Doli Uthi Hai Uski Shehnaion Ke Saath

by Jaanasheen on April 10, 2006, 11:01:06 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
Print
Author  (Read 11913 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #45 on: April 27, 2006, 05:13:37 PM »
Gud Job by all

Teri Chahat me hum apni Hasti mita denge.....
Tere kehne pe apne maatam par bhi Shehnaian bajwa denge......!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pait main ek lahar si uthi hai abhi by zahid.khanz in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
achanak si uthi dil me ye halchal si kyun hai by crazy_dude in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Hum Dono Ki Doli Uthi by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
uski jafaaein uski ataa hum say poochhyie by ibrahim777 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Mera kafan uski doli...(AD) by rayees abdullah in Shayri-E-Dard
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #46 on: April 27, 2006, 05:19:12 PM »
Good one B.Shayar ...

Uski chahat ko pana aasaan hai,
Par use nibhana utna hi mushkil hai,
Maatam hi mana rahe the log meri maut pe,
Par sirf uske hi kehne par saji ye mehfil hai ...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #47 on: April 27, 2006, 05:24:24 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Good one B.Shayar ...

Uski chahat ko pana aasaan hai,
Par use nibhana utna hi mushkil hai,
Maatam hi mana rahe the log meri maut pe,
Par sirf uske hi kehne par saji ye mehfil hai ...


Chahatein Hassil nahi toh kya....
Apni Nakaam Mahobbat ka Ashiana kahin door basa lenge.....

Teri Yaadon ke Silsile me khud ko jala denge.....
Tere Gum ke badle apni harr Khushi ko Ashkon me baha denge........!!!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #48 on: April 27, 2006, 05:28:47 PM »
Aashiyaan to humne unke dil mein basa rakha hai,
Unki yaadon ko apni aankhon mein chhupa rakha hai,

Gum ko to humne ashko mein baha diya ab intezar hai khushi ka,
Isi aas mein to humne ye darwaza khula rakha hai ...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #49 on: April 27, 2006, 05:31:56 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Aashiyaan to humne unke dil mein basa rakha hai,
Unki yaadon ko apni aankhon mein chhupa rakha hai,

Gum ko to humne ashko mein baha diya ab intezar hai khushi ka,
Isi aas mein to humne ye darwaza khula rakha hai ...


That one is Superb JHL ji......

Kabhi Khushian bhi hua karti thi meri Deewani......
Par aaj bann gayi na jane kyu Begaani.....

Raatein bhi liya karti thi angdaian.....
Kuch iss Tarah hai Meri Kahani....!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #50 on: April 27, 2006, 05:36:30 PM »
khamosh zindagani
behta hua pani
ek purani rawani
bas yehi thi meri kahani
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #51 on: April 27, 2006, 05:42:34 PM »
Khushi ki aas na rakhe to hi achha hai dillagi mein,
Kahaniyaan to banti rehti hai zindagi mein,
Vaise to hum begano ke saamne jhukte nahi,
Par alag hi maza hai uski bandagi mein ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: April 27, 2006, 09:18:04 PM »
wah kaya baat hai!! bahoot khoob JHL JI!!! gOOD JOB BS JI and phoenix
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #53 on: April 28, 2006, 06:00:24 AM »
Mohabbat Ka Sila Mangte Hain Wo Humse Aaj,.
Jinhone Tordiya Dil Bedardi Se Is Zamaane ke Liye,..
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #54 on: April 29, 2006, 05:51:25 PM »
Maangi to unhone humse hamari zindagi aaj,
De di humne wo bhi khushi se unpe to hame mar mitna hi tha,
Hamara faisle se wo bhi bad mein pachhta rahi thi,
Par hame to zindagi ka ye juaa jitna hi tha ...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #55 on: May 03, 2006, 07:14:09 AM »
bahoot Ache JHL ..Lage raho,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #56 on: May 04, 2006, 04:42:08 AM »
bahut khoob
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #57 on: May 04, 2006, 07:56:53 AM »
Jaa Rahe Hain Wo Humse Door Kisi Aur Ki Ashiyaane Mein,..
Hum To Reh Gaaye Gham Uthaane Ko Is Bedard Zamaane Mein,..

Khushiaan Mubarak Ho Unhe Jinhone Dil Mera Torda,..
Paakar Mehfilein Duniya Ki Mujhe Tanha Chorda,..

Ye Unka Karam Hai ke Main Hoon Aaaj Veeraane Mein,..
Aur Wo Lage Hain Mera Ghar Tordkar Kisi Aur Ka Ghar Basaane Mein,..

Mujhe Aaj Bhi Unse Wafa Hai Jisne Mujhe Thukraya Tha,..
Maine Ye Chot Isliye Khaayi ke Dekh Kar Unhe Pehli Baar Maine Muskuraaya Tha,..

_____________________-Azeem-___________________
 
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #58 on: May 04, 2006, 12:57:20 PM »
tu kisi aur ki raton  ka hasin khwab sahi
meri raaten teri khushbu se basi rahtin hain
tu kahi bhi rahe tere phool se aariz ki qasam
teri palken meri aankhon pe jhuki rahti hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #59 on: May 04, 2006, 01:10:21 PM »
Nice One Tabbassum Ji,...

Muskura Raha Hoon Isliye Kahin Uske Aansoon Na Nikal Aaaye,..
Use Kya Khabar Hai Mohabbat Ke Naam Se Humne Kitne Dhoke Khaaye,..

Ye Hamara Kasoor Tha ke Har Kisi Par Aibaar Kiya,..
Jisne Hanse Ke Baat Ki Unse Sab Pyaar Kiya,..

Ab Dil Jala Rahein Hain Sab Mera Is Zamaane Mein,..
Kyun Lage Hain Sab Mera Naam Mitaana Mein,..

Gar Mitakar Unhe Khushi Mili To Mujhe Koi Shikayat Nahi,..
Mita Rahe Hain Sab Mujhe Ke Ab Kisi Ko Mere Zaroorat Nahi,..

Khuda Unhe Salamat Rakhe Jo Nafrat Humse Karte Hain,..
Pyaar Nahi Nafrat Hi Sahi Par Kuch To Humse Karte Hain,..

__________________-Azeem-___________________
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 12:37:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer