Bewafa sanam.....

by anu_love91 on December 24, 2006, 12:31:19 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 22
Print
Author  (Read 11263 times)
anu_love91
Guest
«Reply #45 on: December 29, 2006, 11:14:22 AM »
Tumne daman bhi jhatka toh bazaar ke beech
Dhundhe se fir gull na mila guljaar ke beech
Hum toh ungliyoo ke aahat hone se hi darr gaye
Par yahan toh damann taar-taar hua khaar ke beech!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aye mere bewafa sanam ek baar bata de by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
~~~Bewafa Sanam Laut Kar Ayi Hai~~~ by Sammual in Shayeri for Dard -e- Bewafai
BEWAFA SANAM by reyan KHAN in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa Sanam by Ruhaani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
anu_love91
Guest
«Reply #46 on: December 29, 2006, 03:09:47 PM »
Na raha mera saaki,Sharab kis se lu
Na raha chaman baaki,Gulaab kis se lu
Jab khuda ho ker tujhe hi reham na aaya
Toh apne julm ka hisaab kis se lu....!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #47 on: December 29, 2006, 03:14:58 PM »
Husn Ishq ko ruswa kare
Chahat ka yeh toh koi dastoor nahi
Mere har sajde parwaan hi chad jaye
Dil ke hathoon itne bhi majboor nahi...!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #48 on: December 29, 2006, 03:41:09 PM »
Har najar ko najare mile jarruri toh nahi
Har girte ko sahare mile jarruri toh nahi
Raste khud mein kabhi manjil bhi hua karte hain
Har veerane ko baharein mile jarruri toh nahi...!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #49 on: December 29, 2006, 03:45:36 PM »
Jaam piye aur sambhle bhi,Yeh jarruri toh nahi
Dur rahein aur badle bhi, Yeh jarruri toh nahi
Hum toh apne jameer ko jinda rakhte hain
Nazro mein dusro ko rahein ujle bhi,Yeh jarruri toh nahi.....!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #50 on: December 29, 2006, 03:49:09 PM »
Gar girna hi pade toh girne ka ek andaaj toh rakh
Bhed ke har shor mein chilata hai Ek awaaz toh rakh
Kyu jhanjhanata firta hai dil ke taro ko
gana chahta hai Nagma-E-Mohabat,Toh ek saaj toh rakh!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #51 on: December 29, 2006, 03:56:52 PM »
Na sahi be-sumaar Daulat,Teri rehmat ka kajana toh hai
Na chade ishq parwaan mera,teri justju ka bahana toh hai
Log dhundhte firte hai usko dar-bdarr,kahi aur
Mile na mile dard-d-dil mein thikana toh hai....!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #52 on: December 29, 2006, 04:05:12 PM »
Peete rahe khub par pilane ka andaaz na aaya
Jite rahe khud par jeene ka andaaz na aaya
Zamaane ke diye zakhmo ko dil mein dafn kar
Rote rahe khub par rulane ka andaaz na aaya..!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #53 on: December 29, 2006, 04:39:49 PM »
Acha hua jo tune sare hi bharam tod diye
Mere jeete jiye Gairo se rishte jod liye
Badi shidatt se safar toh taiy kar hi jaunga
Shukr gujaar hoon ki saare hi rukh mod diye!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #54 on: December 29, 2006, 04:54:35 PM »
Khoon dekar Gulistaan ko humne aabaad kiya
Mandir-masjid  ke naam se tumne hamesha fasaad kiya
Kis-kisko ja ker sunaye yeh kahaniyaa
Hum ko gairon ne nahi apno ne hi barbaad kiya....!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #55 on: December 29, 2006, 04:58:35 PM »
Koi ek toh mile jo gulshan ko nikhare
Mulk ki bigadti huyi kismat ko sawanre
Bakshi thi jahan bhar ki roshni jisne
Fir se us shama ke daman ko sawanre...!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #56 on: December 29, 2006, 05:04:19 PM »
Bhatke huye rahi ko manjil ka nasha de
Husn gar de toh uska na guma de
Umr bhar na de bhale chahat kisi ki
Gar de toh fir usko kehne ki juba de....!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #57 on: December 29, 2006, 05:09:46 PM »
Ghav mere aaj tak nasoor rahe
Aham se apne,tum bhi majboor rahe
Socha tha hadso se kuch toh samjhoge
Par tum toh sirf husn se magrur rahe....!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #58 on: December 29, 2006, 05:16:08 PM »
Tut jaata hai dil teri bato ko sunkar ,
Gir padte hai ansu tere khayalo ko sochkar,
Tu samne na aana mere kabhi nikal jaygi jaan teri bewafai dekh kar!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #59 on: December 30, 2006, 09:46:56 AM »
Main bankar aansu teri aankh mein chalakna chahta hoon
Main bankar jajba tere dil mein machalna chahta hoon
Chahta hoon teri chahat ko is tarah chahu,Khud
na rahu bas teri Khudi mein shalna chahta hoon!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 12:48:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer