Chaand ki aarzoo...

by Just_Hate_Love on October 31, 2008, 09:23:46 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2619 times)
Just_Hate_Love
Guest
Chaand ki aarzoo yeh chakor kyu karta hai,
Shama pe na jaane yeh parwana kyu marta hai.?.
Koyal kyu gaati hai yeh geet suhane,
Halki si aandhi pe yeh patta kyu bikharta hai.?.
Barasna to aakhir badalo ko hi hai,
Phir bhi na jaane yeh aasmaan kyu sawarta hai.?.
Yeh kaisi hai mohabbat, kyu hai fanaah sab.?.
Agar mohabbat sachchi hai to koi kehne se kyu darta hai.?.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aarzoo by Azedmeer in Shayri-E-Dard
Aarzoo yeh hai by newbienewbie in Shayri-E-Dard
~~~Aarzoo~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Aarzoo by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
******AARZOO****** by baadal102 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: October 31, 2008, 09:27:51 PM »
wah kaya baat hai JHL ji.. bahoot he acha likha hai apne!!

chakaor tadpata hai chand ke arzoo jaane bagair
parwana jalta hai, shama ki ahh jaane bagair
Koyal gaati hai ki gaana use suhata hai
halki se andhi se, komal sa patta bikhar jaata hai
baadal bhool kar khud ko, baadal sung dharati se milne atta hai
Muhobaat main hua deewana, NA sun.ne se ghabrata hai

hai sawal anek, jawab phir bhi kaha samjha paata hai
Chand ki arzoo ki tarah, pyar ki arzoo liye, deewana chup chap jiya jaata hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #2 on: October 31, 2008, 09:34:04 PM »
...aap bhi kaha kam hai...mere paas koi jawaab nahi hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 31, 2008, 09:36:34 PM »
Thanks JHL ji!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #4 on: October 31, 2008, 09:42:38 PM »
...sukriya hamara nahi ada karo tum apne aapke,
humne to sirf taarif ki hai aapki naa ki koi ehsaan ...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2008, 01:59:07 AM »
Good one JHL
Very good reply Pooja Ji
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #6 on: November 01, 2008, 02:25:27 AM »
wah kaya baat hai JHL ji.. bahoot he acha likha hai apne!!

chakaor tadpata hai chand ke arzoo jaane bagair
parwana jalta hai, shama ki ahh jaane bagair
Koyal gaati hai ki gaana use suhata hai
halki se andhi se, komal sa patta bikhar jaata hai
baadal bhool kar khud ko, baadal sung dharati se milne atta hai
Muhobaat main hua deewana, NA sun.ne se ghabrata hai

hai sawal anek, jawab phir bhi kaha samjha paata hai
Chand ki arzoo ki tarah, pyar ki arzoo liye, deewana chup chap jiya jaata hai


bahut accha likha hai pooja rani .. mai b likhungi sham ko.
abhi lunch mein jana hai tongue3
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #7 on: November 03, 2008, 04:35:58 PM »
...sukriya Rajesh...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2008, 09:59:11 PM »
Dekhte hai hum aankhon mein unki pyaar nazar aata hai,
Par usi pyaar mein khada ek sawaal sa nazar aata hai,
Ab to thak chuke hum unki aankhon ke waar sehte sehte,
Par us dard mein hame kuchh khumaar sa nazar aata hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: November 04, 2008, 11:06:09 PM »
bahut accha likha hai pooja rani .. mai b likhungi sham ko.
abhi lunch mein jana hai tongue3


Lunch khatam nahi hua ya abhi tak sham nahi hui.... tongue3
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: November 04, 2008, 11:10:54 PM »
bahoot khoob JHL JI.

Kahte hai pyar humi se karte hai
phir kyun jeena dushwaar humara karte hai

logo main bante hai mere deewane
phir kyun peeth main khanjar hajar karte hai

chand ki chandini bhi lage khoon main nahai hui
jab bhi socho main ab hum chand ka deedar karte hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #11 on: November 04, 2008, 11:21:24 PM »
Ab chaand ka deedar aap nahi chaand aapka deedar karega,
Aur tera aashiq isi jalan mein roz marega...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: November 04, 2008, 11:27:17 PM »
Ab chaand ka deedar aap nahi chaand aapka deedar karega,
Aur tera aashiq isi jalan mein roz marega...

 Shocked Even More   Shocked Even More   Shocked Even More

such kahu to jhl ji, apke jawab se dil ko bada sakoon mila hai
jale wo mere liye, yah bhi hua payar, wah kaya ajj dua main mila hai  Thumbs UP
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #13 on: November 05, 2008, 12:44:01 AM »
Lunch khatam nahi hua ya abhi tak sham nahi hui.... tongue3

Hum unhe itna izzat dete hai, woh jante hi nehi
hum unhe itna pyar karte hai, woh samajte hi nehi
hum unhe kitna yaad karte hai, magar woh yad karte hi nehi
meri aisi halat dekhkar, woh haste hai jee berkar
ab toh hame aankhein band kar, so jane ki tamanna hei
 sad7
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #14 on: November 05, 2008, 12:53:00 AM »
Dekhte hai hum aankhon mein unki pyaar nazar aata hai,
Par usi pyaar mein khada ek sawaal sa nazar aata hai,
Ab to thak chuke hum unki aankhon ke waar sehte sehte,
Par us dard mein hame kuchh khumaar sa nazar aata hai...

Her lamha unhe kyu yad karta hai dil
kuch to bata ye bewafa, meri kya galati hai?
kal tak toh kehte they ke humsafar ho mere
aaj majdar mein chod kyu diye?
ajj zamane se keh rahe ho Just Hate Love?


Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 06:03:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer