DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
Print
Author  (Read 10047 times)
sagar_0777
Guest
«Reply #30 on: February 12, 2008, 05:37:21 AM »
O GOD........ itna dard
yahan to yaar ek se badkar ek dardile hai but yaaro itna dard aata kahan se hai.
aour jab pyar me itna dard hai to fir log pyar karte hi kyon hai.
khair sabhi apne-apne DIL ki jane hume kya hume to bas ye pata hai k POOJA ki tarif karna suraj ko diya dikhane wali baat hai aour khwahishji b kuch kam nahi hai.tnx POOJA nd khwahish
********************************************************

WO KEH K CHALE
ITNI MULAKAT BAHUT HAI
MAINE KAHA RUK JAO
ABHI RAAT BAHUT HAI
AANSOO MERE THAM JAYE
TO FIR SHOUK SE JANA
AEISE ME KAHAN JAOGE
BARSAAT BAHUT HAI.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
honeyrose
Guest
«Reply #31 on: February 12, 2008, 05:43:08 AM »
Bohat khoob kwaish ji.kitna dard bhara alfaz hai.
Good one pooja.

Dard ki daastaan toh bohat hai isa zindagi  mein..
Kabhi koi dil ka dard nahi samjh tha iss zindagi mein..

Hum dusro ka dard sambhal the hai umar bhar..
Woh humhe mukar dethe hai zindagi bhar..

Zindagi toh gum ka bhoj hote chala hai..
Jab pehechan ney ghe toh bohat dheer hoghe..

Hum toh zamane say aapni yaadein sey durr hoghe..
Dard ki daastaan toh bohat hai iss zindagi mein..

Aankhon mein aasu liye chale hai..
Zindagi ka anjam kuch pata nahi..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: February 12, 2008, 02:45:58 PM »
JISSE TUM PARAYA KEHTE HO
DEKHNA KABHI WOH APNO SE APNA NA LAGE...

JINKA APNA DARD BHI NAHI SAMBHALTA,
AAJ WOH DUSRO KE GHAM KO BHI APNANE LAGE...

JAZBAAT AISE THE JO RUKH NA PAAYE
AAJ IN SAWAALO KO SULJHANE MAIN SHAYAD
AAPKO ZAMAAANA LAGE....

HAR KOI CHEHRA JHOOTI MUSKAAN SE SAJATA HAI
KEHTA HAI SAB KO YEH CHEHRA HI BAS SUHANA LAGE...

KUCH SAWAAL DIL KE DIL MEIN HI REH JAATE HAI
PUCH LENA HI BEHTAR HOTA HAI,
BAS...SHART YEH HAI KE BURA NA LAGE....

Chu jaye jo dhadkan wo apna ho hi jaata hai
Bas jaata hai dil mai, praya kaha rah paata hai

Dard apna he hota hai mushkil sambhalana
Baki her ek ka dard to sambhal jaata hai

Zazbaato ne he badai hai uljhan sawalo ki
Warna her ek sawal ka jawab yaha mil jaata hai

Koi kitani bhi jhoothi muskaan le aaye chehre per
Ansoo phir bhi kabhi na kabhi dhalak jaata hai

Her kisi ko padta hai, dard ki nagri se gujarna
Dard per pade nakab ko her insaan jaan jaata hai

Jahan takraate ho zazbaat her ek baat per
Jitna bhi sambhalo, boora lag he jaata hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: February 12, 2008, 02:55:16 PM »
Shukaria Sagar ji!!! Khwaish ji likh hi itna acha rahe hai ki mere jawab khud-b-khud padne layak ban gaye!!!

Nice lines Honey and Thanks for reading !!

Honey ji kai baar mai apki kavita ka poora arth nahi samjh paati.. app DHEER word bahoot use karti hai, please iska arth bataye..mai iska arth Patience samjhati hu , magar phir apki line ka arth samjh nahi atta... apki kavita ko pard kar jo samjh ayya ussi ka jawab dene ki koshish kar rahi hu:

Her ek zindagi dard ki dastaan si lage
Kyun phir mera dard tere dard se juda lage

Kon sambhal sakta hai kisi ke dard ko apne dil main
Jab apna hi dard sabse bada hume lage

Gumo ka bojh jitna bhi badta hi jaaye
Phir bhi zindagi pyari hume lage

Yaadein tadpayegi umarbhar yah jante hai hum
Phir bhi tera yaadon mai anna, acha hume lage

Dil mai dard, palko per rahte hai her pal ab ansoo
Phir bhi Tujhe milane ki umeend mai, ek skoon sa lage
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: February 12, 2008, 05:35:41 PM »
Humdard ab kisi ko banaya nahi jaata
kisi ke rah se apni raho ko milaya nahi jaata!!

Pyar, Muhobat, Humdard, Humraaj, shabd lagte hai Zaher se
In shabdo se ab khud ko daswaaya nahi jaata!!

Dard ki dastaan kaya kahe ab hum lafzo main
ek bhi apna ansoo, shabdo se bataya nahi jaata!!

chalte chalte tanhai mai, na jaane kaha aa gaye hum
jahan se laut kar ab wapis ayya nahi jaata!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: February 12, 2008, 07:48:17 PM »
HUMDARD KISI KO APNA BANAKAR BHI DEKHO
KISI KE RAAHO SE APNE RAAH KO MILAAKAR BHI DEKHO...

YEH SAB EHSAAS BHI KHILONE HAI JEENE KE LIYE
KABHI TO IN KHILONO SE APNE MAN KO BEHLA KAR BHI DEKHO...

SHABD HI HOTE HAI BEZUBANO KI ZUBAAN
APNE DIL KO KABHI TO YEH SAMJHA KAR BHI DEKHO...

KOI BHI RAAH PAR CHALNE KO TO HAR MUSAFIR CHAL LETA HAI
NAYI RAAH, NAYI DISHA PE CHALKE APNE AAP KO KABHI TO,
ZINDAGI MEIN AZMAAKAR BHI DEKHO...

JAANTA HOON MAIN,HAR SAWAAL KA JAWAAB HAI AAPKE PAAS
PAR KABHI KHUD KE DIL KE LIYE BHI KUCH SAWAAL BANA KAR TO DEKHO....

ZINDAGI SHAYAD BAN JAAYE KUCH ASAAN
SIRF EK BAAR PHIR MUSKURAKAR TO DEKHO....



Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: February 12, 2008, 08:53:56 PM »
Humdard se hamesha dard hi paaya hai
Mila kar raahein, apni manzil ko gawaya hai

Ehsaas ko mere her koi khilona samjhe
Her baar khud ko hi ek khilona paaya hai

Dil ki samjh mai to ab ansoo bhi ate nahi
Jab se dil ne kisi ko humdard banaya hai

Janoon-e-deewangi bhi kaya karegi tanha
Humdard ko jab dhokebaz paaya hai

Her sawal ka jawab dhoond hi leta hai dil
Per kai jawabo mai khud ko bhi majboor paaya hai

Zindagi jeena na ho saka kabhi Asaan
Na jaane kaya soch kar Khuda bhi Pooja ko zameen per laaya hai!!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #37 on: February 13, 2008, 06:55:30 AM »
 
Shukaria Sagar ji!!! Khwaish ji likh hi itna acha rahe hai ki mere jawab khud-b-khud padne layak ban gaye!!!

Nice lines Honey and Thanks for reading !!

Honey ji kai baar mai apki kavita ka poora arth nahi samjh paati.. app DHEER word bahoot use karti hai, please iska arth bataye..mai iska arth Patience samjhati hu , magar phir apki line ka arth samjh nahi atta... apki kavita ko pard kar jo samjh ayya ussi ka jawab dene ki koshish kar rahi hu:

Her ek zindagi dard ki dastaan si lage
Kyun phir mera dard tere dard se juda lage

Kon sambhal sakta hai kisi ke dard ko apne dil main
Jab apna hi dard sabse bada hume lage

Gumo ka bojh jitna bhi badta hi jaaye
Phir bhi zindagi pyari hume lage

Yaadein tadpayegi umarbhar yah jante hai hum
Phir bhi tera yaadon mai anna, acha hume lage

Dil mai dard, palko per rahte hai her pal ab ansoo
Phir bhi Tujhe milane ki umeend mai, ek skoon sa lage

......

WELL POOJA JI ITS DER SORRY SHAYAD MEINE SPELLING WRONG AS DHEER LIKHA
NEXT TIME I CORRECT MY SELF WAISE SORRY.. Usual Smile
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #38 on: February 13, 2008, 07:21:01 AM »
Tu jal Se-jal, koyi kaiSe-Jal bin jee paaye
Pyase hain kaisey pyas bujhayein
doob chukey hain Tan-Man Se-Jal mein
Fir bhi Pyase-Jal-Se-Jal Ke
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: February 13, 2008, 07:20:49 PM »
mujhe aap ke is baat ka jawaab bahut hi acha laga..kitne baar maine yeh jawaab padha hai...

"JAB WOH ROYE TO LAAKHON HAATHON NE THAAM LIYE UNKE AANSU
JAB HUM ROYE,AANSU ITNE GIRE KE LAGA AAJ ZAMEEN BHI THODI KAM HAI...

AAJ EK BAAT SACH KEHTA HOON...
JUDA HUA USS SHAKS SE ISS BAAT KA KHUDA SE KOI SHIKWA NAHI
BAS BICHADTE WAQT GALE NAHI TO HAATH HI MILA LIYA HOTA
BICHADNE WAALE KE LIYE KYA YEH MARHAM KAM HAI..."

AAPKA JAWAAB...

Humare rone per hazaro jhoothe hath uthate hai
Kahin unko dekh kar tera hath na ajj ruk jaaye

Sochane se kabhi koi juda hota nahi
Hatho se hath chahe kitna juda ho jaaye

BAHUT KHOOB JAWAAB DIYA AAPNE...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: February 13, 2008, 07:23:47 PM »
Shukaria Khwaish ji!!! Acha lagta hai jab likha hua koi baar baar pardta hai.. lagta hai likhna safal ho gaya...
Shukaria is ahsaas ka ki mera likhna kahin thora sa safal hua!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #41 on: February 13, 2008, 07:26:22 PM »
Pooja, Khwaish bro

Behtareen jazbaaton ka izhaar aap dono apni shayari mein kar rahe hain !

Keep going !

Honey

Aap ne bhi achcha saath diya !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #42 on: February 13, 2008, 07:36:25 PM »
WAQT KI BERAHAM AANDHI NE UDA DIYA WAJOOD MOHABBAT KA
WARNA AAJ AAPKE SAATH HOTE HUM...

DARD KUCH ITNA HUA ZAKHMO SE KE KHUD KO ROK NA SAKE,
 YUHI NA APNI AANKHON KO ASHKO SE BHIGOTE HUM...

NA SAMJHO KE KADAR NAHI THI HUMEIN PYAAR KI
ZARA SOCHO,AGAR KADAR NA HOTI HUMEIN AAPKE PYAAR AUR JAZBAAT KI
TO KYA APNA CHAIN-SUKOON YUH KHOTE HUM...

USS MUSKAAN PE NA JAAO JO CHEHRE PE DIKHTI HAI
JEENE KE LIYE MUSKAAN ZAROORI HAI
KABHI JHAANK KAR DEKHNA MERE DIL MEIN EH YAAR
ANDAR KHOON KE AANSU BHI ROTE HAI HUM....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: February 13, 2008, 07:45:51 PM »
Waqat ki berahmi ko ilzaam na do
Na chal sake sath, koi aor baat karo

Dard ka khazana dene wale, yahi bhi kabhi sochege
Hansu kis per, chalo kisi ko koi ilzaam na do

Kadar koi kaya kar sakega kisi ki, yah baat rahne do
Sakoon kis ne china aor kyun gawaya, yah rahne do

Muskaan teri se mujhko na hogi kabhi shikayat
Tere ansoo ajj bhi mere hai, bas mere hi rahne do...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: February 13, 2008, 07:57:52 PM »
JO SACH THA, WAHI KEH GAYA HOON MAIN
CHAL TO RAHA THA MAIN SAATH UNKE,
PAR CHOT KUCH AISI KHAYI THI SAFAR MEIN
KE AB BEECH RAAH PAR REH GAYA HOON MAIN...

USS SHAKS SE SHIKAYAT NAHI KARTA KYON KI,
WOH DIL MEIN AAJ BHI HAI,
IN GILE-SHIKWO SE BAHUT PAAR
AB AA GAYA HOON MAIN...

WOH NAHI SAMAJ PAAYE TO KYA "kHWAISH"
UNKE HAR DHADKHAN MEIN SAMA GAYA HOON MAIN....

KISI KE AANSU APNANE KE LIYE BHI,
EH  MERE YAAR BAHUT KUCH GAVANA PADHTA HAI
KUCH BAATON KO APNE HI DIL MEIN DABA KAR REH GAYA HOON MAIN....

AB DARD HOTA BHI HAI TO KISI SE SHIKAYAT NAHI
HAR DARD KO APNI MAJBOORI KA NAAM DEKAR SEH GAYA HOON MAIN....



Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 07:45:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer