DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
Print
Author  (Read 10040 times)
Pooja
Guest
«Reply #75 on: February 15, 2008, 05:34:10 PM »
Chahne na chahne se kaya hoga
Yaadon main ghire rahne se kaya hoga

Chahte ho jo phir se ek nai dunia basana
To purani dunia mai jaane se kaya hoga

Her baat teri mai such, teri bhawnaye bata jaati hai
Magar is tarah bhawnao mai khud ko uljhane se kaya hoga

Likha jo wo hai ek suchi kahani
Per purani kahani mai jeete rahne se kaya hoga

Kaho na kaho apne sathi ko yah kahani
Batlane ya chupane se bhi kaya hoga

Zindagi jeeni hai to jiyo iske her ek pal ko dil se
Be dil zindagi jeene se kaya hoga

Raah batane wale milege bahoot tumko
Magar kisi aor ki raah per jaane se kaya hoga

Socho kabhi khud akele mai dil se
Khud hi khud ki raah banana... bas issi se sab hoga Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #76 on: February 15, 2008, 07:41:40 PM »
KISI KE EHSAAS KE KHAATIR KHUD KO
DUNIYA KI NAZRO SE AAZMAYA THA

KISI KA SAATH DENE KE KHAATIR
KISI KO ITNA APNA BANAYA THA

NEEND HUME BHI AATI HAI EH DOST
PAR KAHIN NA KAHIN RAAHO MEIN
HUMNE BHI KISI SE DIL LAGAYA THA

HUM JAANTE HAI,YEH MEHFIL HAI
HAR PEHAR,HAR WAQT
BAHUT SE LOG AATE HAI
PAR SOCH, HUMNE BHI SAB SE CHUP KAR APNA
THIKANA YAHAN BANAYA THA...

AAJ KHUD KO TANHA PAATA HOON
AKELE ANDHERO MEIN DEEWARO SE CHOT KHATA HOON,
JAB KI, TERE LIYE CHIRAAGO SE DIL KI RAAH KO SAJAYA THA

KAHAN GAYE WOH BAATE KE TU MUJHE KOI APNA SA LAGTA HAI
KYA KISI KO TANHA CHOD JAANE KE LIYE APNAYA THA..

KEH DO AAJ MAIN KOI AAPKA APNA NAHI HOON, MAIN TO PARAYA THA...


Logged
Rajbir
Guest
«Reply #77 on: February 15, 2008, 08:19:31 PM »
Pooja, Khwaish bro

Wah! wah !

Dard ki Daastaan abhi tak jaari hai Winking

Bahut achcha lag raha hai aap dona ka likha hua padh kar !

Keep going !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #78 on: February 15, 2008, 08:28:05 PM »
Ahsaas tha yah tera, kisi aor ka kyun batlaya hai
Azmaya tha tune khud ko, dunia per kyun ilzaam lagaya hai

Chahat thi jiski, usko apne hi to banaya hai
Phir kyun Nind khone ka raag lagaya hai

Har waqat jiska tune sath nibhaya hai
Uske sath ke liye hi to tune her karm kamaya hai

Tanhai paai hai jo tune, wo teri hi chaht hai
Phir kyun ilzaam kisi aor per lagaya hai

Chiraag jalaye jo tune, to khud deni chahi roshani
Phir kyun roshini dete khud ko jalaya hai

Koi nahi hai yaha kisi ka, teri samjh kyun nahi atta
Koi nahi yaha paraya, per koi apnanaya bhi nahi jaata
Logged
Pooja
Guest
«Reply #79 on: February 15, 2008, 08:28:37 PM »
Thanks veer ji... pata nahi yah khwaish ji kaya kaya likhwaye ja rahe hai... ami to bas inko jawab de rahi hu
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #80 on: February 15, 2008, 08:29:29 PM »
SHUKRIYA PAAJI...
AAP KE HAUSLE-AFSAAI KA...THANKS!! KYA KARE POOJA LIKHTE HI ITNA ACHA HAI KE HUM BHI KUCH LIKH LETE HAI...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #81 on: February 15, 2008, 08:46:42 PM »
AAJ APNI HI MOHABBAT SE DARTA HOON
CHAND KHWAAB HAI JINHE APNI AANKHON MEIN RAKHTA HOON...

MAANTA HOON KHWAAB SACH NAHI HOTE,
ISLIYE APNI BEBASI KI DUNIYA MEIN
AANKHON MEIN AANSUO KE SAATH GUZARTA HOON...

JIS SHAKS KO CHAAHO USSE PAALO
YEH KAHANIYON MEIN ACHA LAGTA HAI,
ISLIYE IN KAHANIYON KO HAQEEQAT SE BAHUT DOOR RAKHTA HOON...

KAASH!! KOI APNA SAFAR APNE HISAAB SE CHAL PAATA
AB APNI MUSHKILO KO HI APNI MANZIL SAMAJTA HOON...

LOG KEHTE THE KE MOHABBAT NA KAR,
EK DIN TOOT KE BIKHAR JAAYEGA,
PAR "KHWAISH" LOGON KI SOCH SE KHUD KI SOCH KO NAHI MILA PAAYA
AAJ MEIN BAHUT MAJBOOR SA LAGTA HOON...

MOHABBAT KI MAINE YEH JAAN KAR KE ANJAAM-E-MOHAABAT BOORA HOGA???
KHUD KI FIKAR NA THI PAR USKE JAZBBAT AANSU BAN KAR
BEH NA JAAYE IS BAAT SE BAHUT DARTA HOON....

WAH RE MOHABBAT!!!!
PEHLE MILO PHIR BICHAD JAAO
PEHLE MUSKURAAO PHIR AANKHON MEIN AANSU LAAO
AJEEB HAI YEH DIL KA KHEL...

YEH DARD AB MAIN NAHI SEH PAATA HOON
ISLIYE AB MAIN CHUP REH JAATA HOON.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #82 on: February 15, 2008, 09:17:11 PM »
Khud se dar kar kaya hoga
Khwabo se bach kar kaya hoga

Ansoo ko tum beh jaane do
Inko chupa kar rakhne se kaya hoga

Chaha jise usko na pa sake to
Haqiqat jhuthlaane se kaya hoga

Hota jo waqat apne hatho mai, per koi insaan nahi
Phir waqat se takraane se kaya hoga

Her pyar ka ant judai nahi
Phir pyar se shikayat karne se kaya hoga

Muhobat-e-anjaam hum neb hi bahoot dekhien hai
In anjamo se takraane se kaya hoga

Mila hai jo ek wo bichard hi jaata hai
Honi se mukar kar kaya hoga!!!
Logged
liyakat
Guest
«Reply #83 on: February 19, 2008, 02:08:46 PM »
Na thi jisko hamare pyaar ki qadar, Ittefaq se unhi ko chah rahe the hum, Usi chiraag ne jalaaya hamare haathon ko, Jisko hawa se bacha rahe the hum.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #84 on: February 19, 2008, 03:58:01 PM »
bahoot khoob liyakat  ji...
apka yoindia mai sawagat hai..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #85 on: February 19, 2008, 07:52:41 PM »
bahut khoob liyakat saab...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #86 on: February 19, 2008, 07:54:06 PM »
Khud se dar kar kaya hoga
Khwabo se bach kar kaya hoga

Ansoo ko tum beh jaane do
Inko chupa kar rakhne se kaya hoga

Chaha jise usko na pa sake to
Haqiqat jhuthlaane se kaya hoga

Hota jo waqat apne hatho mai, per koi insaan nahi
Phir waqat se takraane se kaya hoga

Her pyar ka ant judai nahi
Phir pyar se shikayat karne se kaya hoga

Muhobat-e-anjaam hum neb hi bahoot dekhien hai
In anjamo se takraane se kaya hoga

Mila hai jo ek wo bichard hi jaata hai
Honi se mukar kar kaya hoga!!!


bahut khooob pooja..bahut ache..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #87 on: February 19, 2008, 07:58:06 PM »
shukaria khwaish ji... apke jawab ka intzaar hai..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #88 on: February 19, 2008, 08:31:00 PM »
JAB KABHI TUJHSE BICHADNE KI BAATEIN HONE LAGI
IN AANKHON MEIN RAATEIN  HONE LAGI...

MAIN APNI HAR BURAI SEH LETA "KHWAISH"
PAR MERE  JAZBAAT JAB CHEEK UTHE JAB TERI KOI BAAT HONE LAGI...

MERE RAASTE HI MERI MANZIL HAI,
AUR CHALTE REHNA HI MERA MUQADAR
PAR EK JHALAK DEEDAR KE LIYE
YEH AANKHEIN PHIR RONE LAGI....

JAB FARIYAAD KI KOI SUNWAI NAHI HOTI
TAB ZUBAAN BHI APNI KHAMOSH HONE LAGI...

IN PALKON PAR KAYI YAADEIN HAI JINHE RAKH KAR MAIN
BADE EHTARAM SE REHTA HOON
PAR KABHI KABHI KUCH BAATEIN PHIR IN PALKON KO BHIGONE LAGI...

JAB KABHI TUJHSE BICHADNE KI BAATEIN HONE LAGI
IN AANKHON MEIN RAATEIN HONE LAGI.....



Logged
Pooja
Guest
«Reply #89 on: February 19, 2008, 08:38:00 PM »
Bichard kar tumse, phir se kaise raha jayega
Yah dil, janati hu phir se, yahi sawal uthayega

Ankhon ki barsaat se bhi thum nahi sakta
Yah Tufaan, is baar sab baha le jayega

Rasto main hi kab rastein badal gaye
Socha na tha, jeevan is kadar tanha rah jayega

Milane ko tujhse ek bechaini si hoti hai
Jante hai magar, milan ke baad, ek naya zakham rah jayega!!!!
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 15, 2024, 07:44:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer