#######chale aaye #######

by phoenix on August 10, 2006, 05:44:36 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1657 times)
phoenix
Guest
katl karke is dil ki wafao.n ka
hum teri dehri pe aaye hain

jab kar na paye mukabla dil ka
toh is dil ko aaj dafna kar aaye hai

tu kahin ho na jaye badnaam mere kisso.n ki tarha
isliye apna muh chupakar mehfil me aaye hain

jab ye din nahi kata teri bad duan k bina
to aaj fir hum beabro ho kar chale aaye hain

kuch iraadon ne bahut roka tha mujhe
par hum bhi ho ke baekabo chale aaye hain

jab raas na aaye is zamane ki khushiyan
to gum se rishta banane chale aaye hain

ab tu mujhse gila na rakhna un yadoo.n ki tarha
kabhi hum the dushman zamane k par aaj ghaav seene pe lekar aaye hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindagi ne pukara, chale aaye hum by ajnabee22 in Shairi - E - Zindagi
Khud sawal ho chale aaye by medha_jain3 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Chale aaye aazmane....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
khumari liye maikadon se paimane chale aaye hain,,,,sunil by sunildehgawani in Shayri for Khumar -e- Ishq
chale aaye....... by sanjayudas in Shayri for Khumar -e- Ishq
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 10, 2006, 05:57:29 PM »
bahut khoob Nittu ...............wonderful.........

khuli jo aankh meri toh saamne dard ke manzar hain
ab na hum dil ke aur zindagi ke hum hain

ek dard hi hai ab toh humsafar hai apana
teri rahhguajar  ke raahi na ab hum hain

kahan tak dega koi dubati saanso ka saath
jab apni hi zindagi se ab khafa se hum hain

thee payaas bahut hame shiddat se zindagi ko jeene ki
ab dariya ke saath ho kar bhi bas payaase se hum hain

kya rakhenge hum ab tujhse koi gilla dost
jab apne hi  har baat ke gunahgaar hum hain
Logged
phoenix
Guest
«Reply #2 on: August 10, 2006, 06:02:57 PM »
koi insaan zindagi mein begunaah nahi hota
jab doobti hai kashti kisi ki
to uska zimmedar malhar nahi hota
kabhi chal padte hain hum bhi aisi raahon
jahan par hamara inteezar nahi hota
kabhi aa kar dekh mere ghar ko tu bhi
iski berukhi ka sabaab mera dildar nahi hota
kash koi band kar deta inn aankho ko khulne se pehle
toh aaj ye chand bhi humko nagawar nahi hota
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #3 on: August 11, 2006, 02:36:27 AM »
Quote from: "phoenix"
koi insaan zindagi mein begunaah nahi hota
jab doobti hai kashti kisi ki
to uska zimmedar malhar nahi hota
kabhi chal padte hain hum bhi aisi raahon
jahan par hamara inteezar nahi hota
kabhi aa kar dekh mere ghar ko tu bhi
iski berukhi ka sabaab mera dildar nahi hota
kash koi band kar deta inn aankho ko khulne se pehle
toh aaj ye chand bhi humko nagawar nahi hota


phonu babu....aur ranju mom...kya baat hai!!!!

khol deti tumhari ankhein ansu anne se pehle
tu chand tumhe nagawar nahi laghta

aah jati aik baar woh tera ghar dekhne pehle
tu tujhe yeh ghar makaan na laghta

keh deti tujhse apne dil ki baat pehle
tu bewafai uski itni bohri na laghti :D:D
Logged
phoenix
Guest
«Reply #4 on: August 11, 2006, 06:30:51 PM »
thnx lucy
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #5 on: August 11, 2006, 08:16:54 PM »
Quote from: "phoenix"
thnx lucy


welcome welcome tongue3
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 12, 2006, 02:54:58 PM »
bahut khub anjani ......shukriya ......

bahut chaha thee dil mein kuch kar gujarne ki
hum bebas se ho kar bas mehfil se chale aaye

kaash kar dete yadi apne dil ki hum ek baar
hum jeene ki chah mein bas har pal marte aaye
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: August 12, 2006, 05:05:32 PM »
Quote from: "phoenix"
katl karke is dil ki wafao.n ka
hum teri dehri pe aaye hain

jab kar na paye mukabla dil ka
toh is dil ko aaj dafna kar aaye hai

tu kahin ho na jaye badnaam mere kisso.n ki tarha
isliye apna muh chupakar mehfil me aaye hain

jab ye din nahi kata teri bad duan k bina
to aaj fir hum beabro ho kar chale aaye hain

kuch iraadon ne bahut roka tha mujhe
par hum bhi ho ke baekabo chale aaye hain

jab raas na aaye is zamane ki khushiyan
to gum se rishta banane chale aaye hain

ab tu mujhse gila na rakhna un yadoo.n ki tarha
kabhi hum the dushman zamane k par aaj ghaav seene pe lekar aaye hain


JO hona ho use koi ab Rok nahi sakta.......
Jagmagati hai yahan Dunia aur Pyar hai Bazaar me bikta.......

Par ab humne bhi yahan Jeena seekh liya......
Jaise Jeena Chahate the hum waise hee Jee liya......

Dard nahi mujhe bas Gum iss Baat ka hai.......
Jab Adhoori hai Zindagi toh Insaan raston ko kyu tarasta hai.......

Na jaane humne aisa konsa Gunaah kia tha......
Jo aaj bhi yeh Shayar Surr aur Sharaab ko tarasta hai..........!!!!!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #8 on: August 12, 2006, 05:41:38 PM »
suna hai wo bhi gum chupane lage hain
kya hum ab unko yaad aane lage hain
rehta tha jin lamho ka inteeezar mujhe
ab wahi lamhe baar baar aane lage hain
hone lage.n wo bhi pareshan meri tarah
jakar mandiron mein diye jaalane lage hain
koi samjha de unko meri berukhi ka sabab
unki kismat k pathar meri jholi me aane lage hain
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: August 13, 2006, 04:46:25 AM »
na jaane kab yeh dard ke zakham bhar paayenge
hum kab is dard ek saaye se ubhar paayenge

aate nahi hai ab koi khawab bhi hamko
na jaane in palko per kab neend ke saaye aayenge

bhatak rahe hain hum kab se waqt ek shehra mein
na jaane kab kahi ja kar sakun paayenge

ghum chhippane se kab chhippa hai
hamare haste hue chehre hi dard ki dastaan keh jaayenge
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: August 13, 2006, 10:47:31 AM »
Wah kya baat hai Ranju

Zakhm hua nahi karte bharne ke liye......
Jalte hai hum jaise bann Armaan phool kabhi khilte nahi jalne ke liye........!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: August 13, 2006, 02:16:59 PM »
phool  chupchhap yun bhi sulaga karte hain
faila ke apni khusbu auro ka daaman khushi se bhar diya karte hain
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: August 20, 2006, 03:54:36 AM »
Excellent Phoenix...
Logged
phoenix
Guest
«Reply #13 on: August 20, 2006, 05:21:39 PM »
thnx aryaan
Logged
phoenix
Guest
«Reply #14 on: August 20, 2006, 05:58:55 PM »
har lamhe ek ehsaas lekar aata hai
ye paani bhi aajkal ek aag lekar aata hai
hum sun nahi paate jin aawazon ko
ye hawa ka jhoonka bhi kuch aise saaz lekar aata hai

kabhi tham jati hai dhadkane
kabhi behta hai paani aankho se
kuch toh khata thi meri bhi
aati hai ye sada bhi ab toh andhero se

ruk ruk k utth te hain kadam fir rukne k liye
aise hi mood par aaj mein nikal aaya hun
agar ho mumkin to bhula dena mujhe bhi
ek bura sapna hun ek dard ka saaya hun
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 10:25:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer