dard ke jahan me bhi sukoon ka shahar to hai

by @kaash on March 01, 2009, 03:43:18 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 885 times)
@kaash
Guest


dard ke jahan me bhi sukoon ka shahar to hai
mere khuda teri khudaai me asar to hai


unki khushdili se khushi unke gham se ghami
kum se kum meri zindagi me meri basar to hai


unka dekhkar hume phir nazarein jhuka lena
qatil ki nigaah'e'nashtar me itni kasar to hai


gila nahi rakhte hum in dooriyun se bhi
varna duaaon me meri ab bhi asar to hai


kaise kah den kisi ko matlabi yahan
aaiene par hamari bhi nazar to hai


farsh se arsh ka safar tay hota hai har pal
dhadkano me bebasi ki apni bhi kahar to hai


pad hi jaati hai unki tasveer par nazar
nazar hamari bhi aakhir nazar to hai


tohmat barbaadi ki kisi par lagana hai fizool
aksar hi khud ko humne bhi dia zahar to hai


zindagi me saahil hamesha na khojie
paas samundar nahi to kya ek lahar to hai


ummeed unse ab gham ki bhi nahi karte
shab'e'gham me shamma ek thhahar to hai


aksar dikh jaati hai tu meri tanhaaiyun me
mere jaagte sehra ki raat me hoti ek sahar to hai


us bewa ki zindagi bhi zara zara sambhal rahi
aangan me ped nahi bachhe ki shajar to hai


uske baad tasavvuraat tere likhne me nahi "Kaash"
gaaj'e'misra maqte pe gira dikhti ek behar to hai



-KAASH-



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SUKOON by Arifa in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
sukoon by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
dard liye jahan chlta hai by paani in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kaqazon ka shahar hi haqeeqat ka sukoon deta hai by @kaash in Shayri-E-Dard
Sukoon hai lamhey bhar kaa agar, to, hai dard dahron kaa! by abdbundeli in Shairi - E - Zindagi
salma786
Guest
«Reply #1 on: March 01, 2009, 03:48:32 PM »
Very nice work Kaash ji Clapping Smiley
Ek ek sher apki dil ko chu gayi daad kubul kare Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 01, 2009, 04:01:56 PM »
[b[Bohat Achche Kaash Bhai, Again, Nice One,.
Yunhi LIkhte Raho Aap, Allah Apko Khush Rakhe,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 08:51:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer