DARD KAISA HOTA HAI..... (plzz giv ur opnion)

by BHONDU on February 16, 2007, 02:50:50 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1557 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
Aksar mere dil mein ye sawaal aata hai,
kya bura hai ye dard jo sabko rulata hai.
ya bahut hi pyaara hai ye dard
jo khushi ke jaate hi humko gale lagata hai
aapne sahare jeena sikhlata hai.

kya ye dard kisi ki inayat hai
ya ye dushman hai aapna ansoo jike aadhar hai
per mujhe lagta hai ye mera yaar hai
her pal saath rehta hai ye tumse wafadaar hai

dard ko dekhne ki hoti hai bepannah chahat
warna BHONDU  yu hi likhta nhi hai
ab to lagta ye mera bhagwaan hai
hamesha saath rehta hai per dikhta nhi hai...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: February 16, 2007, 02:54:44 PM »
wondeful  Bhondu.........  humesha ki  tarah aaj  bhi  bahot accha aap ne likha.........
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: February 16, 2007, 02:58:53 PM »
sach kaha aapne Bhondu ji...

zindagi mein agar khushiyon ke siva kuch na ho
to kahan jeene ka maza aata hai
zindagi ko jeene layak to DARD hi banata hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 20, 2007, 03:23:40 PM »
Quote from: "nikki"
sach kaha aapne Bhondu ji...

zindagi mein agar khushiyon ke siva kuch na ho
to kahan jeene ka maza aata hai
zindagi ko jeene layak to DARD hi banata hai


bahut hi umda lines di hai aapne nikki ji...

aaj dil kyn aapna zor aajmata hai.
khusiyon ke bandhan ko tod nikal jaata hai.
aansoo ke sailaaab mein doobna ye chahta hai.
dard ko ye aapne seene mein chupata hai
zindgi ko jeene layak dard hi banata hai.

khusiyon ke zakmo mein dard ka malham rakhte hai.
aansoo ke sath hum swadh dard ka chakhte hai
rooth jaate hai yaar sabhi, chut jaate hai saath sabhi
ek saache saathi ki tarah saath ye nibhata hai.
zindgi ko jeene layak dard hi banata hai....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 20, 2007, 03:52:23 PM »
wah kaya baat hai bahoot khoob Dost Kavi ji!!! Nikki good job!!

Dard hai sathi, dard hai sahara
Dard ke bina na samjh aye kon hai humara

Chip kar kahi ander, mujh main hi sama gaya
Ban kar mera hi roop, mera chehra dikha gaya

Gujarta gaya waqat, salo saal se Sath nibha gaya
Kar juda mujhe sansaar se, mera ek naya jahan basa gaya!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2007, 05:31:08 PM »
wow, bhondu ji, really loved last 4 lines.

nice nikki ji and pooja ji as always wonderful...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 21, 2007, 01:22:30 PM »
Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai bahoot khoob Dost Kavi ji!!! Nikki good job!!

Dard hai sathi, dard hai sahara
Dard ke bina na samjh aye kon hai humara

Chip kar kahi ander, mujh main hi sama gaya
Ban kar mera hi roop, mera chehra dikha gaya

Gujarta gaya waqat, salo saal se Sath nibha gaya
Kar juda mujhe sansaar se, mera ek naya jahan basa gaya!!!


bahut aache pooja ji.....

dard hi saathi hai dard hi sahara hai.
bewafaaii ke is daur mein dard hi humara hai.

zindgi jeene ke liye dard aapni himmat hai
aur.. poochte hai wo ki "BHONDU" dard ki kya keemat hai.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: February 21, 2007, 05:14:26 PM »
Aise Dhoka Diya Kisine Mujhe Ke HuM Ek Zinda Laash Bankar Reh Gaye,
Dard Ko Dard Hone Laga Mere Dardse Aur Mohabbat Ki NazarMe HuM Gir Gaye...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: February 22, 2007, 01:06:47 PM »
Wow bhondu,nikki sis,pooja ji n angel...sabne bohat hi acha likha.
Logged
mithoo
Guest
«Reply #9 on: February 23, 2007, 05:11:01 AM »
very nice...like it

 ye dard na hota to aapki ye shayeri na hoti
dard ki humsafer ye purani yadein na hoti...

Quote from: "BHONDU"
Aksar mere dil mein ye sawaal aata hai,
kya bura hai ye dard jo sabko rulata hai.
ya bahut hi pyaara hai ye dard
jo khushi ke jaate hi humko gale lagata hai
aapne sahare jeena sikhlata hai.

kya ye dard kisi ki inayat hai
ya ye dushman hai aapna ansoo jike aadhar hai
per mujhe lagta hai ye mera yaar hai
her pal saath rehta hai ye tumse wafadaar hai

dard ko dekhne ki hoti hai bepannah chahat
warna BHONDU  yu hi likhta nhi hai
ab to lagta ye mera bhagwaan hai
hamesha saath rehta hai per dikhta nhi hai...
Logged
mithoo
Guest
«Reply #10 on: February 23, 2007, 05:11:48 AM »
very nice...like it

 ye dard na hota to aapki ye shayeri na hoti
dard ki humsafer ye purani yadein na hoti...

Quote from: "BHONDU"
Aksar mere dil mein ye sawaal aata hai,
kya bura hai ye dard jo sabko rulata hai.
ya bahut hi pyaara hai ye dard
jo khushi ke jaate hi humko gale lagata hai
aapne sahare jeena sikhlata hai.

kya ye dard kisi ki inayat hai
ya ye dushman hai aapna ansoo jike aadhar hai
per mujhe lagta hai ye mera yaar hai
her pal saath rehta hai ye tumse wafadaar hai

dard ko dekhne ki hoti hai bepannah chahat
warna BHONDU  yu hi likhta nhi hai
ab to lagta ye mera bhagwaan hai
hamesha saath rehta hai per dikhta nhi hai...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 23, 2007, 01:08:02 PM »
Quote from: "angel4u"

Aise Dhoka Diya Kisine Mujhe Ke HuM Ek Zinda Laash Bankar Reh Gaye,
Dard Ko Dard Hone Laga Mere Dardse Aur Mohabbat Ki NazarMe HuM Gir Gaye...


galat baat hai angel...

mohabaat ki nazaro mein koi girta nhi hai.
per mohabaat ke saye mein jeevan gujarta nhi hai.
mohabbat mein khusi thi to dard mein bhi mazza aata hai.
dard humein duniya ki nazar dikhlata hai......
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 23, 2007, 01:12:14 PM »
Quote from: "mithoo"
very nice...like it

 ye dard na hota to aapki ye shayeri na hoti
dard ki humsafer ye purani yadein na hoti...

[/quote]

sahi kaha hai mithoo ji....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: February 23, 2007, 01:44:46 PM »
Very Very Nice Bhondu ji... Bahut sahii baat kahi aapne...

And Nice work all... Sab ne bahut achha likhe hai...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #14 on: February 23, 2007, 01:58:44 PM »

Kya hai Dard, yeh humko batao,
Iskii kahanii humey bhi sunao...

Hai meethi chubhan yeh
Muhabbat ki pyaasii...
Ya bheegi huii si palkein,
Bharii jinme udaasii...

Yeh mehboob hai apna,
Jo Gale se lagaaye...
Ya dushman hai dil ka,
Jo humko jalaaye....

Sujhaana mushkil jisey,
Ek uljhii si pahelii...
Ya jeevan ko samjhaatii,
Koi puraani sahelii...

Humse bhi kaho koii iska kisaa,
Humari bhi isse pehchaan karwao...
Kya hai Dard, yeh humko batao,
Iskii kahanii humey bhi sunao... Usual Smile
[/b]
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 12:39:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer