De gaya koi gham....

by punam on November 30, 2007, 02:54:35 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1221 times)
punam
Guest
De gaya koi gham itna abhi zakham taza hai
dil ki gehrayi se aah abhi na nikal payi hai

gham ke toofan ka asar hai itna gehra ke
dard ki hawa abhi bhi jaise chal rahi hai

dil ko cheer ke teer abhi abhi nikla hai
dekh ke haal dil ka aankh aansoo barsane lagi hai

khamoshi si chayi hai charo taraf
ab to saans nikalna hi baki hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
2004 , GUZAR GAYA ! KISI KA KIA GAYA , OR KISI KA KIA GAYA ? by SADIQA JAWED in Shairi - E - Zindagi
Gham Ko paseena Aa Gaya,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Gham ka fasana ban gaya achha by @Kaash in Share Video
JAB KABHI DIL PAR HAMARE GHAM KA BAADAL CHAA GAYA by pradeep srivastava raunaq in Shayari-e-Parastish
Roja
Guest
«Reply #1 on: November 30, 2007, 03:51:59 PM »
wow superb punam...You write too good dear. dil ko chu gaya ye kalam.
Keep flowing.
Logged
punam
Guest
«Reply #2 on: November 30, 2007, 04:03:42 PM »
Thax di...chalo aap ko acha toh laga...
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #3 on: November 30, 2007, 04:13:37 PM »
De gaya koi gham itna abhi zakham taza hai
dil ki gehrayi se aah abhi na nikal payi hai

gham ke toofan ka asar hai itna gehra ke
dard ki hawa abhi bhi jaise chal rahi hai

dil ko cheer ke teer abhi abhi nikla hai
dekh ke haal dil ka aankh aansoo barsane lagi hai

khamoshi si chayi hai charo taraf
ab to saans nikalna hi baki hai...


mujhe tanhayeeon ki aadat hai mujhe tanha jeene do
khamosh rakho juban apni aankho ko kuch kehne do

aaj unhone apne dil ke hal ko alfaso me kiya hai bayan
kuret rahe hai mere jakham mujhe ab use sine do
Logged
Raman.S
Guest
«Reply #4 on: December 01, 2007, 11:14:24 AM »
De gaya koi gham itna abhi zakham taza hai
dil ki gehrayi se aah abhi na nikal payi hai

gham ke toofan ka asar hai itna gehra ke
dard ki hawa abhi bhi jaise chal rahi hai

dil ko cheer ke teer abhi abhi nikla hai
dekh ke haal dil ka aankh aansoo barsane lagi hai

khamoshi si chayi hai charo taraf
ab to saans nikalna hi baki hai...


waao punnu ji...:D
kitna acha likha hai apne... :D
amazing....Usual Smile

pyar jo kiya tumse humne,
kisi ke liye hamari zindagi tum le
kar chali gayi,
bas ek gham hi reh gaya hai
ab pass mere,
isko to mera rehne do......
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #5 on: December 01, 2007, 05:06:09 PM »
very good "Punam ji" aapne bahut acha likha hai well done

Aap ka dil jo tuta hai
jisme bahut derd hua hai
us awaz ko sunne wala kaha hai
jise aapne is shayari mein bayan kiya hai

jab dil koi baat hoti hai
ya dard ko batane ki chahat hoti hai
usi ke dil mein tadap hoti hai
usi ko mohabbat ki achi pahechan hoti hai

hum toh nahi jante ki ye pyaar kya hai
magar aap se janna chahenge ki chahat kya hai
aap ko jisne de diye jitne ghum......
us ghum ka ehsaas kaisa hai............

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~"Khushboo"~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: December 02, 2007, 05:07:30 AM »
Waah...Punam Nice starting of Dard...sabhi ko Dard chaya hua hai tongue3

Dard ki bhi kabhi Hasrat hua karte the hum....
Zindagi me na thi Khushi..bikhre the mere Zakhm harr Kadam....

Jaage jab Neend se Mohabbat ki....
Toh dekhe iss Dunia ke Julm-O-Sitam.....

Hairat se bhar gayi Aankhein hamari....
Aur dekho bhari Mehfil me aaj ro pade mere Gum....!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: December 02, 2007, 07:19:11 AM »
Very Nice One... Punam,
And Good Replies.. Niraj, Raman, Muskan and Gaurav...
Logged
punam
Guest
«Reply #8 on: December 03, 2007, 09:30:58 AM »
Niraj ji...Muskan .. gaurav ji bahot khoob likha aap sab ne..
Raman shayari toh parta hi nahi aaj khud likh diya...bahot acha likha hai chotu.. yun likhte rehna...
sikha di.. Thanx..
Logged
punam
Guest
«Reply #9 on: December 03, 2007, 09:33:41 AM »
Dil ki baat aankhon se padhne wala
padh na pa raha aaj gham, khud ne jo diya hai

tadap uthta tha jo ek din in aankhon me dekh aansoo
aaj baraste dikhta nahi usse, khud ne jo diya hai..

meri khushi ke liye hasne hasane wala
anjaan bane khada hai,hothon se tabassum khud ne jo churaya hai..
Logged
Raman.S
Guest
«Reply #10 on: December 03, 2007, 10:24:59 AM »
waah waah..waah waah....!!!!!!! :D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: December 04, 2007, 05:13:24 AM »
Dil ki baat aankhon se padhne wala
padh na pa raha aaj gham, khud ne jo diya hai

tadap uthta tha jo ek din in aankhon me dekh aansoo
aaj baraste dikhta nahi usse, khud ne jo diya hai..

meri khushi ke liye hasne hasane wala
anjaan bane khada hai,hothon se tabassum khud ne jo churaya hai..


Waaah...

Jab Dil toota mera....
Toh kaanch ke tukdo se mera Ashiayana bhar gaya....

Fisal gayi Kalam bhi mere haathon se....
Tum roothe aise ke Zamana humse rooth gaya....


Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: December 12, 2007, 02:20:00 AM »
Dil ki baat aankhon se padhne wala
padh na pa raha aaj gham, khud ne jo diya hai

tadap uthta tha jo ek din in aankhon me dekh aansoo
aaj baraste dikhta nahi usse, khud ne jo diya hai..

meri khushi ke liye hasne hasane wala
anjaan bane khada hai,hothon se tabassum khud ne jo churaya hai..


Wow really very good ... Punam.
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: December 12, 2007, 02:21:51 AM »
Taqdeer meri main likha tha rona
Ye judayi ka gam ek bahana bann gaya

Diwane dil ko tootna tha "Roja" ke
Jo unki nazaron ka ye nishana bann gaya
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 04:02:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer