chhoot gaya sab

by sanya310 on June 13, 2005, 02:13:44 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 2166 times)
smile_deep1
Guest
«Reply #15 on: June 13, 2005, 03:45:06 PM »
nice bond...........


Unko bhi hum say waisi hi mohabbat ho zaoori to nahin,
Aik si donon ki halat ho zaroori to nahin...
Dil ki chahat to kai khuwab jaga deti hai,
Haan magar sath mein qismat bhi ho zaroori to nahin...
 Meri tanhaiyan karti hain jinhein yaad sada,
 Unko bhi meri zaroorat ho zaroori to nahin...
Muskaranay say bhi hota hay bayaan gham-e-dil
, Mujh ko rone ki bhi aadat ho zaroori to nahin !!

NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
2004 , GUZAR GAYA ! KISI KA KIA GAYA , OR KISI KA KIA GAYA ? by SADIQA JAWED in Shairi - E - Zindagi
~~~Dey Gaya~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Jo...... Ho.... Gaya..... Wo.... Ho.... Gaya..... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
kya se kya ho gaya by tamanna... in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Kuchh to chhoot gaya.. by nashwani in Shayri-E-Dard
bond
Guest
«Reply #16 on: June 13, 2005, 03:46:37 PM »
THANX MEENA JI........

jab kisi se koi gila rakhanaa
saamane apane aainaa rakhana

yuun ujaalon se vaasta rakhanaa
shammaa ke paas hi hava rakhanaa

ghar kii taamir chaahe jaisi ho
is mein rone kii jagah rakhanaa

NM
Logged
Meena
Guest
«Reply #17 on: June 13, 2005, 03:48:37 PM »
Quote from: "bond"
THANX MEENA JI........

jab kisi se koi gila rakhanaa
saamane apane aainaa rakhana

yuun ujaalon se vaasta rakhanaa
shammaa ke paas hi hava rakhanaa

ghar kii taamir chaahe jaisi ho
is mein rone kii jagah rakhanaa

NM


i must say mundeya u got a damn gud collection! bohot acha laga yeh bih!

 :D
Logged
bond
Guest
«Reply #18 on: June 13, 2005, 03:56:08 PM »
meena ji ...pehle nahi rehta tha koi collection...but yahan aakar sikha hai bahut....kyunki meri original shayeri to koim pasand nai karta lolzzz..ne ways thanks
Logged
smile_deep1
Guest
«Reply #19 on: June 13, 2005, 04:08:18 PM »
nice  bond

jagah to bahut hain ghar main ronay ke liye.........
per woh khuda ankho main ashq dena bhool gaya.

deep
Logged
nikki
Guest
«Reply #20 on: June 13, 2005, 04:20:55 PM »
Quote from: "bond"
thanx MEENA JI.....................................

jab kabhi tera naam lete hain
dil se ham intaqaam lete hain

meri barbaadiyon ke afasane
mere yaaron kaa naam lete hain

bas yahi ek jurm hai apanaa
ham muhabbat se kaam lete hain

har qadam par gire par siikhaa
kaise giratoon ko thaam lete hain

ham bhatak kar junuun ki raahon mein


aql se intaqaam lete hain
NM


bahut khoob...............
Logged
bond
Guest
«Reply #21 on: June 13, 2005, 04:22:12 PM »
bahut achhe DEEP

deke dard hasta hai woh
pathardil mera dilbar hai
 uske intzaar mein tak tak
meri aankh huyi pathar hai

BOND
Logged
smile_deep1
Guest
«Reply #22 on: June 13, 2005, 04:29:12 PM »
ty bond..................

khata uski nahi teri thi aye dost,
sahil ho kar mojon se dil laga baith ...


deep
Logged
bond
Guest
«Reply #23 on: June 13, 2005, 04:34:10 PM »
kya pata hai humhe saare gumoon se bada gum lehron ka hota hai....
jab hum kinaare pe khade hoker inn lehroon ko dekhte hain
tab kam se kam hamare paas ik kinaara toh hota hai...
par inn lehroon ki kismat toh dekho...ek baar sahil paakar
phir se innhe wapas uss gehre samander mein jaana hota hai..

BOND
Logged
sanya310
Guest
«Reply #24 on: June 13, 2005, 04:43:16 PM »
veery nice everyone...keep it going..


dil dukha kar maafi maang raha hai
kaise us nadaan dil ko maaf na karen
jo har pal bas pyar deta hi rehta hai...
Logged
smile_deep1
Guest
«Reply #25 on: June 13, 2005, 04:52:36 PM »
nice thought  bond...............

and sanya............ nice work................. all going gr8
Logged
bond
Guest
«Reply #26 on: June 13, 2005, 05:22:43 PM »
bahut khoob SANYA...............

maante hai hum dil dukhaya hai humne
maante hai bahut unko sataya hai humne
zara si baat pe hume bana diya bewafa
meri shararat-e-ishq ka yu badla liya tumne

BOND
Logged
smile_deep1
Guest
«Reply #27 on: June 13, 2005, 05:34:59 PM »
nice bond ji

apnay dil dukhnay ko......  satanay ko.........
sharart-e-ishq ka naam de diya......
humnay shararat main bewafa kaha,
to us sharart ko badla-e-intakaam keh diya.
Logged
bond
Guest
«Reply #28 on: June 13, 2005, 05:45:14 PM »
nice........

ye shararatein ishq mein jaan na le lein
hum bewafa nahi bas itna woh keh dein
tu ayega kabhi jidagi me meri , keh de
to tere intzaar mein , janam janam tanha reh lein
Logged
smile_deep1
Guest
«Reply #29 on: June 13, 2005, 05:50:55 PM »
nice............


tu bewafa nahin meri wafa hain,
jo thama hain tujhay aaj ,
to door tak jana hain.......
tujhay jo tanha chodengey to...
khud bhi tanha ho jana hain.
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 30, 2024, 06:17:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer