Beygnaahoun kaa khoon, 'Pak' mein bahaa hai ab!

by abdbundeli on September 22, 2008, 08:05:47 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1352 times)
abdbundeli
Guest
Dil-o-dimaag mein gussaa hai, gam hai, aansoon hain!
Beygnaahoun kaa khoon, 'Pak' mein bahaa hai ab!
Na jaaney kab nijaat paayegee yeh rooh-e-zameen?
Qatl-o-dahasat ka kaarobaar yeh, thameigaa kab?

Dahashat-o-qatl kaa ehsaas unhain bhi hai ab,
Jo, qaatiloun ko, peishtar, panaah deytey they:
Ab bhi, Mumbai key qaatiloun kaa hai qayaam waheen!
Jo dahshatoun key pairokaar hain: wo hain zaalim;
Ta'alluq un kaa, Khudaa sey naheen, Shaitaan sey hai!
Yeh woh Yazeed hain, jo un ko bhi kartey hain tabaah,
Jo, unhain, taqatein dey kar, gunaah kartey hain!

Mujh ko ummeed hai: insaan 'Pak' key umdah:
Naye hukkamoun-o-nizaamoun ko taaqteyn deingey,
Taa ki, dahshat-o-zulm sey unhain nijaat miley!
Khoon-e-insaan bahegaa kab talak wahaan, ki, yahaan?

                                   - abd bundeli
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Beygunaahoun kaa khoon, fir bahaa hai Bharat mein! by abdbundeli in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Do Ashk Meri Yaad Mein Bahaa Jate Tu Kia Jata, by sayani kuri in Share: Poetry of Pain
rukhe sukhe mousam mein khoon ki barsat.....N/M by ripan dev in Share:Miscellaneous Shayari
Merii Laash Pe Do Aansu Bahaa Jaa......masoom by Masoom Shahzada in Ghazals « 1 2  All »
MUJHKO AAKHON SE BAHAA DENAA....SOUDAGAR by soudagar in Shayri-E-Dard
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: September 22, 2008, 09:45:06 AM »
Achha likha hai Abd ji... Aur bahut sahi bhi... Applause

Khoon wahan bahey, ya yahan.. Marne waala hota toh insaan hi hai..
Unn begunaahon ko bhi utna hi dard hota hoga, jitna yahan ke logo ko hota hai..
Bhala khoon ka bhi koi alag rang hota hai kya??
Jaane kab samajh aayega yeh dehshat ke saudagaron ko... sad7
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: September 22, 2008, 10:21:16 AM »
Mahiya ji,

Kaheen bhi koyee marey? Dard to hotaa hi hai!
Yeh judaa baat hai: kuchh kam ho, yaa bahut jyaadah!
Fir bhi, kuchh log is zameen pai hain aisey bhi, jinhain,
Rooh-e-insaan ko judaa kar key khushee hotee hai!!

Haan, yeh baat aur hai, hotey hain yeh inssan naheen:
Yeh to haiwaanoun sey badtar hain; yeh to hain shaitaan!
Qudartan aadmee, haiwaan hi to thaa pahiley:
Aadmee, aadmee ko maartaa thaa, khaataa thaa:
Lakh sadiyoun mein, b-mushkil banaa hai wo insaan,
Fir bhi lakhoun mein, wo haiwaan abhi zindah hai!

Qoum-e-insaan ko, ab, larhnaa parheygaa us sey:
Warnah, haiwaan hi haiwaan nazar aayengey:
Roj insaan qatl hongey; badheyngey shaitaan!!

                                - abd bundeli
 

Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #3 on: September 22, 2008, 01:57:27 PM »
mahiya ji, and abd ji.
dono ne sahi lihka. main pakistani hoon, magar jub india ka koi haadsa sunn ne mein aata hai, tho bhi itna hee dhuk hota hai jitna ub. aur insaan ek hai ye baat tho sahee hai, par pakistani ya indian bhi ek hee tho hain. humme ek  hee rub ne, ek hee qayanat mein jeenay k leeyaen banaya hai. tho hum khud ko alayda kar k uss rub kee na famrmaanee kaisay kar saktay hain? humme aisa karna tho door, aisa soch na ka bhi koi huq nahee hai!

buss hum baybuss log unn be gunaaon k leeyaen aur dashatgar k leeyaen bhi sirf duwa kar saktay hain. allah umaateeyon ko sabr dey, aur raha se bhataknay waalon k neak hidayat dey!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: September 23, 2008, 01:30:46 AM »
Bohat hi acha aur sach kaha Abd & Mahiya....
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: September 23, 2008, 10:31:56 AM »
Abd ji.. Applause

Mahiya... Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: September 23, 2008, 11:24:49 AM »
Dil-o-dimaag mein gussaa hai, gam hai, aansoon hain!
Beygnaahoun kaa khoon, 'Pak' mein bahaa hai ab!
Na jaaney kab nijaat paayegee yeh rooh-e-zameen?
Qatl-o-dahasat ka kaarobaar yeh, thameigaa kab?

Dahashat-o-qatl kaa ehsaas unhain bhi hai ab,
Jo, qaatiloun ko, peishtar, panaah deytey they:
Ab bhi, Mumbai key qaatiloun kaa hai qayaam waheen!
Jo dahshatoun key pairokaar hain: wo hain zaalim;
Ta'alluq un kaa, Khudaa sey naheen, Shaitaan sey hai!
Yeh woh Yazeed hain, jo un ko bhi kartey hain tabaah,
Jo, unhain, taqatein dey kar, gunaah kartey hain!

Mujh ko ummeed hai: insaan 'Pak' key umdah:
Naye hukkamoun-o-nizaamoun ko taaqteyn deingey,
Taa ki, dahshat-o-zulm sey unhain nijaat miley!
Khoon-e-insaan bahegaa kab talak wahaan, ki, yahaan?

                                   - abd bundeli

Bohot Khoob likha hai Abd Ji..... Applause Applause

Begunah khoon jis bhi zameen par gira, wo zameen tadpi hai
Wo sarzameen-e-hindustan ho ya phir ho zameen pakistan ki !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: September 23, 2008, 11:26:26 AM »


Kaheen bhi koyee marey? Dard to hotaa hi hai!
Yeh judaa baat hai: kuchh kam ho, yaa bahut jyaadah!
Fir bhi, kuchh log is zameen pai hain aisey bhi, jinhain,
Rooh-e-insaan ko judaa kar key khushee hotee hai!!

Haan, yeh baat aur hai, hotey hain yeh inssan naheen:
Yeh to haiwaanoun sey badtar hain; yeh to hain shaitaan!
Qudartan aadmee, haiwaan hi to thaa pahiley:
Aadmee, aadmee ko maartaa thaa, khaataa thaa:
Lakh sadiyoun mein, b-mushkil banaa hai wo insaan,
Fir bhi lakhoun mein, wo haiwaan abhi zindah hai!

Qoum-e-insaan ko, ab, larhnaa parheygaa us sey:
Warnah, haiwaan hi haiwaan nazar aayengey:
Roj insaan qatl hongey; badheyngey shaitaan!!

                                - abd bundeli
 



Again, a true description Abd Ji Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: September 23, 2008, 03:08:24 PM »
Mahiya ji / Celmira ji / honeyrose ji / Aryan ji / anjaandharkan ji, wa
insaaniyat key sabhee hamdardoun ko meyraa laakh-laakh shukriyaa!
Aayiye ham sab is insaanee jannat ko, jannat sey bhi beyhtar banaaney key liye, apney-apney dil-o-dimaag ko peish-e-khidmat kareyn! Aameen!
                 - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 09:36:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.18 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer