DARD-E-MOHABBAT

by khwaish on June 28, 2007, 05:17:53 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13
Print
Author  (Read 10472 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #120 on: January 24, 2008, 07:33:21 PM »
bahut kuch kehna suna chaahte hai
nazar khamosh,labo par bhi chupi hai
par phir bhi haal-e-dil bayaan karna chaahte hai

mohabbat mein khamoshi bhi bahut kuch keh deti hai par
woh sab kuch jaan kar bhi anjaan bana chaahte hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard Yaa Mohabbat... by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
Dard e Mohabbat by M. Rahman in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard e Mohabbat by sanchit in Share:Love Poetry
Pooja
Guest
«Reply #121 on: January 24, 2008, 07:46:31 PM »
Anjaan nahi hai kis bhi tere dard se
magar marhum bhi lagaya nahi jaata
kaise bada de apna hath ab hum
jab tere kadam se apna kadam milaya nahi jaata
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #122 on: January 24, 2008, 07:57:03 PM »
Anjaan nahi hai kis bhi tere dard se
magar marhum bhi lagaya nahi jaata
kaise bada de apna hath ab hum
jab tere kadam se apna kadam milaya nahi jaata

bahut khoob aakhri do line bahut achi thi...

jaan apni dekar rasm ulfat ki nibha dete hum
aapke liye har ek zakhm apna
gavaara kar lete hum
sach kehta hoon,bahut door ho aap
varna aapke har kadam se apne kadam
mila lete hum....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #123 on: January 24, 2008, 08:22:46 PM »
muhobat mai her rasam chah kar bhi nibhai nahi jaati
her ek dil ki baat chah kar bhi batai nahi jaati
aa jaati hai doori aor dekhte rah jaate hai hum
chah kar bhi phir yah doori mitaai nahi jaati!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #124 on: January 24, 2008, 08:31:24 PM »
doori chaaho to mita bhi sakte ho tum
hum paas bhula bhi sakte ho tum
par tumne doori ko apni majboori kehdi
chaaho to aaj bhi mera saath nibha sakte ho tum
Logged
Pooja
Guest
«Reply #125 on: January 24, 2008, 08:35:22 PM »
ho kon jo unhi dastak diye jaate ho
mere dard ko sar-e-amm hawa diye jaate ho
jhalak jaate hai uske sawal, tere sawalo main
kis liye uske liye jawab mujhse liye jaate ho
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #126 on: January 24, 2008, 08:46:18 PM »
woh dekhte hai humein
madhoshi se bhari nigahon se

khud hi  nazro ka vaar karte ho aur phir
puchte ho kahin chot to nahi lagi
haaye!!! dil hil sa jata hai inki adayon se

kaash woh sach mein mere rubaru aaye ek din
suna hai,asar hota hai duvayon se
Logged
Pooja
Guest
«Reply #127 on: January 24, 2008, 09:41:37 PM »
darta hai yah dil ki kaya kab mai kar jaau
teri yaadein deti hai sada, kab in main gheer jaau
atte hai kadam her roj phir teri hi taraf
tera ajnabi vayvhaar magar kahta hai, bas ab yahi per main ruk jaau
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #128 on: January 25, 2008, 09:54:45 PM »
JO NAZAR AATA HAI, HAMESHA SACHAI WOH NAHI HOTI
JO HASTA HAI DUNIYA KE BHARI MEHFIL MEIN
TANHAI MEIN KABHI USKI HI AANKH HAI
SABSE ZYAADA ROTI....

WOH KEHTE HAI KE SO BHI JAAO,
KYON NEEND APNI GAVATE HO
KOI KEH DE UNHE,MUJHE KOI SHAUK NA THA JAAGTE REHNE KA
BAS KUCH AISE HALAAT HAI KE,YEH AANKHEIN AB NAHI HAI SOTI.....

DOOR HO JAANE SE KYA PYAAR KHATAM HO JAATA HAI
JIS RISHTE KA KOI NAAM NAHI,
KYA WOH RISHTA KHOKLA HO JAATA HAI

HAR EK AANSU JO MOHABBAT MEIN AANKH SE TAPKA HAI
"KHWAISH" KE NAZAR MEIN WOH AANSU NAHI HAI
WOH TO HAI EK MOTI.....

"KHWAISH" ZAKHM KE BIN DARD KA EHSAAS NAHI HOTA
BAHUT MUSHKIL HAI MOHABBAT MEIN KEH KAR GUZARNA
ITNI ASSAN MOHABBAT NAHI HOTI....


Logged
Rajbir
Guest
«Reply #129 on: January 25, 2008, 10:00:27 PM »
Wah bro !

Bahut achche ! kya dard hai !
kisi ke pyar ki tadpan saaf jhalak rahi hai !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #130 on: January 25, 2008, 10:01:10 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!!

Muhobat ka dard, dil tootne per samjh atta hai
Warna to pyar door se ek mehaj kheil najar atta hai
Chot lagati hai jab apne dil per
Tabhi jakar aoro ka dard samjh atta hai!!!

Roti hai ankhia raat ke andhiare main
Din mai jin ankhon mai tumhe khwab najar atta hai
Chalte hue yah kadam tumhe lagte hai manjil ki taraf
Hume to zindagi ka kuch aor safar khatam hota najar atta hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #131 on: January 25, 2008, 10:03:10 PM »
bahut khoob pooja...bahut acha likha hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #132 on: January 25, 2008, 10:04:12 PM »
shukaria janab!! apke jawab ka intzaar rahega
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #133 on: January 25, 2008, 10:08:49 PM »
DARD DENE WALE TERA SHUKRIYA KAISE ADA KARU
TU HI BATA KAISE TERI CHAAHAT KA HAK ADA KARU
TUNE DIYE HAI KUCH AISE ZAKHM
JO ZINDA AAJ BHI HAI
PHIR BHI DIL CHAAHTA HAI
TERE LAMBI UMAR KI DUA KARU....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #134 on: January 25, 2008, 10:27:03 PM »
Her ek najar teri, jakham de jaati hai
Na jaane kyun kuch pyar ki kami najar atti hai

Dua hi deni hai to de do ki mile agle janam
Is janam mai to judai hi najar atti hai

Koi bhi kuch kahe to kaya kah kar samjhaye
Mujhko to her kahani mai apni kahani hi najar atti hai!!
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 03:06:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer