Teri haan par bhi tujhe apna nahi sakta..............
Chah kar bhi tujhe apna bana nahi sakta.............
Kaise yaad karun main tujhe .................
Tujhe ek pal ke liye jo bhula nahi sakta.............
Nahi chahta khud ko bewafa kahlana.............
Par Kismat aisi ki wafa bhi nibha nahi sakta............
Yun to aankhon ke saath dil bhi rota har pal...............
Par phir bhi ye ashk baha nahi sakta...........
Dil tod de tu mera , ye chahat hai dil ki...............
kyonkii is dil mein aur dard chhipa nahi sakta.............
Dar nahi jamane ka mujhe koi..............
Phir bhi apne aap ko mita nahi sakta.............
Dil mein likha hai jo tera naam.............
Wo naam apne labo par la nahi sakta............
Chhipa sakta hoon dunia se har raaz-e-dil............
Par is dil mein lagi aag bhuja nahi sakta................
Jaanta hoon teri nigaahein dundhti mujhe har mehfil mein............
Par tujh se roshan kisi mehfil mein main aa nahi sakta...........
Badnaam na kar de kahin tujhe ye bedard jamana...........
Teri tanhaiyon ko bhi main apna bana nahi sakta............
tera dard byan karne ka andaz itna accha hai
ki shabdo mein usko samjha nahi sakta
jis tarah tanhaye aur dard deti zindagi
wo dard me haske zindagi sab ko jina aa nahi sakti
nice rohit aaj dekha .....dekha kya tune dikhaya....