Dikhaai nahi dete...

by Ravi_Dave on March 27, 2007, 08:37:28 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1784 times)
Ravi_Dave
Guest
Roz kuch hogaye, ab aap dikhaai nahi dete,
Apni berukhi ki, koi safaai nahi dete,

Zulmat zindagi ko kaise basr kare,
Aap door rehkar bhi, judaai nahi dete,

Basey hain aap, humari har adaa mein,
Dil se be-ghar karke bhi, tanhai nahi dete,

Zapt kar chuke humare hosh-o-hawaaz,
Cheen ke humari dhadkan, humein roosvai nahi dete,

Naa le faqr se naam unka, e 'Ravi', bhari mehfil mein,
Mauka woh tujhe ek bhi, sulwaai ka nahi dete!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaadon ko apne dil se mita kion nahi dete by safina786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pareshan khud ko hone nahi dete by mamta bajpai in Share: Poetry of Pain
Lafzo.n ko kaaghaz pe bitha kyu.n nahi dete.......... by vipul kumar in Ghazals
Awaz nahi dete by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Dikhai Nahi Dete by Er AK in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: March 27, 2007, 09:48:16 PM »
Good One Ravi...
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 28, 2007, 11:27:47 AM »
Bohot khoob Ravi...!!!

Dil se kaise jaaye jo zindagi se gaya hai
Dhadkanon par ab bhi uska pehra laga hai
Wo khush hai, main bhi mutmaeen si hoon
Ki wafa maine to usne bhi jafa nibhaya hai !!!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #3 on: March 28, 2007, 03:45:54 PM »
Bohat Khoob Talat!
Mind-blowing!

Jo zindagi se gaya, woh dil mein kyun hain,
Jo sabke dil pe hain chaaya, uske naam, se hum badnaam kyun hain,

Koi humein zaara bataaye,
Jo chhulli sinaa kargaya, oos khanjar ka naam wafa kyun hain,

Humari baaton mein sirf unka hi zikr,
Humari dhadkan ko jisne tadpaaya, woh humara sanam kyun hain,

Hum jeete hain unke liye dhire dhire, jism ko dard deke,
Jisne humara kafan sajaaya, woh ek insaan kyun hain,

Umar beet gayi, ek hi khwaish mein, ke kab woh lautenge,
Jisne mera taa-umar janaazaa nikalaa, woh  mera qaatil sanam kyun hain!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #4 on: March 28, 2007, 03:47:08 PM »
Shukriya AryaanJi!
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 28, 2007, 03:59:36 PM »
Thanks Ravi..another beautiful one Usual Smile

Jisko maine de di apni ye zindagi,
Woh shakhs hi mera qaatil nikla

Wafaparasti main na koi kami ki,
In wafaon se na kuch haasil nikla

Ishq, mohabbat, qasme waade,
In lafzon ka asar uspe baatil nikla

Hum to toofan se darte rahe lekin,
Jisne duboya mujhe, wo saahil nikla !!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #6 on: March 28, 2007, 04:15:25 PM »
Kya Baat Hain TalatJi!

Ishq, mohabbat, pyaar-e-wafa, ek bimaari hain,
Hum jisse samajte the apna, woh kissi aur ki hain,

Ghum ka hosh aur dil kamzor naa ho,
Aitbaar mein mit jaana bhi, ek laachari hain,

Mulaqaat naa kar sake, phir bhi woh dil pe chaaye,
Yehi pyaar hi dastaan, yeh hi beqaraari hain,

Khel, kood (jump of joy), har pal mein mile,
Aisi dillagi, shayad tumhaari hain,

Ranjish, dard-e-mausam-e-tanhai, sirf humein milli,
Qais-e-laila ki wafa, sirf ek jhoothi prem kahaani hain,

Bethe hain zaulmat kade mein, sanaate ko aaghosh mein lekar,
Yehi humara naseeb, yehi humaari zindagaani hain!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: March 28, 2007, 04:32:00 PM »
Bohot khoob...

Meri mohabbat ki itni si kahani hai,
Dard main doobi hui ek zindagani hai

Rista hai zakhm ban ke aankh ka aansu
Rooh par jafaaon ki gehri nishaani hai

Saansen hain lekin dhadkanen nahin hain
Lahu thama sa hai, na koi ravaani hai

Kho diya jisne umar bhar ka sukoon
Muskurati hai phir bhi, ladki deewani hai !!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #8 on: March 28, 2007, 04:56:41 PM »
Bohat Khoob TalatJi!

Dil dhoondhta hain ek aise insaan ko,
Jo pyaar hi pyaar lootaaye, aise mehrbaan ko,

Tang aagaayi zubaan, ghum ki baat karte karte,
Khojti hain tanhai, khushi ke toofan ko,

Hum ne chaud di, charcha karne ki adaat,
Kyun be-maqsad, tadapaayen apni zubaan ko,

Mohabbat mein sirf, ranj hi kyun hote hain,
Kabhi aisi bhi to mohabbat ho, jismein ghum sirf ek pal ka mehmaan ho,

Sukoon cheen leta hain, chain udaa deta hain,
Jo rakhe laaj humare pyaar ki, koi aisa bhi to kadardaan ho,

Soona nahi kissi ko muskuraahat milte huve, dariya-e-ishq mein,
Kyun zindagi dohraati hain, kambakt dard-e-dil-e-dastaan ko,

Kabhi maut, kabhi tanhai,
Kyun har shakhs apne sanam ko, pochaate hain kabrastaan ko!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 28, 2007, 05:19:16 PM »
Very Nice again Ravi,

Hum wafa ki daulat liye aaye the us bazaar main
Bikti thi mohabbat jahan, qeemat jiski wafa na thi

Dil ka sauda hota tha jahan khel ki tarah har roz
Ek tijaarat hi thi, koi ishq ki rasam ravaan na thi

Jurm kiya tha humne mohabbat jiska naam hai
Wafa ke badle na mili hume, koi aisi jafaa na thi

Zamana bhi khafa raha, Khuda bhi rootha humse
Khush kar paati sab ko, mujhe main aisi adaa na thi !!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #10 on: March 28, 2007, 07:50:11 PM »
Kya Baat Hain Talat...Amazing!

Hum jahaan gaye, humari gila leke,
Moujaad tha mera dilbar wahaan, humari khatta leke,

Sauda kardiya hum ne apne jazbaaton ka,
Kuch bhi haasil naa hua, bewafaa ki wafa leke,

Azmaayen har rasm duniya ke unhe paane ko,
Takte rahe unka raasta, dil mein dua leke,

Patthar sabne sar-e-aam mare, ek bhi humein chooye bina naa nikla,
Hanste hanste dekhte rahe woh bhi, tamashaa-e-alaam ka mazaa leke,

Har patthar seena chir ke dil pe laga hain magar,
Chhal padgaye bazoowon par, phir bhi khadaa naa tha kahin woh zaalim dawaa leke!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: March 29, 2007, 10:36:43 PM »
Thanks Ravi Usual Smile Good one again

Pathar aaye humare ghar par, jab bhi
Humne sheeshe ke gharaunde banaye

Duniya ne cheena hai, loot liya humse
Jab bhi khwaab humne hain sajaaye

Imtihaan diye hain har qadam pe humne
Kyun zamana hume har baar aazmaaye

Raaton ki syaahi main gum hui zindagi,
Jaane kyun subah ka ujaala hai daraye !!!
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #12 on: March 30, 2007, 04:14:50 PM »
Kya Baat Hain TalatJi!

Khwaab seeshe ke hum ab sajaate nahi,
Gairon ko kya, hum apno ko bhi azmaate nahi,

Woh be-sooni karke har baat taal (avoid) dete hain,
Isiliye koi baat unhe hum, bataate nahi,

Parakhte hain humare har adaa ko,
Isiliye milne hum unse, ab jaate nahi,

Unki yaadon se humara daaman nahi choohta,
Kya kare, hum unke bina rehpaate nahi,

Manaane ke bahaane se, woh pehle chale aate the,
Kuch roz ho gaye hain ab, woh thoda sa bhi pyaar dikhaate nahi!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: March 30, 2007, 04:48:23 PM »
bahoot khoob Talat and Ravi!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: March 30, 2007, 05:10:52 PM »
Thanks Pooja...Nice one Ravi

Shikwa kya karen hum kisi ke jaane ka,
Saaya hi apna jab saath chorh deta hai,

Dil mera ban gaya hai jaise ek khilauna,
Jo bhi milta hai yahan, dil tod deta hai

Badal gaye wo dost to kis baat ka ghum,
Toofaan hawaaon ka rukh mod deta hai

Dil sheesha to nahin, phir bhi toot gaya,
Suna hai par waqt dilon ko jod deta hai..!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 08:07:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer