Dil Behlana

by Pooja on May 16, 2007, 10:18:13 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Author  (Read 9041 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: June 23, 2007, 06:05:44 PM »
DARD-O-GHAM SE BHARI HAI ZINDAGI SABKI
HAR KOI APNI APNI ZINDAGI KO
BEHTAR BANANE MEIN CHALA HAI

WAQT NAHI KISSI KE PAAS BI
DO PAL BI MUSKURANE KA
DEKHIYE KYA WAQT AA CHALA HAI

HUM TO KHETE HAI SABHI KO
JEENA HAI TO HAS KE ZINDAGI  JIYO
KE SAB KO KUCH SIKHAYA JAAYE
DARD-O-GHAM KO DIL SE MITAYA JAAYE
HAR ROTE HUE KA DIL BEHLAAYA JAAYE
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe apne aashqo se behlana dekho... by Ritesh Modi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil ko behlana mushkil ho gaya hai by saahill in Miscellaneous Shayri
BAKHOOBI DIL KO BEHLANA AATA HAI.....................................SARU by SURESH SANGWAN in Ghazals
thycreator
Guest
«Reply #31 on: June 24, 2007, 06:41:43 AM »
Quote from: "Pooja"
wah khwaish ji.. bahoot khoob jisko kahte hi ki ati sunder limha hai apne!!!

Good one Dr. Amit!!!


Thanks a lot pooja....ho kahan lekin.....do dino se....sad5

Kitni aasaani se tum humse naraz ho gaye,
Badle badle se tumhare sab andaz ho gaye,
Ek choti si khata bhi toh ki nahi humne,
Kyu paraye se phir tumhare alfaaz ho gaye....sad5
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #32 on: July 22, 2007, 09:33:24 AM »
EK KOSHISH POOJAJI HAMARI TARAF SE USSI RYTHEM PAR EK JAWAB..PASAND AAYA TO ZAROOR KEHIYEGA..

GIRAKAR KHUD KO,MUJHE GIRANA ACHA LAGTA HAI
SHAYAD YEHI USKO APNA DIL BEHLANA LAGTA HAI

SHIKAYAT KARE TO BI KARE KISSE YAHAN
YEH SHEHAR KA HAR INSAAN PARAYA SA LAGTA HAI

LOG KEHTE HAI WAQT KE SAATH,HAR ZAKHM BHAR JAATE HAI
PAR JAB ZAKHM GEHRE HO JAAYE TO WAQT TO LAGTA HAI

NA KARO YUH DIL KE FAISLE,JAZBAATON MEIN AAKE
ZINDAGI KO SAMAJNE MEIN SAMAY TO LAGTA HAI

ANDHERO MEIN SE NIKALKAR,ROSHNI BI DEKHA KARO
KABHI KABHI DALTE SURAJ SE,UBARTA SURAJ ACHA LAGTA HAI

RISHTE HI HOTE HAI JEENE KI BUNIYAAD...
RISHTO KO SAWARNE MEIN KUCH PAL KA INTEZAAR TO LAGTA HAI

LOGON KI SOCH KO TO NA BADAL SAKE EH"KHWAISH"
PAR KHUD KO BADLNE MEIN WAQT TO LAGTA HAI

kya baat hai poojaji..bahut acha likha hai aapne..khwaishji utna hi acha reply..dil ki baat kitni asani se zubaan pe la lete ho aap log.bahut ache
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: August 07, 2007, 02:21:55 PM »
bahoot khoob Amit and khawaish ji!! Sorry waqat ki wajah se jalad jawab nahi de saki!!

bahoot hi acha aor same rythem mai likha hai apne!! Good job!!

Mujhko gira kar khud ko girana acha lagta hai
Shayad yahi usko apna dil behlana lagta hai

Ho kar mujhse juda, mujhko her pal  tadpna acha lagta hai
Deta nahi tha jo waqat mujhe,
use her pal mere baare baat banana ab acha lagta hai!!

Kyun apno ka hi dil dukhana, usko acha lagta hai
Shayad yahi jeene ka tarika usko acha lagta hai

Mujhko gira kar khud ko girana acha lagta hai
Shayad yahi usko apna dil behlana lagta hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: August 15, 2007, 02:33:50 PM »
Khayalo se dil bahlaati hu
Kyun usko itna main chahti hu
Ho kar juda bhi nahi juda
Kisliye khud ko tadpaati hu

Samjhati nahi ya samjhna nahi chahti
Kyun ateet se nikal nahi paati hu
Jinka mil sakta nahi koi jawab mujhko
Kyun khud se wo hi sawal dohraati hu


Hai sab kuch saaf saaf samne mere
Kyun nahi main wo dekhna chahti hu
Kab tak rahugi khawabo main is tarah
Kyun haqiqat ko maan nahi paati hu…..

Khayalo se dil bahlaati hu
Kyun usko itna main chahti hu....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: August 15, 2007, 05:09:11 PM »
BAHOOT KHOOB POOJAJI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: August 15, 2007, 05:28:44 PM »
shukaria khwaish ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: August 17, 2007, 02:12:25 PM »
Kaise samjhau dil ko ki behal jaaye
Kaya karu ki yah dil usko bhool jaaye

Roj usko bhulane ki koshish main
Bas yah dil har pal rota hi jaaye
Samjha samjha thak gai dunia
Dil ko kuch samjh nahi aaye

Jakham nahi hai tan ka
Jo kisi dawa se bhar jaaye
Man ka hai yah jakham
Mout sung hi ab jaaye!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #38 on: August 17, 2007, 02:45:39 PM »
wah last 4 lines to bohot hi achi lagi mujhe!!!

bas to gaye hai woh humare is dil me magar,
koi kehe de unko ke humare khayalo se chala jaye,
jawab mange bhi hum to kisse aur kaise "Meena",
koi kehe de unko ke humare sawalo se chala jaye!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: August 17, 2007, 06:20:57 PM »
Kuch sawalon se unka wajood hatta hi nahi,
jawabon ka khoya kaarwan milta hi nahi,
samajhte the jise hum apni zindagi ka jawab,
aaj usse bada sawal hamari zindagi mein milta hi nahi...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: August 17, 2007, 07:55:49 PM »
meena ek ek line kamal ki likhi hai... her line dil chu gai... bahoot khoob..

kamal ka jawab likha hai apne Angle... bahoot khoob!!!

Likhne mai maj aane laga
jab likhne mai sath mil jaane laga
tanha zindagi ki tanha sochein
tanha socho main, koi to sath nibhane laga!!!


ok no wback to the topic....

Dil behlta nahi hai kisi ke behlaye
Koi jaaye, unhe wapis bula laaye
Na hoga koi sawal, na hi jawab mangege
Yah zindagi un bin kisi haal nahi ji jaaye
Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: August 18, 2007, 05:59:23 PM »
thanks pooja di, and bahut achha likha hai aapne Usual Smile

Zindagi ka har lamha tere bina hai udaas sa,
Har waqt rehta hai dilko tera gumaan sa,
Kab aaoge laut ke raah takte thak gaye hum,
Aa bhi jao ke aankhon ka manzar thehra sa...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: August 27, 2007, 10:27:48 PM »
bahoot bahoot shukaria Angle....

apne bhi bahoot acha likha hai!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #43 on: August 29, 2007, 09:35:53 AM »
thanks angel and Pooja didi! bohot khoob likhaaap dono ne!!

 :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: October 03, 2007, 07:51:29 PM »
Thanks Meena...

Dil behal jayega wo kahte hai
Aor yaha ashaq behte hi rahte hai
Kaise bhool jaugi yah sab main
Dil ke jakham ro ro kar kahte hai

Basaya tha khawao main ek jahan humne
Toote khawabo ke jakham her pal chubhate rahte hai
Waqat ke sath bhool jaugi sab, yah wo kahte hai
Aor yaha ashaq bathe hi rahte hai…….
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 14, 2024, 09:23:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer