jaayega tera
mehfil main apni hamko ek shaam dene maiN "

bohot hi ache lines hai! like it very much!

 :D
Logged
ajnabee22
Guest
«Reply #4 on: December 23, 2004, 03:21:58 PM »
Quote from: "Meena"
"Kuch aur jee lenge, kya jaayega tera
mehfil main apni hamko ek shaam dene maiN "

bohot hi ache lines hai! like it very much!

 :D


thx for like it...
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #5 on: July 01, 2005, 08:44:22 PM »
Quote from: "ajnabee22"
Beemaar-e-dard-e-dil ko aaram dene maiN
saaki ne bahut der ki hai jaam dene maiN

Jawaab-e-khat na aaye to yuN tasalli dije
Nama bar ne der ki paigaam dene maiN

Milte to hain hamse, wo darte haiN lekin
is raabataN ko koi naam dene maiN

Ek umr lagi daag-e-daaman mitane main
kya gaya tha uska ilzaam dene maiN

Kuch aur jee lenge, kya jaayega tera
mehfil main apni hamko ek shaam dene maiN

Ibtida-e-ishq to aasaan hai SAAHIL
aksar tootte hain dil anjaam dene maiN



Nice ajnabee
Logged
ajnabee22
Guest
«Reply #6 on: July 01, 2005, 10:19:46 PM »
Woh shakhs dil se uterta nahi hay, kiya kijiyay,

woh bhoolker bhi bicharta nahi hay, kiya kijiyay.



Woh meray samnay tootay main sanbhaloon uss ko,

magar woh shakhs bikharta nahi hay, kiya kijiyay.



Woh ishq main hay yeh baat hum ko hay maloom,

per woh iqrar bhi karta nahi hay, kiya kijiyay.



Woh ek saaye ki tarha hay paas kesay kahoon,

kiya raaz hay ke khulta nahi hay, kiya kijiyay.



Woh mujh ko kitna mohtaram hay ussay kiya maloom,

per woh meri khabar rakhta nahi hay, kiya kijiyay.



Yeh shak hay mujha ko Mussawir woh bhool jaay ga,

magar woh samna karta nahi hay, kiya kijiyay
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 03:12:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer