ek muddat se aankh meri nahi soyi hai
kabhi kabhi meri halat per raat bhi bahut royi hai
dhoond rahi hun mein reit mein paani ke nishaan
meri zindagi thak ke kahi dard ki panhaa mein abhi soyi hai
dil mein sulag raha hai ek daba hua sa dard koi
abhi dil mein daba hua jwalamukhi sa koi hai
ek saaya bahut der tak chalta raha mere saath saath
fir se dil mein unke aane ki aahat ki umeed si jagi koi hai
aaiene mein abhi bhi dikhta hai aqs mujhe unka
andhero mein dubi hui meri hasti kahi ghum si hui hai
likhe maine apne lafaz bas unke liye hi sada
uski har baat mulakaat mere liye ek peheli si hui hai
muddate.n hui meri aankho ko soye hue
waqt guzra hai bahut tanha raato.n mein roote hue
ab toh aandhero.n mein bhi mujhe aks nazar aata hai
guzar jati hain raatein par yado.n ka karwan reh jaata hai
kuch iss tarah se behta ye dariya bhi ki
shehar guzar jaate hain aur samandar aa jaata hai
lehro.n k darmiyan apni kashti ko dubte dekhta hun mein bhi
aur ek wo saahil hai jo tair k par lag jaata hai
bahut khoob likha hai Nitesh .....
dil se kyu aaj dil bhara jaata hai
koi beeta hua lamha fir se yaad aata hai
de gaye ek tanah raat tum meri zindagi ko
dil ab teri awaz sunne ko taras jaata hai
kis bebasi mein jal raha hai yeh dil mera
ab isko har pal jalana hi kyu bhaata hai
kyu ghir ke rahe gayi sirf ek kaali raat jeevan mein
aankho mein ab koi neend nahi koi khawab bhi nahi aata hai!!!