Dil Behlana

by Pooja on May 16, 2007, 10:18:13 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Author  (Read 8997 times)
Pooja
Guest
«Reply #90 on: February 25, 2008, 03:52:01 PM »
bahoot bahoot shukaria Majid ji!!! bahoot hi achi lines share ki hai apne.. bahoot hi kadwa such hai in lines main!! Waiting for your own creation!!

Hai pyar mujhe, unka yah dawa bhi khoob hai
Paise per hi rahti hai najar, yah najara bhi khoob hai

Rishto ko tolla bas, tujh main, mujh main kar ke
Phir rishte ko humara kahna bhi khoob hai

Dard hai unko ki paise ho gaye kharch
Dard mai umar beet jaana, na dikhna bhi khoob hai

Dil behlaane ko kah dete hai wo wo baatein
Unka gir kar, giri hui baatein karna bhi khoob hai

Pooja samjh kar bhi kyun ban jaati hai anjaan
Uska pyar karne ka andaaz bhi kaya khoob hai!!

Hai pyar mujhe, unka yah dawa bhi khoob hai
Paise per hi rahti hai najar, yah najara bhi khoob hai!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe apne aashqo se behlana dekho... by Ritesh Modi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil ko behlana mushkil ho gaya hai by saahill in Miscellaneous Shayri
BAKHOOBI DIL KO BEHLANA AATA HAI.....................................SARU by SURESH SANGWAN in Ghazals
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #91 on: February 25, 2008, 08:13:15 PM »
Dil mai raz, ankhon mai muskuraht hai
Mere hi zakhmo ko dard dene ki uski chaht hai

Meri her baat per kar dete hai sawal
Phir se ane wale tufaan ki yah ahat hai

Mujhe hansta dekh kar, dard mere ko dete hai cher
Phir kyun nakli muhobaat ki dikhwat hai

Behlaate hai kis kis kadar insaan bhi khud ko
Na jaane kyun insaan ke man mai itani kadwahat hai

Dil mai raz, ankhon mai muskuraht hai
Mere hi zakhmo ko dard dene ki uski chaht hai


BAHUT KHOOOOB POOJA...SACHAI SE BHARPOOR KAVITA HAI..BAHUT ACHE
Logged
Pooja
Guest
«Reply #92 on: February 25, 2008, 08:14:36 PM »
bahoot bahoot shukaria khwaish ji!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #93 on: February 26, 2008, 04:32:39 PM »
bahoot khoob majid ji!!! yah lines dil ko chu gai..

Yun Shab.e.Firak Main Rone Se Kya Fayda?
Duniya Ke Baazar Mein Aanshoo Bikta Nahi.


Logged
Roja
Guest
«Reply #94 on: February 26, 2008, 04:38:14 PM »
bahut khoob Majid ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #95 on: February 27, 2008, 04:58:27 PM »
Apne jazbaato main sab jeete hai
Apna apna gum sab pite hai
Kheilte hai bhawnai ke sung apne
Ya doosro ke sung wo kheilte hai

Her roj badale pyar unka
Her roj ek naya izhaar mile
Dekh kar duniya ke Rang Pooja
Her roj ek naya vichar mile

Behlaati hai dunia kaise dunia se dil apna
Dekh dekh logo ki baatein, dil hile apna

Kaise log jzabaato se jazbaat badalte hai
Jeete hai shayad sirf dard dene ko
Dard ka vayopaar yah sab karte hai

Bahoot ho gaya mole-bhaw ab
Kahin baher hi nahi jaana hai
Baith kar ghar apne bas
Kisi andhiaro main goom jaana hai

Na main bulau kisi ko na hi koi ab awaz de
Dunia se nahi matlab koi mera,
marne per chahe na kandhein char de!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #96 on: February 27, 2008, 06:41:19 PM »
Bohot khoob Pooja...nice one from Majid
Logged
Pooja
Guest
«Reply #97 on: February 27, 2008, 08:22:17 PM »
shukaria Talat!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #98 on: February 29, 2008, 07:03:43 PM »
Bahoot sahi kaha hai majid ji!! Last ki ek line mai apne bahoot bada aor gahra such likha hai!!

Zajbaat hai mere, jo ajj bhi mujhe rulate hai
Karne wale to apna apna kaam kiye jaate hai
Phool khilane se pahle hi maali khud noch deta hai
Na jaane kyun phir, mali Gul khilate hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #99 on: March 03, 2008, 06:26:04 PM »
bahoot sahi kaha majid ji!!!

Kahne ko kahti rahi dunia sari
Aor hum chalte rahe
Ek tera kahna
Aor yah dil toot gaya!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #100 on: March 03, 2008, 06:26:18 PM »
Mere gumo se uska yah dil behlana khoob hai
Mere ansoo ka majak urdana yah khoob hai
Rote hai hum bin baat ke, jab kuch ho nahi sakta
Humko unka yah baar baar samjhana khoob hai

Dil ke dard ko kabhi hum unhe na sajha paaye
Her baar phir humara khamosh rah jaana khoob hai
Janate hai her dhoka unka aor sahte ayye hai
Hume itna nasamjh samjhna, unka bhi khoob hai

Zindagi bhi kis kis tarah se dil behlaati hai insaan ka
Badal jaati hai fidrat kis tarah insaan ki, yah bhi khoob hai
Ajj dard phir shabdo mai simatne ko hai bekraar
Aor na kuch likhne ka man, yah bhi khoob hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #101 on: March 04, 2008, 05:06:20 PM »
Bahut Khoob pooja..ek se ek kavitaye likhi hai aapne..
majid bhai aap ne bhi bahut acha likha hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #102 on: March 04, 2008, 05:09:02 PM »
shukaria khwaish ji!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #103 on: March 04, 2008, 05:31:08 PM »
SAMAJNE KI UNME KABHI GUNJAYISH HI NA THI,
TO HUMNE BHI UNHE SAMJHANA CHOD DIYA...

JAB PATA THA APNE KHWAISHO SE KUCH NAHI HAASIL
TO HUM NE DL MEIN APNE KHWAISH JAGANA CHOD DIYA...

JAB UNHONE HAAL PUCHNA CHOD DIYA
TO HUMNE BHI APNA HAAL BATAANA CHOD DIYA....

DIL BEHLA BHI LETE TO AAKHIR KAB TAK???
YEH SOCHKAR...APNE DIL KO BEHLANA CHOD DIYA....

AB HAAL KUCH AISA HAI KE HUM UNSE RUTHTE BHI NAHI
KYA KARTE?? UNHONE HUME MANANA HI CHOD DIYA....

MERE MUSKAAN PAR BHI LOG SAWAAL UTHATE THE,
ISLIYE HUMNE AB MUSKURANA BHI CHOD DIYA....

JHOOTI TASALLIYON MEIN HUM JEE RAHE THE
PAR UNHE YEH BHI MANZOOR NA THA..
AB HUMNE JHOOTE KHWAABO KA AANGAN BHI CHOD DIYA....

AB YEH NA KEHNA KE HUMARA JEENA BHI GAWARA NAHI AAPKO
YEH JHOOT NAHI KEH SAKTA MAIN AAPSE,
KE "KHWAISH" NE AB JEENA BHI CHOD DIYA......





Logged
Pooja
Guest
«Reply #104 on: March 04, 2008, 05:34:29 PM »
apki kavita ne yah lines yaad kara di:

Meri her baat ka, Ulta matlab, samjh lete hai wo
Meri her baat ka, Ulta matlab, samjh lete hai wo
ab ki pucha, to kah doogi, ki haal ACHA HAI (nm)


bahoot hi bhawanao se bhari hui kavita likhi hai apne!! Good job!!
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 12:56:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer