Again a Nice one Shikha Ji ....
Kyun kisi ko apne, zakham dhikayein hum
Kudh apni hi mout ka matham manayein hum
Aaj woh silsila-e-ishq khatam kar aaye hum
Who kehte the ke un par sitam dhayein hum
Sehra-e-zindagi mein, haye! koi dusra na tha
Sunte rhe hai aap hi, kudh apni sadayien hum
Who ke jisko muhhobat ka koi ilam hi nahin,
Ya khuda! Kis tarah se usko samjhayein hum
Iss zindgi míen itni bhi frahgat kisse naseeb?
Itna naa yaad Aa ke tujhe bhool jaayein hum
Ishq karne ki bhala iss se badi saza kya hogi?
Be-waffai kii tumne magar, sharmayein hum !!
Beautiful Reply HumTum... 
छुपाते रहे रंज-ओ-गम मोहताज़ो की तरह,
ग़ज़लों में आज अपनी ज़िंदगी दिखायें हम...
अजनबियों से बदल जाते है जो दिन बरसो में,
उंगली थमा उन्हे यादों से खींच लायें हम...
उड़ गये पंछी क्यूँ दूसरे देश की सरहद तक,
इन्हे पुकारे, बाज़रा छत पर बिखरायें हम...
फिर कहते है, चलो दर्द से सज़ा ले घर अपने,
मुहब्बातों को दुनिया के लिए छोड़ आयें हम...
--------------------------------------------------------
Chhupaate rahe ranj-o-gum mohtaazo ki tarah,
Gazalon mein aaj apni zindagi dikhaayein hum...
Ajnabiyon se badal jaate hai jo din barso mein,
Ungli thama unhe yaadon se khinch laayein hum...
Udd gaye panchi kyu doosre desh ki sarhad tak,
Inhe pukaare, Baazraa chhat par bikhrayein hum...
Phir kehte hai, chalo dard se saja le ghar apne,
Muhabbato ko duniya ke liye chhodh aayein hum... 