<>*Bojhh uss naam ka*<>

by *KasaK*....Dil Ki on September 14, 2010, 05:08:36 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1626 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Bojhh uss naam ka*<>

Raat teri baahon mein gujri hai
aur din ki ye pehli kiran hai

Main ab tak hun simti,
teri inhi majbuut bahon mein

Teri band aankhon mein,
meri hi tasveer hai ab bhi sanam

Aur muskaan me jo shararat jhalak rahi hai,
kal raat k sath ki masti hai

Lagta hai k yunhi guzar jayeegi
ye zindagi meri,.. tere pas mehfuzz rehkar

Par ye subah ki laali ka waqt hi
hum sath hain.. ye janti hun main

Meri har shaam ko tere sath ki khushnaseebi
nahin mili hui hai.. ye bhi janti hun main

Jana hai tumhe dur apni manzil ki taraf
aur mujhe bhi fir se jeena hai

Apni unhi dushwariyon k sath
har pal chupchap khud se ladte hue

Tumhari hoke bhi kisi aur ke naam ka sindur
bharna hai har pal maang mein apni

Aur dhona hai bojh uss naam ka
har pal jab tak zindagi hai apni......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Naam by TriVinDreamer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
naam by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
NAAM by BIHARIBABU in Shayri-E-Dard
~~~NAAM~~~ by Ravinder in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
naam kya hai ..... by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
cara
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2010, 05:34:12 AM »
WAH KYA BAT HAI         KASAK....DIL KI JI....

BAHON MEIN RAHETI HUN ME USKE
PAR MANN MEIN NAAM TUMHARA HAI
MILNA CHAHIYE PYAAR MUJHKO USSEY
PAR PAAYA PYAAR TUMHARA HAI
JODNA CHAHTI HUN APNA NAAM TERE NAAM SEY
PAR KYA KARUN "BOJHH USS NAAM KA" HAI....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: September 14, 2010, 09:00:16 AM »
Oye hoyeeeeeeee di kya baat hai..Flow main likha hai..Yun mehsoos hua jaise apki kalam thami nahin hogi jab tak akhri lavz na likh diya,..!
Bahaut bahaut khoob..

Applause Applause Applause
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #3 on: September 14, 2010, 12:52:13 PM »
Kya kahu Huh? kaise veedambana hai..? Veeddroh se bhara he tera ye nagma...soch nahi paati...kitne gusse..nahi uski bhi parakaashta...seema jab toot jaati hai....tab kahin eysi kavita janm leti hai....Himmat hai tum me likh paati ho....warna hazaaro nariyen keh nahi paati hain...bas ghut-ghut k seh jaati hain... Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!
Kshama karna agar mein es kavita k bhavon ko galat samajh gyee hu tou.....


<>*Bojhh uss naam ka*<>

Raat teri baahon mein gujri hai
aur din ki ye pehli kiran hai

Main ab tak hun simti,
teri inhi majbuut bahon mein

Teri band aankhon mein,
meri hi tasveer hai ab bhi sanam

Aur muskaan me jo shararat jhalak rahi hai,
kal raat k sath ki masti hai

Lagta hai k yunhi guzar jayeegi
ye zindagi meri,.. tere pas mehfuzz rehkar

Par ye subah ki laali ka waqt hi
hum sath hain.. ye janti hun main

Meri har shaam ko tere sath ki khushnaseebi
nahin mili hui hai.. ye bhi janti hun main

Jana hai tumhe dur apni manzil ki taraf
aur mujhe bhi fir se jeena hai

Apni unhi dushwariyon k sath
har pal chupchap khud se ladte hue

Tumhari hoke bhi kisi aur ke naam ka sindur
bharna hai har pal maang mein apni

Aur dhona hai bojh uss naam ka
har pal jab tak zindagi hai apni......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: September 14, 2010, 01:19:45 PM »
hmmmm... ye ek naye style ki story hai... ab naye style me hi jawaab dena padega na ... kuch hat ke... rapchik style... chalo likh lete hain....

Applause Applause Applause Applause Applause


kuch kahaani apni bhi aisi hai,
wo bilkul tum jaisi hai,

julfon me khoke bhul jate hain sab,
kya zamana hai kya seemayen hain,

aankhon me dub ke tumhaare hosh nahi rehta,
bas un aankhon me dubte chale jaate hain,

dikhta nahi humein wo sindoor tere maang ka,
tujhe baahon me bharke hum apna samajh lete hain,

bhool jate hain ki kya daayre hain apne,
tere hoke bas tujhme samaa jaate hain,

har raat agar hum tera intezaar karte hain to,
suraj ke nikalne se hum darte bhi hain,

ye koi chori nahi hai, pyaar hi hai,
par hum teri badnaami se bhi darte hain,

nahi rakha jaata kaaboo khud pe tujhse milkar,
tere mohabbat me hum behte chale jaate hain,

har pal mehsoos karte hain tere saanso ki mehek,
aur usi khushboo se hum bhi mehek jaate hain,

maaloom hai hume ki jo ho raha hai wo sahi nahi,
par jaanke bhi hum galtiyaan karte chale jaate hain,

kaise roke hum khud ko, kaise samjhaayen is dil ko,
hum to bas teri mohabbat me tujhse pyaar kiye jaate hain....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: September 18, 2010, 09:51:27 PM »
<>*Bojhh uss naam ka*<>

Raat teri baahon mein gujri hai
aur din ki ye pehli kiran hai

Main ab tak hun simti,
teri inhi majbuut bahon mein

Teri band aankhon mein,
meri hi tasveer hai ab bhi sanam

Aur muskaan me jo shararat jhalak rahi hai,
kal raat k sath ki masti hai

Lagta hai k yunhi guzar jayeegi
ye zindagi meri,.. tere pas mehfuzz rehkar

Par ye subah ki laali ka waqt hi
hum sath hain.. ye janti hun main

Meri har shaam ko tere sath ki khushnaseebi
nahin mili hui hai.. ye bhi janti hun main

Jana hai tumhe dur apni manzil ki taraf
aur mujhe bhi fir se jeena hai

Apni unhi dushwariyon k sath
har pal chupchap khud se ladte hue

Tumhari hoke bhi kisi aur ke naam ka sindur
bharna hai har pal maang mein apni

Aur dhona hai bojh uss naam ka
har pal jab tak zindagi hai apni......

AAh! Itna Dard
Bahut Khoob Anamika Ji
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #6 on: September 19, 2010, 08:16:14 PM »
Tan ki pyaas ko pyaar ka naam na do tum
Pyaar ko yu sare aam badnaam na karo tum

Pyaar tou hota hai ek pavitra rishta, tyaag ka pratik
Usse vyabheechaar ka jaama na pehnaao tum…..

Apne chand lamhon k aanand ko tum pyaar ki sanggya na do
Ess phishlan, ess behkaave ko aaj pyaar ka naam na do tum

Tan se tan ka Milan he nahi hai pyaar kee paraakaashta
Pyaar tou wo ehsaas hai jise sparsh ki nahi aavashayakta

Chalo ek baar maan bhi lu k sachcha tha wo pyaar tera
Dhhikaar hai par tujhe keetna kachcha tha wo pyaar tera

Kyu keh na saki apne babul se,pyaar karti hai kisi aur se tu
Kyu keh na payee ? kyu himmat itni bhee jutaa na payee tu

Barbaad kar diya jeevan teen aatmaaon ka, kya ye samajhi tu
Ye koi khel nahi tha Gudde-guddiyo ka, kaise khel gayee tu

Kya honewale pati k  pad(ohda) aur paise se lalcha gayee tu
Aysho aaraam ka jeevan pane ko,ghighoni chaal chal gayee tu

Batta kya kasoor tha usska jisne pasand tujhe kar liya tha
Janm-janm ka saathi tujhe banane ka tay ussne kar liya tha

Bade dil se naam apne khaandaan ka tujhse joad diya tha
Suhaag ka sindoor teree maang me pyaar se bhar diya tha

Boo aatee hai ussko chhute he aaj tere es shareer ko
Ehsaas hota,Kisi aur ki chhuan ka chhu tere badan ko

Tu he batta kaise jhelega wo tere es vishwaashghaat ko
Kaise seh paayega  sindoor k ghor apmaan k aaghaat ko




<>*Bojhh uss naam ka*<>

Raat teri baahon mein gujri hai
aur din ki ye pehli kiran hai

Main ab tak hun simti,
teri inhi majbuut bahon mein

Teri band aankhon mein,
meri hi tasveer hai ab bhi sanam

Aur muskaan me jo shararat jhalak rahi hai,
kal raat k sath ki masti hai

Lagta hai k yunhi guzar jayeegi
ye zindagi meri,.. tere pas mehfuzz rehkar

Par ye subah ki laali ka waqt hi
hum sath hain.. ye janti hun main

Meri har shaam ko tere sath ki khushnaseebi
nahin mili hui hai.. ye bhi janti hun main

Jana hai tumhe dur apni manzil ki taraf
aur mujhe bhi fir se jeena hai

Apni unhi dushwariyon k sath
har pal chupchap khud se ladte hue

Tumhari hoke bhi kisi aur ke naam ka sindur
bharna hai har pal maang mein apni

Aur dhona hai bojh uss naam ka
har pal jab tak zindagi hai apni......

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: September 19, 2010, 08:54:03 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause

WOW... bahut bahut khoob likha hai aapne Anaam ji.. bahut hi umda.. bahut hi khoobsurat.. ek dum jaise ki Angry Young Man... mazaa aa gaya padh ke... mast likha hai aapne.... 2 line likhne ki ek chhoti si koshish ki hai humne bhi...

is jahaan mein pyaar ki koi paribhaasha nahi hoti,
dil se dil ki baat kehne ke liye koi bhaasha nahi hoti,

pyaar do dil ke milan ko bhi kehte hain aur do jismo ke bhi,
kisi kitaab mein likhi pyaar ki sachchi paribhaasha nahi hoti,

pyaar kya hai, ek aakarshan hi to hota hai,
pehle milan, fir dosti, fir pyaar ho jaata hai,

beh jaate hain log bahaaw mein mohabbat ke kai baar,
jismon ke aakarshan ko mohabbat keh dete hain kai baar,

par sach ye bhi nahi ki wo koshish nahi karte ek hone ki,
warna tute na hote aaj tak koi dil aur wajah na hoti rone ki,

ek dusre ki nazdikiyaan aadat me badal jaati hai aksar,
yahi aadat hoti hai jo humein barbaad karti hai aksar,

mohabbat naam ki koi cheez hoti nahi is duniya me,
par aadat ko hi mohabbat kehte hain log jahaan me,

ab aadat to kisi ke chahne se banti na chhoot paati hai,
bas ye aadat hi hai jo humse kai gunah karwaa jaati hai,

chah ke bhi kai baar us mohabbat ya adat ko apna nahi paate hain,
gharwaalo ki marzi ke aage majboor hoke chup hum reh jaate hain,

janm diya jis maa ne, chhote se paal poske badaa kiya jisne humein,
kaise tod paayenge us maa ki mamta ko jisne bas pyaar diya hai humein,

bandh jaate hain aise bandhan me jise todna mumkin nahi ho paata,
tut jaate hain sab sapne aur jeewan aasuon ka dher banke hai reh jaata,

matlab iska to ye nahi ki hum khushiyon ki chaahat hi chhod den,
kyun apne us mohabbat ya aadat ke liye jeene ki chahat chhod den,

kisi ke aane ya chale jaane se tham nahi jaati hai kabhi zindagi,
chalne ka naam hai zindagi, chalti hi jaati hai ye zindagi....
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #8 on: September 19, 2010, 09:13:21 PM »
Jaante aur maante bhee they k ho galat tum
Phir bolo kaise vaasna k shikaar ho gaye tum

Socha na samjha kay kis dal-dal me dhass gaye tum
Samaaj ki nazro me Gunaahon k Daanav ban gaye tum

Vivaah k pavitra bandhan ki seema ko laangh gaye tum
Pal bhar bhi nahi socha ye kya naadaani kar gaye tum

Chalo ek baar maan bhee lu k sachcha tha pyaar tera
Shaadi k liye phir kyu maang na saka tu haath usska

Apni galtiyon aur naadaniyon ko paribhaashaon me na uljhao
Barbaad nahi huye hain jeevan teen ye tum hum ko samjhao.....





hmmmm... ye ek naye style ki story hai... ab naye style me hi jawaab dena padega na ... kuch hat ke... rapchik style... chalo likh lete hain....

Applause Applause Applause Applause Applause


kuch kahaani apni bhi aisi hai,
wo bilkul tum jaisi hai,

julfon me khoke bhul jate hain sab,
kya zamana hai kya seemayen hain,

aankhon me dub ke tumhaare hosh nahi rehta,
bas un aankhon me dubte chale jaate hain,

dikhta nahi humein wo sindoor tere maang ka,
tujhe baahon me bharke hum apna samajh lete hain,

bhool jate hain ki kya daayre hain apne,
tere hoke bas tujhme samaa jaate hain,

har raat agar hum tera intezaar karte hain to,
suraj ke nikalne se hum darte bhi hain,

ye koi chori nahi hai, pyaar hi hai,
par hum teri badnaami se bhi darte hain,

nahi rakha jaata kaaboo khud pe tujhse milkar,
tere mohabbat me hum behte chale jaate hain,

har pal mehsoos karte hain tere saanso ki mehek,
aur usi khushboo se hum bhi mehek jaate hain,

maaloom hai hume ki jo ho raha hai wo sahi nahi,
par jaanke bhi hum galtiyaan karte chale jaate hain,

kaise roke hum khud ko, kaise samjhaayen is dil ko,
hum to bas teri mohabbat me tujhse pyaar kiye jaate hain....
Applause Applause Applause Applause Applause

WOW... bahut bahut khoob likha hai aapne Anaam ji.. bahut hi umda.. bahut hi khoobsurat.. ek dum jaise ki Angry Young Man... mazaa aa gaya padh ke... mast likha hai aapne.... 2 line likhne ki ek chhoti si koshish ki hai humne bhi...

is jahaan mein pyaar ki koi paribhaasha nahi hoti,
dil se dil ki baat kehne ke liye koi bhaasha nahi hoti,

pyaar do dil ke milan ko bhi kehte hain aur do jismo ke bhi,
kisi kitaab mein likhi pyaar ki sachchi paribhaasha nahi hoti,

pyaar kya hai, ek aakarshan hi to hota hai,
pehle milan, fir dosti, fir pyaar ho jaata hai,

beh jaate hain log bahaaw mein mohabbat ke kai baar,
jismon ke aakarshan ko mohabbat keh dete hain kai baar,

par sach ye bhi nahi ki wo koshish nahi karte ek hone ki,
warna tute na hote aaj tak koi dil aur wajah na hoti rone ki,

ek dusre ki nazdikiyaan aadat me badal jaati hai aksar,
yahi aadat hoti hai jo humein barbaad karti hai aksar,

mohabbat naam ki koi cheez hoti nahi is duniya me,
par aadat ko hi mohabbat kehte hain log jahaan me,

ab aadat to kisi ke chahne se banti na chhoot paati hai,
bas ye aadat hi hai jo humse kai gunah karwaa jaati hai,

chah ke bhi kai baar us mohabbat ya adat ko apna nahi paate hain,
gharwaalo ki marzi ke aage majboor hoke chup hum reh jaate hain,

janm diya jis maa ne, chhote se paal poske badaa kiya jisne humein,
kaise tod paayenge us maa ki mamta ko jisne bas pyaar diya hai humein,

bandh jaate hain aise bandhan me jise todna mumkin nahi ho paata,
tut jaate hain sab sapne aur jeewan aasuon ka dher banke hai reh jaata,

matlab iska to ye nahi ki hum khushiyon ki chaahat hi chhod den,
kyun apne us mohabbat ya aadat ke liye jeene ki chahat chhod den,

kisi ke aane ya chale jaane se tham nahi jaati hai kabhi zindagi,
chalne ka naam hai zindagi, chalti hi jaati hai ye zindagi....
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #9 on: September 19, 2010, 09:30:04 PM »
Wah Rahimji...aapne bhi flow me tariff kar di.....
kisi k dard me taaliyen bajadi......
Jahaan gunaho me doob raha hai koi aapne...."Bahaut bahaut khoob.." keh diya....
Samaaj k niyamo se bagaavat aapko achhi lagi.....?
Mera dil tou ro uthaa hai NAARI k es patan par.... tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed
Bhediyon se kya shikaayat.....

Oye hoyeeeeeeee di kya baat hai..Flow main likha hai..Yun mehsoos hua jaise apki kalam thami nahin hogi jab tak akhri lavz na likh diya,..!
Bahaut bahaut khoob..

Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: September 19, 2010, 09:34:02 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause

wah Anaam ji aaj to aapki kalam kamaal kar rahi hai.. sach me itni naraazgi.. itna gussa... waise sach kahun to bahut achcha laga aapka ye aakrosh dekh ke... dil garden garden ho gaya hamaaraa... bahut khoobsurti se aapne saari baatein keh di hain aur saamne waale ko samajh bhi aa gaya ... too good Anaam ji... Kamaal kar diya hai aapne... simply superb....


bahut fark hota hai vaasna aur chaahat mein,
jaise kisi ki niyat aur kisi ki aadat mein,

jaruri nahi ki jo aankhon se dekha wo sach ho,
jaruri nahi ki jo kaano se suna wo sach ho,

kai baatein hoti hain jo deewaaron ko pata hota hai,
un deewaaron ke qaid me kai baar dil bhi rota hai,

chaah ke bhi kai baar hum apni chaahat ko apna nahi paate hain,
rishton ke bandhan me aur majbooriyon me bandhe reh jaate hain,

kyun lagta hai tumhe aisa ki humne koshish nahi ki hogi,
na ho paayi hamaari koshish safal, koi majboori rahi hogi,

kai mil jaayenge tumhe tum jaise tamaasha dekhne waale,
na samajh paoge kyun hote hain alag kyun rote hain dil waale,

aasaan hai kisi ki tadap pe aag lagaake muskuraa dena,
khud pe kabhi aaye ye ghadi aake tab humse ye kehna,

kya jaano tum kyun tut te hain dil yahaan roz hazaaron me,
tum to bas aate ho yahaan tamashe dekhne roz bazaaron me,

aasaan hota hai kisi gair pe ungli uthaa ke chal dena,
kabhi kuch aisa tumhaare saath bhi ho jaaye to zaraa kehna,

na samajh paoge tum hamaari baat na samjhaa paayenge hum,
suljhaane me tumhaari pareshaani khud ulajh jaayenge hum,

ho sake to kabhi sochna us beti ke baare jisne ye sab kiya hoga,
maa babuji ke mar jaane ki dhamki se jisne darke sab kiya hoga,

pyaar to karti thi wo apne pyaar se khud se badhkar,
par apno ke maut ka karza na utaar paati chahke bhi wo markar,

aasaan hai hasna dusron ke ghumon me bin jaane sach kya hai,
jab beetegi khud pe to samajh paaoge ki judai ka dard kya hai...

Jaante aur maante bhee they k ho galat tum
Phir bolo kaise vaasna k shikaar ho gaye tum

Socha na samjha kay kis dal-dal me dhass gaye tum
Samaaj ki nazro me Gunaahon k Daanav ban gaye tum

Vivaah k pavitra bandhan ki seema ko laangh gaye tum
Pal bhar bhi nahi socha ye kya naadaani kar gaye tum

Chalo ek baar maan bhee lu k sachcha tha pyaar tera
Shaadi k liye phir kyu maang na saka tu haath usska

Apni galtiyon aur naadaniyon ko paribhaashaon me na uljhao
Barbaad nahi huye hain jeevan teen ye tum hum ko samjhao.....





Logged
ANAAM
Guest
«Reply #11 on: September 19, 2010, 10:15:14 PM »
Klaskarji......maan lete hain koshish nakaamyab rahi hogi.....lekin tab

Sahir Ludhyanvi k shabdo me....kisi ki shaadi k baad ye aproach hona chahiye.....na ki ..behjaao bhavnaaon me........galat rah par.....behak-jaana

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se
Chalo ek baar phir se..

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha
Chalo ek baar phir se..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: September 19, 2010, 10:42:10 PM »
are Anaam ji aap to serious ho gaye in baaton ko leke . aisa kya chot kar diya in baaton ne aap ke dil pe. khair ab hum kuch nahi likhenge is topic pe aage. ye to bas poem hai kisi kisi ki life me hi sach banke saamne aata hai. har kisi k nahi. maafi chahunga agar hamaari koi baat aapko buri lagi ho to. Isko aap bas ek poem samajh ke padhiye. Practcal life se jodenge to sirf chot pahuchegi. Main aapse ek baar fir se maafi mangta hoon agar anjaane me maine aapko chot pahuchaaya ho to. Is topic pe behes shuru karenge to ye kabhi khatam hi nahi hogi. to ise yahi khatamm karte hai.. kyun thik hai na ...mujhe maaloom hai aap is baat se jis din se ye post hua hai usi din se bechain hain.. ab please shant ho jaiye aur ise yahin khatam kijiye...!!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: September 19, 2010, 10:49:18 PM »
KasaK jee aadaab!

Kafi achcha likha hai aapne... romantic romantic aur behad tez ahsaas kaheN hai daad, bahut achchi rahi aapki kalaam... and last 4 line meiN aapne saraa khumaar hi utaar diyaa...

Behad achchi combination ki hai aapne khushiyoN se shuru karke dard per end... Usual Smile is khubsurat kalaam per dil se daad hazir hai..

Klaskar jee and Anaam jee aapne bhi bahut achche reply's kiye hume aapke replys bhi bahut achche lage... Daad

Likhate rahiye...
Khush rahiye......
Khuda Hafez..... Usual Smile          

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: September 19, 2010, 10:57:23 PM »
Parwaaz ji aadaab....!!!

bahut bahut shukriya jo aaapne apna waqt nikaala aur is thread ko diya, ise padha aur pasand kiya.  main aapka tahe dil se shukriya adaaa karta hoon... bahut bahut shukriya janaab.

aur aapke is khoobsurat comment karne ke andaaz ke liye hats off

Hats off to you!

yunhi aap waqt nikaalte rahiye hamaare liye
khush rahiye
khuda hafez Usual Smile



KasaK jee aadaab!

Kafi achcha likha hai aapne... romantic romantic aur behad tez ahsaas kaheN hai daad, bahut achchi rahi aapki kalaam... and last 4 line meiN aapne saraa khumaar hi utaar diyaa...

Behad achchi combination ki hai aapne khushiyoN se shuru karke dard per end... Usual Smile is khubsurat kalaam per dil se daad hazir hai..

Klaskar jee and Anaam jee aapne bhi bahut achche reply's kiye hume aapke replys bhi bahut achche lage... Daad

Likhate rahiye...
Khush rahiye......
Khuda Hafez..... Usual Smile          


Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 06:20:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.193 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer