Fitrat insaan ki badalte hue aaj maine dekhi hai,
Jo dete the dua, unhe bad.dua dete aaj maine dekha hai,
Nahi uth.ta tha jin ka ser KHUDA ke dar se,
Unhe KHUDA ki jhuti kasme khate aaj maine dekha hai,
Dharam Imaan ki baate jo sada kiya karte the,
Daulat se imaan bikte hue aaj maine dekha hai,
Kiya karte the jo waade jindgi bhar saath dene ka,
Unhe gairo ke ghar mai baste hue aaj maine dekha hai,
Kehte hai apno ke diye jakhm bhi aache hote hai,
Lakin jakhmo ko unhe nochte hue aaj maine dekha hai,
Bade shok se karte hai jo wafa ka izhaar sare aam,
Unhe bewafa hote hue aaj maine dekha hai,
Jo rehte the ghar mai sada naadan ban ke,
Unhe anjaan gharo mai chilate hue aaj maine dekha hai,
Aakhir kyo badal jaati hai fitrat yu insaan ki,
Khun walo ka khun paani hote hue aaj maine dekha hai,
Kyo badal jaata hai un ka KHUDA yun baar baar,
Jab us KHUDA ko hi maangte hue unhe aaj maine dekha hai,
Ro padta hai BAADAL jab dekhta hai yu badalte insaan ko,
Apno ko gairo mai simat.te hue aaj maine dekha hai,
Ahmiyat jab koi insaan rakhta hai KHUDA ke barabar jiwan mai,
Jhuti kasmo se us insaan ko beizaat hote hue aaj maine dekha hai,
Fitrat insaan ki badalte hue aaj maine dekhi hai,
Khun walo ka khun paani hote hue aaj maine dekha hai,
Fitrat insaan ki badalte hue aaj maine dekhi hai,
Fitrat insaan ki badalte hue aaj maine dekhi hai.............
Baadal